Pushpa 2

India mein kabhi koi bhi chiz nayi nhi hoti kyuki wo aaj nhi toh kal saamne aati hai aur phir hame pata chalta hai ki wo kaafi dino se ho rahi thi toh ye kaha se nayi hui. Thik ussi tarah gold ki Smuggling bhi India ke liye koi nayi baat nhi hai, haan agar koi nayi baat hai toh wo ye hai ki har baar Smuggler apne smuggling karne ka thikana badalte rehte hai. April se june saal 2019 ke bich Indian custom department ne karib 1198 kilogram sona ko pakadne ke aankade jaari karke batayi thi aur iss saal toh usse kai jada Smuggle hui thi sona. Saal 2018-2019 ke financial saal mein officially aankado ke hisaab se Smuggling kiya ja raha tha wo bhi kul 4 ton sona jo desh mein Smuggling karte huye pakda gaya tha. Ye toh bas ek side ki information hai agar puri India mein dekha jaaye toh har jagah se kahi na kahi India mein Smuggling ho hi rahi hai.  Agar reporter ki maane toh unhone bataya tha har saal itne gold Smuggle hotey hai ki uska sabi information hamare paas hota hi nhi hai, lekin agar ek anumaan lagaya jaaye toh karib har saal 35 se 40 hazar crore rupay tak ki smuggling hoti hi hai wo bhi bina kisi se darre.
Sona ki Smuggling aamtaur par biscuit ke roop mein hoti hai lekin jaise jaise samaye aage badha hai smugglers ne kai alag alag tarkibe apnai hai. Jab Kam quantity mein Smuggling hoti hai tab Smuggler pahele hi koi nayi idea laa chuke hotey hai aur kabhi kabhi toh aisa hota hai ki wo kuch biscuits ko nigal tak jaate hai taaki kahi pakde na jaaye. Ek report ki maane toh gold ko kisi dusre chemical ke sath mix karke Smuggler usse apne body par laga lete hai taaki koi chah kar bhi unhe pakad nhi paaye,aur kabhi kabhi toh wo kisi network ya route ka sahara lete hai taaki wo smuggling aache se kar sake. Abhi haal hi mein ek reporter ke mutabik ye saamne aaya hai ki middle east aur India ke bich gold ki Smuggling kaafi badhi hai kyuki middle east mein gold ki keemat India ki tulna mein 4 hazaar rupay tola tak kam hai. Smuggling ke partner ko  1 tola gold 1 hazar rupaye dene ke baad bhi unhe 3 hazar rupaye prati tola Smuggler ko sidha faida hota hai. North- east ke chaar rajya mein Myanmar ki sima satee hai jis par bade ilaake mein koi khaas chaukidari ka intzaam bhi nhi hai aur toh aur Myanmar mein gold ki keemat prati tola 5 hazar rupaye hai jo ki India ki tulna mein bahut kam hai, isliye yaha se Smuggling lambe samaye se ho rahi hai. Custom aur DRI ke officers ke hawale se khabar ke mutabik Myanmar ke moreh se Smuggling shuru hoti hai aur gold pahele imphal pahuchata hai. Kai haantho se hokar pahuche iss gold ko phir imphal se Nagaland ke Dimapur aur assam ke Silchar bheja jata hai. Iske baad railway, local hawai yaatraon ke jariye ye delhi, Kolkata jaise sehro tak delivery kiya jata hai. Duniya mein jinn chizo ki sabse jada Smuggling hoti hai, gold unme 5th position par aata hai. Saal 2013 mein ek report mein kaha gaya tha ki India har din 700 kilogram gold ki smuggling karta hai. Saal 2013 ke mukaable ab Smuggling ke aankade karib 10 gunna badh chuke hai.India mein gold ki Smuggling Nepal, Bhutan, Bangladesh ke sath hi middle East se judne waale paschimi margo ke jariye hoti hai. Myanmar ke raaste se aane waale gold ko sabse jada 99.76 fhisdi tak pure bataya jata hai aur toh sur India se middle East jo gold ko export kiya jata hai, wo hamesha jadatar Myanmar se Smuggle kiya hua gold hi hota hai.
Lambe samaye se north east india ke rajyo mein armed forces aur ugravaadiyon ke bich ek Jung ka mahol bana rehta hai lekin pichley karib 10 saalo mein waha ke halat badle hai. Ek taraf se hathiyaro ki smuggling kam hotey hotey lagbhag band ho gayi hai lekin wahi Smuggling ke wo routes abhi tak bache huye hai. Custom, DRI aur waha ke intelligence ke jaankar maante hai ki inn routes se hi gold ki smuggling badh gayi hai, aur dusri baat ye hai ki geographic sthithi ke lihaaj se Myanmar, Thailand aur China ke sath hi east asia ke sath bhi juda hai isliye ye Smuggling ka kaafi mufid ilaaka bann chuka hai jo sirf gold hi nhi balki drugs ki Smuggling ke liye bhi infamous ho raha hai. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Pushpa 2 ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

Chandan Pandit

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

KGF

झारखंड के धनबाद और पश्चिम बंगाल के आसनसोल पुरुलिया बांकुरा रेंज में कोयले की खदानें भरी पड़ी हैं. यहां पर कई ऐसी खदानें हैं जो

Read More »
RRR,Ram Charan ,Jr. NTR,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

RRRR

Kohinoor ke baare mein sabne sunna hai, magar kya sirf wahi ek cheez hai jo angrez hum se lekar gaye the? Nahi! Humne angrezon ko

Read More »
Bahubali 3,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Bahubali 3

Mughal Empire se kon waakif nhi hai, hame bachpan se sirf aur sirf Mughalo ke baare mein hi padhya gaya hai, jitna hamare textbook mein

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​