Karan Arjun 2

Punarjanam ke upar aaj tak bahut saare research huye hai lekin koi bhi final nateje tak nhi pahucha hai aur iss par kai baar charche bhi hote aaye hai aur kai logo ne punarjanam ke hone ka dawa bhi kiya hai. Aaj hum jiss story ke baare mein jaanenge wo bhi yahi dawa kar rahe the ki unka bhi punarjanam hua tha . Humne iss se milte julte Kahani Karan Arjun ke part 1 mein bhi dekha tha lekin ab makers ko talash hai ek new aur interesting kahani ki toh ho sakhta hai ki wo prakash ki kahani ko Karan Arjun 2 mein use kar sakhte hai. Jiss ghantna ke baare mein aaj hum jaanenge wo ghatna hai saal 1950, April ki. Kosikalan gaaon ke niwaasi Bholenath Jain ke bete Nirmal ki mirityu chechak ke kaaran ho gayi thi Bholenath nhi jaante the ki ek na ek din unka beta punarjanam lekar unke paas jarur aayega aur aisa hi hua tha. Bhagwan ji ne bhi iss chiz mein koi deri nhi ki aur uske agle saal hi yaani saal 1951 mein chhatta gaaon ke niwaasi B. L. Vaashrney ke ghar ek bete ne janam liya tha aur uss bache ka naam Prakash rakha gaya tha. Prakash jab dheere dheere bada ho raha tha toh maano uske rehne ka tarika bhi dheere dheere badal raha tha aur jab Prakash saadhe 4 saal ka hua toh ek din wo achanak bolne laga ki wo Kosikalan mein rehta hu , mera naam Nirmal hai aur mujhe apne puraane ghar jana hai. Pahele toh unke pariwar waalo ko biswas nhi hua,unhe lag raha tha ki shayad bacha hai toh kuch bhi bol raha hai ya kuch aur bolna chah raha hoga. Lekin kuch din baad usne phir se wahi baatein ki jo usne uss din kaha tha ki wo Nirmal hai aur usse apne ghar jana hai. Aisa hi kuch hua tha Karan Arjun mein bhi jab sharukh Khan ko apne pichley janam ke baare mein sab yaad aa jata hai toh wo apni maa se milne ke liye apne ghar se nikal padta hai taaki wo apne adhure kaam ko pura kar sake, Prakash ko bhi samjh nhi aa raha tha ki wo apni baat kise bataye jo prakash par yakeen bhi karle. Ek din jab usne apni saare haadien paar kar di thi toh prakash ke pitaji ne apne bhai yaani prakash ke chacha ko bulwaya tha usse samjhane ke liye. Jab Prakash ke chacha ji aaye aur unhone saari baatein suuni toh unhone bola ki wo Prakash ko apne sath Kosikalan gaaon jarur lekar jaayenge taaki unka bhi shaq dur ho jaaye aur Prakash ki bhi confusion dur ho jaaye ki wo jo bhi keh raha hai wo possible nhi hai.

Uske agle hi din Prakash ke chacha ji usse apne sath Kosikalan gaaon le gaye lekin uski kismat kharab thi kyuki uss waqt waisa koi aadmi ya uss naam ka koi bhi aadmi waha maujud nhi tha toh prakash ke chacha ji ne usse samjhaya ki wo uske mann ka bharam hai . Itna kehte hai wo dono apne ghar ke liye nikal pade, ghar aane ke baad unhone prakash se bola ki wo unn saari baaton ko bhul jaaye lekin aisa ho na saka prakash ko har roj kuch na kuch baatein uske pichley janam ki yaad aa hi jaati thi aur usse pareshan kiya karti thi. Prakash ko bahut samjhane par ki wo saari baatein bhul jaaye usne unn saari baaton ko bhulna shuru kar diya tha lekin iski punarjanam ki saari yaadein puri tarah se khatam nhi ho paayi thi aur saal 1961 mein jab bholenath Jain ko kisi kaam se chhatta gaaon aana pada toh . Waha aane ke baad bholenath ji ko ye pata chala ki ek Prakash naam ka bacha hai jo unhe uska pita batata hai aur khud ko Nirmal batata hai . Ye baat suunkar wo fauran Prakash ke ghar gaye ye dekhne ki ye baatein kitne hadd tak sach hai, bholenath jaise hi waha pahuche unhone Nirmal naam lekar ek pukaar lagai jisko suunte hi Prakash bhaga hua aaya aur usne jaise hi bholenath ko dekha unhe fauran paihchan liya aur unse gale mil kar phut phut kar rone laga. Jiske baad usne wo saari chize batayi jo Nirmal ko yaad thi aur jab kuch sawal bholenath ne prakash se pucha jo sirf Nirmal aur bholenath jaante the toh unn saare sawalo ka jawab Prakash ne sahi sahi diya jiske baad bholenath aur prakash ke pariwar ko biswas ho gaya tha ki wo Nirmal hi hai jisne punarjanam liya hai, thik ussi tarah jis tarah Salman Khan ko yaad aagaya tha ji wo pichley janam mein kiya tha aur logo ne uss par biswas kar liya tha sabut dene ke baad. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Karan Arjun 2 ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

 

 

 

 

Chandan Pandit

 

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Solider 2 , Bobby deol , By Yash Vashishtha bollygradstudioz.com

Soldier 2

Aaj hum aapko bataane wale hai ek ese Indian Army Para Special Forces Commando ke baare mein jisne dushman ki do goliyan lagne ke baad

Read More »
DOSTANA 2

Dostana 2

दोस्ताना मूवी कई फिल्मों से बिलकुल अलग थी फिर चाहे वो उसकी कहानी हो, एक्टर या एक्ट्रेस हो या कोई सीन जिसने लोगो को अपनी

Read More »

Hera pheri 3

Sonu नया नया robber बना है और, जिसने अपने दिमाग में Robbery करने का full proof plan बना रखा था। अपने हाथ में एक pistol

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​