KGF 3

Kolar Gold Field yaani ki KGF me aaj bhi kaafi sona hai. Kaha jaa raha hai 2001 se band iss Gold Mine ko, sarkaar dobara kholwana chahti hai. KGF itna bada hai ki issi ke kaaran 1905 me duniya bhar me sabse jyada Gold produce karne ke maamle me, India 6th position pe tha. Iske alawa KGF Japan ke baad dusra town tha, jaha pe electrical supply shuru hui thi. KGF ka itihaas sadiyon purana hai. History ko dekhe toh 1700vi sadi me, KGF me proper Gold extraction Britishers dwara hone laga tha. British officer John Warren ka kehna hai, ki 1799 me Saringapatnam battle me Mysore ke raja Tipu Sultan ko maarne ke baad, East India Company ne Mysore me apna rule establish kiya tha. Halanki Britishers tab states pe direct rule nahi karti thi, issi kaaran jab Britishers ne Tipu Sultan ko maara tab unhone Mysore ka poora control “Maharaja of Mysuru” ko de diya, lekin unhone Kolar pe apna control kaayam rakha. KGF ko dekh asaani se kaha jaa sakta hai ki aakhir kyun humare desh ko ek wakt pe “sone ki chidiya” kaha jaata tha. 200 saal tak raaj karne waale Britishers ne humare desh ki zameen se 1000 ton ka sona extract kiya tha. Aisa nahi tha ki Britishers se pehle kolar aur Karnataka pe raaj karne waale raajaon ko gold mine ke baare me pata nahi tha. Asal me Britishers se pehle kayi raajaon ne gold ko extract karne ki koshish ki thi, lekin unke paas kyunki gold extraction ke liye proper resources nahi thi, issi kaaran woh sone ko nikaalne me kaamyaab nahi ho paayein the.
Wahi Film KGF me dikhaye gaye scenes lagbhag sahi the. British raaj ke dauraan Gold mine me 30,000 se bhi upar labors kaam karte the, jinhe kaafi pareshaan kiya jaata tha. Labors ko machines ki tarah treat kiya jaata tha. Unse din-raat kaam karwaya jaata tha. Wahi agar koi labor kamzori ya kisi aur kaaran se kaam karne se mana karde toh use, mauke pe hi maar bhi diya jaata tha. Ek tarah se woh daur kuch aisa tha, jisme humare hi desh ki mitti se sona lekar, humare hi desh ke logon ko torture kiya jaa raha tha. Jis tarah se Film KGF me Adheera(Sanjay Dutt) ke dwara labors ko torture karte huye dekha jaa raha tha, waisa hi kuch asaliyat me bhi ek wakt pe hota tha.
Lekin jab polished history ki baat hogi, toh aisa kaha jaayega ki kis tarah se Britishers ke influence me reh kar, kolar me jyadatar Indians engineer aur doctor ban rahe the, lekin koi yeh nahi batayega ki Britishers jaan kar kuch logon ko padha rahe the, taaki woh engineers ke through gold mine ko acche se operate kar paayein.
Rocky pe waapas aayein, toh jis tarah se usne ek wakt pe gold ka sapna dekha tha, kuch ussi tarah se ek Irish solider ne bhi aisa hi sapna dekha tha. 1850s me Michael naam ka ek Irish Solider, New Zealand me yudh ladne ke baad Bangalore me apna ilaaj karwa rahe the. Ussi dauran Michael ko Kolar me local gold mine ke baare me pata chala, jo asal me KGF thi. Ireland tab Britain ka hi hissa tha. Issi kaaran Irish aur British tab ek hi the. Jab Michael ne Kolar ke Gold mine ke baare me suna, toh woh bhi Rocky ki tarah gold haasil karne ka sapna dekhne lag gaye. Issi ke baad Michael Kolar pe research karne lage. Jab Michael Kolar Gold field pahuche toh waha pe khaali pade गड्ढे ko dekh, woh kaafi excited ho gaye the. Kuch गड्ढे 250 ft tak gehre the toh kuch usse bhi jyada gehre the. Michael ne mitti ke diwaar pe pairon ke nishaan bhi dekhe. Iske alawa Michael ki nazar kuch ancient equipment pe bhi padi, jiska istemaal mining ke liye hota tha. Halanki woh jagah ekdam khaali thi, naa hi waha pe koi miners the aur naa hi koi sona. Michael pehle insaan nahi the, jinhone iss ilaake me gold hone ka daawa kiya tha. Isse pehle 77AD me Roman Historian Pliny(प्लिनी), jo ek daur me kolar ke ilaake se guzare the, unhone iss ilaake me silver aur gold mining hone ki baat likhi thi.
Toh yeh thi aaj ki kahani, agar aapko yeh video pasand aaya, toh ise like karna naa bhule.
The End

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Pushpa 2

किसी भी फ़िल्म को हिट उसका story plot कराता है और इसलिए तो डायरेक्टर्स और राइटर्स अपनी फिल्म की story को बनाने के लिए कभी

Read More »
pushpa 2

Pushpa 2

पुष्पा मूवी के डायरेक्टर सुकुमार ने मूवी को तो बारिकी से बना लिया था, लेकिन कहते हैं ना कि आप जीतने भी बारिकी से काम

Read More »
KGF 3, Yash, Sanjay Dutt, Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

KGF 3

Pichli blog me humne aapko bataya ki kaise ek Arthur(आर्थर) naam ka ek aam ladka Dutch Schultz ban jaata hai aur crime ki duniya me

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​