Tridev 2

Mysore Puttaswamaiah Jayaraj ka janam saal 1944 mein banglore mein hua tha, wo bachpan se hi thigalrapete ke Annayappa garadi mein kusti practice kiya karte the, maano wo bachpan mein hi samjh chuke the ki aage unhe kismat kaha le jaayegi. Unhone Karnataka ke chief minister Devaraj urs ke tatkaaleen damaad MD Natraj ke raste ka anusaran kiya jo unhe underworld banglore le aaye hai aur baad mein ye India ke pahele underworld don banne. Lekin agar wo aaj cheif minister ke close nhi hotey toh unhe koi paihchan nhi mili hoti. Saal 1970 ke dasak mein Jayaraj aapradh ki duniya mein aa chuka tha wo bhi politicians ke back support ke wajah se jiske wajah se uska naam tha. Jayaraj ne dalitoh ke utthaan ki drsthi se unke kaam ko rokne ki koshish karne waale vipaksh se nipatne ke liye har sambhav tarike ka istemaal kiya karte the. Jayaraj ne chief minister ke liye ek majbut hathiyar ke roop mein kaam kiya tha jo aage chal kar ek Don bana. Saal 1979 mein Jayaraj chief minister ke damaad M.D. Natraj ke margdarshan mein banglore mein underworld ki duniya par raaj karne lage the lekin adaalat parisar mein Thigallarapete Gopi naam ek ek waikti par hamla karne ke liye unhe 10 saal ki saja ho gayi thi jiske wajah se Jayaraj ne underworld par apni pakad khoni shuru kar di thi. Saal 1984 mein jab wo rihah huye toh kotwaal Ramchandra aur Tel Kumar jaise aur bhi kai don the jinhone Jayaraj ki jagah le li thi. Jail se bahut muskilo ke baad inhone nikala gaya tha kyuki inhone kai baar jail se bhaagne ki koshish bhi thi lekin wo kabhi na kabhi pakde hi jaate hai the. Aakhir unki saja complete hui aur wo jail ke bahar aane ke baad unhone apne business mein phir se apni jagah banane ke kiye nayi sangharsh shuru kar di thi. Saal 1986 mein Kotwaal Ramchandra naam ke Don ko Agni shreedhar, varadraj nayak aur bachchan ne maar dala tha jinhe Jayaraj support kiya karta tha. Iss murder mein unhe saal 1986 mein agni,bachchan ke sath phir se jail bhej diya gaya tha.

Sab jayaraj ko jail hui toh ek din unki parole ke dauran uss par Pushparaj urph Cottonpete Pushpa, Chakre, Bekkinakannu Rajendra aur dusro logo ke sath ek group duwara Bengaluru Central Jail ke saamne hamla kiya gaya tha ,wo jail se bhaag kar uss murder case se bachne mein safal ho gaya tha. Iss ghatna ke baad unhe apni choton ke ilaaz ke liye K.R hospital mein inko admit karwaya gaya tha lekin unn par ek baar phir sharpshooter ke ek group ne hamla kar diya tha, jisse bachne ke liye unhone unn par bomb phek diya tha jiske wajah se wo baar baar bache the. Jab wo hospital mein gaye toh unka koi karibi thana Shekar police encounter mein mara gaya tha, usne apne sehyogi ki maut ke maamle mein police par dawaab banane ke liye apne newspaper ka istemaal usme apne lekh ke liye kiya. Saal 1980 ke dasak mein sattadhari dal ke netaao ko bachane ke liye saraganaon ka ek group banaya gaya tha jiska naam Indira Brigade rakha gaya tha aur iss group ka neta Jayaraj tha. Saal 1989 mein Jayaraj ne socha ki kyu na ab khud election mein uttra jaaye aur aisa hi hua Jayaraj ne ek independent candidate ke roop mein Jayanagar se vidhayak ke liye election ladne ka faisla kiya aur unhone election prachar ke liye 15 din ki parole par bheja gaya tha. Jayaraj ne apne election chinh ke roop mein tiger ko chuna, rally ke dauraan ek din wo apni jeep mein ek tiger ko pinjare mein band karke laya tha jisse waha ke log bahut attract huye the, aur issi ka faida unhone uthaya, unhone dekha ki logo ke bheed jama hone lagi hai toh unhone waha maujud saare logo se hanth mila liya aur unn se anurodh bhi kiya ki unko hi election jeetwaaye. Uss wat sara kaam Jayaraj ke mutabik hi chal raha tha lekin 21 November saal 1989 ko Siddapura police station se wapas aane waqt Jayaraj ki maut ho gayi thi, unki maut ka kaaran tha unke hi sehyogion ne hi wapas aate waqt unke gaadi par gooliya chalwa di thi jiske wajah se unki maut hui thi. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Tridev 2 ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

Chandan Pandit

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Gadar 2

Gadar 2

एक्टर सनी देओल जितना अपनी फिल्मों से प्यार करते हैं उससे कई ज्यादा प्यार वो अपनी audience से करते हैं। लेकिन कई बार अपने प्यार

Read More »
Gadar 2: The Katha Continues is an upcoming Indian Hindi-language romantic period action drama film directed by Anil Sharma. It is a direct sequel to the 2001 film, Gadar.

Gadar 2

यह कहानी है एक handsome Sikh Soldier और beautiful Kashmiri लडकी की, जिनके प्यार ने एक नई कहानी का आगाज़ तो किया, लेकिन उनकी कहानी

Read More »
DOSTANA 2

Dostana 2

दोस्ताना मूवी कई फिल्मों से बिलकुल अलग थी फिर चाहे वो उसकी कहानी हो, एक्टर या एक्ट्रेस हो या कोई सीन जिसने लोगो को अपनी

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​

Get Connected