Karan Arjun 2

Abhi tak hamne jitni bhi kahani suni ya padhi hai punarjanam ke baare mein wo sab aisi hai jisme ek bache ne ya bachi ne batayi ho lekin aaj hum ek aisi punarjanam ki kahani ke baare mein jaanenge jinko apne pichley janam ki baatein 32 saal ki umar mein yaad aai jisko sunte hi waha ke logo ke bich kohraam mach gaya tha. Mai baat kar raha hu Uttara huddar ki jinhone khud ye dawa kiya tha ki wo pichley janam mein ek bengali thi aur unka naam sharada bataya tha. Uttara ka janam 14 March saal 1941 ko Nagpur, Maharashtra mein hua tha, wo 6 bacho mein dusri sabse choti thi. Uttara ke pita GM huddar Nagpur ke paas ek chote sehar Wardha ke paas ek landowner aur farmer the. Yaha tak ki desh ko azaadi dil wa rahe revolutionary ka bhi inhone khub sath diya tha jiske wajah se inko 4 saal tak jail mein rehna pada tha. Uttara ki maa ka naam Manorama tha jo batati hai jab wo Uttara ke sath pregnant thi toh uss dauraan Manorama huddar ko baar – baar ek snake ke duwara right leg ke anguthe par kaate jaane ka sapna aaya karta tha lekin ye sapna Uttara ke janam lete hi band ho gaya tha aana. Uttara uss waqt ek bachi thi toh usse snake se bahut darr lagta tha itna ki wo 8 saal tak kuch jada hi dara karti thi. Ab jab huddar family Maharastra ke the toh wo log Marathi hi bolte the aur thik ussi tarah Uttara bhi bade hote hi Marathi bolne lagi thi bina kisi dikaat ke. Jab Uttara school gayi toh waha usne Sanskrit par jada focus ki tabhi uski dosti dinanath pandit se hui jo ki ek marathi speaker the. Uttara apne pitaji ke sath kai aise prasang mein jaati jaha kai saare bhasayein bolne waali program hoti thi jisme uttara aur uske pitaji ko Sanskrit aur Bangali jada pasand aate the. Uttara ke ek bhai ko apne job ko paane ke liye bengali sikhna pada tha lekin uss waqt Uttara nhi jaanti thi ki wo bhi bina kisi se shikhe ek din khud ba khud fluent bengali bol paayegi. Saal 1969 mein unhone apni graduation complete ki aur phir MA karne ke baad wo apne family ke sath rehne lagi thi. Jab Uttara lag bhag 24 saal ki hui toh unhone shaadi karne ki sochi jiske liye unhone priyadarshan dinananth Pandit ka picha kiya karti thi, halaaki Dinanath ko Uttara mein Koi dilchaspi nhi thi jiske baad Uttara ne apne pitaji se kaha ya toh wo Dinanath ko shaadi karne ke liye maynaye ya uski shaadi dusri jagah karwa de. Uttara ki shaadi ho paati usse pahele uske pitaji ki maut ho gayi jiske baad usne phir se dinananth ko shaadi ke liye approach kiya lekin iss baar bhi usne inkaar kar diya jiske baad Uttara ne faisla kiya ki ab wo apni puri life ek spiritual ki tarah bitayegi.

Uttara ki 20 saal ki umar tak tabiyat bilkul normal thi lekin uske baad ek baar uski tabiyat kharab Hui aur jab wo checkup ke liye gayi toh doctor ne usse bataya ki usse asthma hai aur eczema naam ki skin disease bhi hai jiske liye unhe apni tabiyat ka jada dhiyan rakhna hoga aur uske baad unhe ek homeopathic physician JR Joshi ke paas bheja gaya tha treatment ke liye lekin jab unhone dekha ki Uttara ki koi bhi progress nhi hai toh unhone usse apne private clinic ya bolu toh apne ashram mein shift kar diya tha. Uttara ne bataya ki jab paheli baar Dr Joshi ne unhne chua toh unko wo apne jaise lagne lage the. Uske baad usse sab dheere dheere apne pichley janam ke baare n mein sab yaad aane laga tha usne ek din khud ko Sharada ke roop mein paya aur ab wo bina kisi se sikhe fluent bengali bol pa rahi thi aur aise behave kar rahi thi ki wo Joshi ki wife ho. Baad mein jab usne apni punarjanam ki baatein batayi toh saare log dang reh gaye the jiske baad iss baat ko jaanne ke liye investigation kiya gaya jisme ye pata chala tha ki Uttara ko sab kuch yaad tha apne pichley janam ke baare mein siwaye ek chiz ke aur wo ki uski maut kaise hui thi. Yaha tak ki Uttara ne ye bhi bataya ki wo bachpan mein snake se isliye darti thi kyuki pichley janam mein ek baar ek snake ne bhi uske right leg par usse kaat liya tha. Itna sunte hi logo ko samjh nhi aa raha tha ki iss par kiya boley kuch logo ne isse Uttara ka punarjanam bola toh kisi se dhong. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Karan Arjun 2 ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

 

 

 

 

Chandan Pandit

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Gadar 2: The Katha Continues is an upcoming Indian Hindi-language romantic period action drama film directed by Anil Sharma. It is a direct sequel to the 2001 film, Gadar.

Gadar 2

Malhotra Family की Partition कहानी!   मल्होत्रा परिवार, जो अभी नई दिल्ली में एक Middle-class clan में बसे हुए है और उनका experience, Modern India

Read More »
Solider 2 , Bobby deol , By Yash Vashishtha bollygradstudioz.com

Soldier 2

Aaj hum aapko bataane wale hai ek ese Indian Army Para Special Forces Commando ke baare mein jisne dushman ki do goliyan lagne ke baad

Read More »
Mr. India 2

Mr. India 2

मिस्टर इंडिया 2 ने सभी को नाम और पहचान जरूर दिया हो लेकिन मूवी के प्रोड्यूसर बोनी कपूर के वजह से और श्रीदेवी जी के

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​

Get Connected