Singham Again

Mumbai ke Andheri ilaake mein kuch din pehle ek bus mein lagi thi aag. Hua yun ki yeh ek local bus thi jis mein 30 log travel kar rahe the. Din ke kareeb 3 baje the, aur hamesha ke jaise raaste par bahut bheedh thi. Sabhi passengers bus mein baithe baithe thak gaye the. Iss bus mein bache the, toh budhe bhi toh jawan bhi. Din ke samay sab shaant baith hi the jab achanak se bus mein aag lagna shuru hogayi.

Darsal yeh bus Andheri East ke Western Express Highway par Chakala junction par khadi thi. Iss bus ke petrol tank mein leak tha yeh kisi ko pata hi nahi chala. Bus traffic ki wajah se yahan atak gayi thi. Abb kyun ki petrol ki tank mein leak tha toh petrol Dheere Dheere neeche gir raha tha. Abb hua yun ki kisi ne paas mein ek jalti hui cigarette neeche gira di thi. Abb uss petrol ki wajah se bus mein aag lagna shuru hogayi.

Turant hi Mumbai Police wahan aa pahuchi aur unhone fire brigade ko bhi aghaa kardiya. Magar Mumbai aur Mumbai ka traffic! Time toh lagna hi tha, Isi liye hi Police ne unn 30 logon ko nikaalna start kardiya. Sabse pehle bachon ko nikaala gaya. Bache iss samay bahut rone lage the, aur bus bhi jaldi aag pakdh rahi thi, isi liye ek Police office Tadpade khud hi andar chala gaya. Bilkul, jalti hui aag se khelne ke mann se Tadpade ne bus mein andar jana chunna!

Ek ek kar kar usne pehle bache bhaar diye, aur phir ladies ko bhaar nikaala. Abb bus mein aag peeche se lag rahi thi. Isi liye logon ko aage se bhaar nikaala ja raha tha. Itne mein ek ladhke ko bahut khaasi hone lagi, toh woh bus aag ke dhuyein se behosh hone hi wala tha. Tab Tadpade ne usse kandhe par utha kar bhaar nikaala. Itne mein fire brigade wale aagaye, aur woh bus mein se aag bhujane lage. Sabhi ko ek ek kar Tadpade aur uski team ne safely paas ke hospital pahuchaya, aur iss incident mein kisi ko aanch tak nahi aayi. Kuch log shock mein the magar kisi ki jaan nahi gayi.

All thanks to Tadpade. Baad mein fire brigade walon ki bhi help kari Tadpade ne, toh ek buddhe uncle ne Tadpade ko aashirwaad bhi diya!

Uss din Tadpade hero se kam nahi tha. Sabhi ne uska shukriya adaa kiya, aur jo log bus mein the woh toh zaroor hi Tadpade ka naam hamesha yaad rakhenge.

Toh bus hamein Tadpade ki jhalak hamare Singham mein dekhne ko mil sakti hai Singham 3 mein. Kya pata Ajay bhi aise hi logon ko bachaate hue dikhein!

-By Pratima Ratwani.

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Ghajini 2

Ghajini 2

“एक फोन नंबर के 50 लाख”! यह लाइन किसी धमकी की तरह लग रही है।अब धमकी तो नहीं कह सकते हैं, पर किसी का फोन

Read More »
Sooryanvanshi 2, Akshay Kumar, By Jaya Shree , bollygradstudioz.com

Sooryanvanshi 2

26 July 2008. Gujrati ke sehar Ahmadabad mai chaaron taraf shanti chayi huyi thi. Log humesha ki tarah shaam ko Sadkon par nikale huye the.

Read More »

Sooryavanshi 2

Ye baat jankar Antonio ke pairon tale jameen khisak jati hai. Wo turant samajh nehi pata ki wo kare lekin kisi tarah se wo ye

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​