Bahubali 3

Raja Bindusaar aur Rani Dharma ke bete Ne janm liya. Janm hote hote hi Bindusaar ko ehesaas ho gaya tha ki unka beta age chall kar unke samrajya ko vistareet karega. Aur isliye unke bete ka naam unhone rakha Ashok. Ashok ka ek bada bhai bhi tha jiska naam Sushil tha. Raj parampara ke anoosar bade bete ko Raj gaddi di jati hai. Sushil ki raaj mein aam janta ne vidroh karna shuru kar diya unke akushal tareeko ke karan. Jesse hi Ashok ko iske bare mein pata chalta hai wo khud us vidroh ko rokne ke liye ajate hain. Lekin Jesse hi logon ko pata chalta hai ki Ashok khud yahan par arahe hain vidroh ko rokne ke liye tab sare log bina koyi vidroh kiye Shanti se apne ghar chale jate hein. Sushil ko ye dekh kar kaffi chinta hone lagi. Sushil Ashok ke influence se kaffi jyada dara hua tha. Use dar tha ki agar log isi tarah Ashok ke samarthan mein rahene lage to unke Raj gaddi ko khatra ho sakta hai.

Issi baat se dar ke Sushil ne Ashok ko nirbas mein dall diya. Aur isi nirbas ka palan karte huye Ashok Kaling chale gaye. Ashok nirbas ke time pe buddh guruon ke sath apna waqt bita rahe the, tabhi unhe ye pata chala ki unke bhaiyon ne unke maa ki hatya kar di. Ye sunkar Ashok kaboo mein na rehe paye aur jakar apne sare bhaiyon ko mar dala. Apne bhaiyon ki hatya ke baad Ashok ne apne hathon mein sata sambhali. Raja banne ke baad se hi Ashok Purb aur Pascheem dono dishaon mein apna samrajya felana shuru kar diya. Kebal 8 years mein Ashok Bharat ka ek lota chakraborty samrat.

Itna sab kuch pane ke baad bhi Maurya pareevar mein ek hi kammi thi uska naam tha Kaling. Kaling wo rajya tha jise kabhi bhi Maurya rajwansh mein kisi ne nehi jeeta. Ashok ne ye faisla kar diya ki wo Kaling ko jeetenge aur maurya ka ye kalank hatayenge. Ashok ne apne jindegi ka sabse bada yudh ladne ke liye jate hain aur us yudh ka naam hota hai Kaling yudh.

Kaling yudh ke shuru se hi Ashok ne kayi sare Dushman sainiko ki jaan leli, jung itna khatarnak raha ki har taraf sirf khoon hi khoon tha. Dhul miti ka rang bhi laal ho chuka tha. Aur har taraf sirf lashe bichi najar aarahi thi. Ashok fir bhi ruke nehi aur apne pure takat se Kaling ko bhi Jeet liya. Akheer kar Kaling bhi ab Ashok ke muthi mein tha. Lekin wahin par Ashok ek baar apne charon taraf dekhne lage. Aur unhe Jo najara dikha wo dekhke Ashok ka dill beth gaya. Jung ka wo khaufnak najara dekh kar Ashok ko ye samajh mein agaya ki jung se sirf barbadi hi milti aur kuch bhi nehi. Aur Ashok usi samay apne talwar ko hamesha hamesha ke liye tyag dete hein. Aur ek Buddha dev ki sharan mein aa Jate hein.

 

 

 

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

KGF 3

Thumbnail : – KGF 3 के लिए हुआ survey? Khushiyan kabhi kisi ki mohtaj nhi hoti jab aati hai to har ghar aangan mai muskurahat

Read More »
Salaar,Prabhas,Shruti Haasan ,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Salaar

सालार दो parts में आ रही है, और इस पहले part का नाम है, Ceasefire, जिसका hindi meaning होता है, ‘युद्ध विराम’ या ‘संघर्ष विराम’

Read More »
Pushpa 2

Pushpa 2

जब भी मेकर्स किसी फिल्म की शूटिंग करते हैं, तो उन्हें इस बात का हमेशा ध्यान रहता है कि शूटिंग के दौरान उनकी फिल्म के

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​

Get Connected