90 ka dasak uttar pradesh ke liye khatre se kam nhi tha kyuki uss waqt chaaro taraf sirf ek hi naam mashoor tha aur wo tha Shri Prakash Shukla, jo ki apne waqt ka sabse khatarnak don tha, yaha tak ki usne apne naam ko bihar tak phaila rakha tha. Uske peshe ke bich aane waale kisi bhi shaqs ko maar daalne mein wo jara sa bhi nhi sochta tha. Police ke liye usse pakadna unke liye chunauti bann gaya tha kyuki Shukla kam umar mein hi don bann gaya tha aur apni paihchan aise aise logo se bana rakha tha ki usse pakadna bahut muskil hota tha, yaha tak ki apradhiyo aur police waalo ke andar bhi uske naam ki dehsat ka mahol bana rehta tha. Shukla ugaahi, hatya, kidnapping aur dakaiti hi kiya karta tha aur koshish karta ki uska naam jitna phailey utna uske liye aacha hoga. Prakash Shukla ka janam gorakhpur ke hata bazaar ke paas Mamkhor gaaon mein hua tha, jo ek air force ke ek retired worker ke bete the aur air force se retire hone ke baad unke pitaji ne apne thekedaari waale kaam ko shambhala tha. Jab Shukla sirf 20 saal ke the toh unhone apni zindagi ki paheli murder ki thi, saal 1993 mein Shukla ki bahen se chedkhani karne waale Rakesh tiwari ko Shukla se galti se Holi lag gayi thi, jiske baad Shukla ko doshi theraya gaya tha jispar Shukla ne bola ki unhone ye jaanbuz kar nhi kiya tha unn se ye galti se ho gaya tha, lekin uss waqt unki kisi ne nhi suuni siwaaye Gorakhpur ke ek prasidh rajneta Harishankar tiwari ne Shukla ke pariwaar ko aaswasan diya gaya ki Shukla ko kuch nhi hoga aur itna bolte hi usse Bangkok bhej diya gaya tha. Jab Shukla wapas aaya toh usse Virendra sahi ki murder karne ke liye majbur kar diya gaya tha baad mein wo Mokama, bihar ke suraj bhaan ke sath jud gaya tha. Wo kabhi uttar pradesh aur uttar Bihar ka sabse khunkhar aur nirmam ganster tha jisne business mein dusro ke bich dehsat paida kar di thi lekin uske prabhav chetra mein kisi ne uska saamna karne ki himmat nhi ki thi. Wo rajnetao ke liye bhi sabse bada sirdard bann gaya tha jinhone police vibhaag se unke khilaaf tatkaal karwai karne ki shikayat ki thi.
Shri Prakash aur maafia Suraj bhaan dada ki jodi ne bahubali Virendra Pratap Singh aur bahubali harishankar tiwari ke samrajya ko bahut chot pahuchai thi. Wo daur railway ke officer ke liye chunauti bann gaya tha kyuki maafia Shri Prakash Shukla ke naam se bade bade gunday underworld mein ghus gaye the aur khud ko railway ki thekedaari se dur kar liya tha. Uss waqt railway ka tender lena matlab maut ko dawat dene jaisa tha kyuki uss waqt har kaam banduk ki nok par karwaya jata tha , halaaki Shri Prakash ke encounter ke baad bhi ye silsila kaafi samaye tak jaari tha. Don Shukla ke aatank ka andaza aap iss baat se laga sakte hai ki saal 1997 mein bahubali rajneta virendra sahi ko usne dindahade maut ke ghaat utaar diya tha, yahi nhi usne 13 june saal 1998 ko patna mein maujud Indira Gandhi hospital ke bahar bihar sarkaar ke tatkaaleen mantri Brij bihari prasad ko unke surakshaakarmiyon ke saamne hi goli maarkar hatya kar di gayi thi. Iss ghatna mein Shukla ne AK-47 rifle ka istemaal kar charo taraf apne naam ki sansani phaila di thi. Bihar ke mantri ki murder ka maamla abhi thanda nhi hua tha ki police ko ek aisi khabar mili jisse uttar pradesh police ke haanth paao phul gaye the. Actually hua ye tha ki maafia Shukla ne Uttar Pradesh ke tatkaaleen chief minister Kalyan Singh ko maarne ki supari le li thi aur ye khabar uttar pradesh police ke liye bomb girne jaisi thi. Tatkaaleen chief minister Kalyan Singh ko maafia Shukla ke mansubo ki bhanak lagte hi unhone STF ka gathan karke usse nirdesh diya gaya tha ki wo uss khatarnak apradhi se desh ko muqt karwaye. 4 May saal 1998 ko uttar pradesh ke tatkaaleen ADG Ajay Raj sharma ne police ke behtareen 50 jawaano ko chuunkar special task force banayi, iss force ka pahele task Shukla ko zeenda ya murda pakadna tha. 23 September saal 1998 ko STF ke prabhari Arun Kumar ko khabar mili ki Shukla Delhi se Ghaziabad ki taraf aa raha tha, jaise hi uske car ne vasundhra enclave ko paar kiya STF ki team ne picha karna shuru kar diya tha. Uss waqt tak don ko jara bhi shaq nhi hua tha ki uske piche STF lage huye the. Jaise hi uski car sunsaan ilaake mein pahuchi STF ki team ne achanak uski car ko overtake karke uske car ko rok diya gaya tha police ne usse samjhaya aur usse surrender karne ke liye kaha lekin Shukla nhi mana aur firing shuru kar di jiske jawabi kaarwaai mein usse maar diya gaya, jab Shukla ko mara gaya tha tab uski umar mehaj 25 saal thi. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Tridev 2 ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.
Chandan Pandit