Kolar Gold Field(K.G.F) jise ek wakt pe “Mini England” bhi kaha jaata tha, woh Karnataka ke Kolar District me stith, ek mining area hai. KGF ko lekar kaha jaata hai ki pichle 2000 saalon se yaha pe gold mining hote aayi hai, lekin uss wakt kyunki technology utni developed nahi thi, issi kaaran uss daur me bahut kam amount me gold extract hoti thi. KGF ke modern success ke peeche British Army se taalukh rakhne waale John Taylor ka haath hai. 1871 me British army ke purv officer John Taylor Bharat aaye, jinhone Kolar aur waha ki Gold mine ko lekar thodi research ki. Research ke baad unhone apni company “John Taylor and sons” ke through KGF me gold mining ki shuruat ki. Jaankaaron ka kehna hai ki Britishers ne 120 saal ke samay me, 1000 kg sona akele KGF se extract kiya. Isme koi shak nahi hai ki aakhir kyun ek wakt pe “Sone ki chidiya” kaha jaane waala desh, azaadi ke baad financial crisis se guzara tha. Kolar pe kayi dharmon ne bhi apni influence daali hai. Kolar me ek wakt pe Cholas aur Maratha ne kaafi saalon tak raaj kiya hai. Cholas aur Vijaynagar ke daur me “Someshwarar” jaise bade mandir bhi bane the, jiske baad Kolar me Mughalon ke dwara, pure 70 saal ka Islamic daur laaya gaya. Uske baad Britishers Kolar aaye, jinhone Kolar me Christianity ko badhawa diya.
Nawaab, Maratha, Nizam of Hyderabad aur Haider Ali jaise rulers ka rutba ek wakt pe Kolar me tha. Kolar ne inn rulers ke raaj me kayi badlaav dekhe, jiski history Kolar ke buildings aur sadak ko dekh kar aaj bhi pata chalti hai. 1770 tak toh Haider Ali ne Kolar pe raaj kiya tha, jiske baad 1791 me British Army General, Lord Cornwallis ne Kolar ko seized kar diya. Halanki “Saringapatnam Treaty” ke dwara jab Anglo-Mysore war khatam hua aur Mysore pe jab British raaj aaya, tab Kolar ko Lord Cornwallis ne dobara azaad kar diya. Ab Kolar Mysore ki sarkaar, yaani ki East India Company ke dwara operate hone lagi. 1805 me Gazipur me British Army General Lord Cornwallis ki maut ho gayi. 1880 me John Taylor ne KGF ki jyadatar mines apne company(John Taylor & Sons) dwara khreed li. Iske baad John ne Mysore Gold Mining company ke saath milkar, 1956 tak KGF ko operate kiya. Yaani ki KGF film me Rocky ke janam ke kuch saalon baad tak KGF pe John Taylor ka kabza tha. KGF ko 1905 me electrified kiya gaya. Yaani ki Gold extract karne ke liye bijli ki suvidha pahuchayi gayi. KGF tab hydroelectric ke through operate ho raha tha, jise Shivanasamudra Falls se generate kiya jaa raha tha. 1956 me Mysore Government dwara KGF pe dobara control le liya gaya. Iss daur me Gold mine expand hone laga, jiske chalte kaam ki talaash me Tamil Nadu ke Salem, Dharmapuri, Krishnagiri se lekar Andhra Pradesh ke Chitoor aur dusre districts se log Mine ke bagal me hi basne lag gaye. Log jaante the ki goldmine expand ho rahi hai toh labors ki jarurat bhi badhegi. Issi kaaran door-door rajya ke log bhi KGF me aakar basne lag gaye. KGF ke baahari ilaake pe ab gaaon basne lage. Wahi sehar ke andar Britishers, Indian Engineers, Geologist aur mine supervisor ke ameer pariwaar rehte the. 1956 me Kolar Gold Mine ko nationalized kar diya gaya, jiske baad KGF ne 900 ton sona desh ke liye produce kiya. Halanki Bharat sarkaar ne environmental aur economic concern ko dekhte huye, KGF ko 2001 me band karwa diya.
Asal me KGF me rehne, khaane aur paani ka utna intezaam nahi tha aur waha investment karna sarkaar ko sahi bhi nahi lag raha tha. Issi kaaran KGF ko 2001 me Bharat sarkaar ne bandkar diya.
Azaadi ke 9 saal baad jab 1956 me KGF ko nationalized kar use desh ki property ghoshit ki gayi, toh pichle 75 saal se KGF pe raaz karne waale John Taylor ke pariwaar ko desh chod kar jaana pada. Jyadatar Britishers aur Anglo-Indian pehle hi Bharat chod chuke the. Asal me jab 1956 me Mysore state ke CM “S.Nijalingappa” ne John Taylor se KGF ka kabza waapas apne haath me liya, tab John aur unke pariwaar ko desh chod kar jaane ke alawa aur koi raasta nahi tha. Lekin John Taylor aur unke pariwaar ko kahi naa kahi KGF aur Kolar se pyaar ho gaya tha, jis kaaran ise chod kar jaana unhe thoda dukhi kar raha tha.
Khair, yeh thi aaj ki kahani jo Rocky ke KGF ki history batati hai. Jo kuch bhi scene KGF me dekha gaya, woh jyadatar sach tha. KGF aur Kolar ki ek apni alag history hai, jise har kisi ko jaan’na jarur chahiye.
The End
KGF 3
जैसा कि हमने KGF में देखा मुम्बई के समुंदर से ही ज़्यादातर gold smuggling की जा रही थी और reality में भी मुम्बई gold smuggling