Fritz Duquesne ka janam saal 1877 mein east London, cape colony mein French Huguenot origin ke ek Boer pariwar mein hua tha aur baad mein wo apne mata -pita, Abraham Duquesne aur Minna joubert ke sath South Africa chale gaye the jaha sabne milkar ek farm khola tha aur waha kheti baadi mein lag gaye the. Abraham ne ek shikaari ke roop mein apna jeevan bitaya tha jo aksar apne shikaar ka khaal ,danth aur seeng bechane ke liye travel karte tha aur apne khet ke liye waha ek worker ko rakha tha . Fritz jab bada ho raha tha toh wo aksar apne pitaji ko shikaar karte huye dekhta aur hamesha bola karta tha ki usse bhi apne pitaji ki tarah ek aacha aur tej shikaari banna hai. Fritz ne shikaar karna shikha tha lekin usne sirf apne ghar tak hi usse rakha aur kabhi kisi khel mein uska use nhi kiya wo hamesha shikaari ke baare mein kisi newspaper ya magazine mein padh kar khush ho jaaya karta tha. Lekin Fritz jab bhi shikaar karne nikalte the toh unki Paheli pasand hamesha panthers rehti thi yaha tak ki unhone ek black panther par dhiyan laga kar usspar hamla kiya tha. Ye story bilkul ek spy ke life se relate kar raha hai ki kaise uska bachpan itna interesting tha maano usse hint mil rahi ho ki wo aage chalkar kuch bada karne wala ho ye kahani makers use kar sakhte hai Salman Khan ka bachapan dikha kar movie mein. Jab Fritz 12 saal ke the toh unhone ek aadmi Julu ko maar dala tha kyuki julu ne Fritz ke Mummy par hamla kar diya tha aur jisne halma kiya tha wo wahi ka local tha usne unhe dhamki di ki chup chaap waha se nikal jaao fauran, uss waqt Fritz ko wahi thik laga toh wo apne pariwar ke sath waha se nikal gaya lekin usne nikalte hi ab dono taraf se firing start ho chuki thi, Fritz bhi idhar se firing kar raha tha toh udhar wo bhi firing kar rahe the. Jab kuch waqt bita toh Fritz ne socha ki shayad wo log chale gaye waha se jab Fritz ne palat kar dekha toh usse pata chala ki uske ghar ka koi bhi insaan nhi bacha hai uske chacha, chachi aur Fritz ke cousin Bhai – Bahen bhi mare ja chuke the jisse dekh kar Fritz rone laga usse kuch samjh nhi aa raha tha ki wo ab aage akele kya karega aur kaise karega.
Ab agar makers yaha se kuch aisa turning point dikhate hai jisse Fritz ki life change ho gayi toh story kaafi curiosity jagah sakhta hai audience ke bich aur utna hi wo unhe different bhi lag sakhta hai. Itna sab dekhne ke baad Fritz apne ghar wapas gaya aur usne wo saari baatein apne maa baap ko bata di jiske baad saare log sadme mein chale gaye the. Jab Fritz 13 saal ka hua toh usse England ke ek school mein bheja gaya tha. Waha usne apni graduation puri ki aur baad mein wo Oxford University gaye aur military academy mein admission le liya . Lekin apni book mein Fritz ne khud likha tha ki wo apni graduation karne ke baad apni engineering ki padhai karne ke liye Europe jaa rahe the tabhi unki uss ship par Christian de Vries se mulakaat hui jiske baad unhone ye decide kiya ki ab wo puri duniya ghumna chahte hai. Lekin maano unko unki kismat ne wapas bula liya ho, jaise hi Fritz Europe pahuche unhe london se call aaya ki unko FBI ke team member ke sath ek mission par bheja ja raha hai toh jitna jldi ho sake unko London wapas aana hoga. Jaise hi ye baat Fritz ko pata chali wo turant London ke liye rawana ho gaye aur phir unhone Jaa kar uss mission ko join kar liya. Fritz nikal pade apne jasusi waale kaam ke liye aur unhone waha sabse dosti bhi karli aur sabke favourite bhi bann gaye the lekin tabhi unki mulakat hui Fiza se hui jo Germany ki thi kyuki abhi Fritz jawan the toh wo fiza ki taraf attract ho gaye jiske baad logo ko aisa lag raha tha maano Fritz ka mann ab kaam karne ka tha hi nhi. Ye angle bhi black Tiger movie ko ek aacha point de sakhta hai aur usse inhance kar sakhta hai . Sabne Fritz ko samjhaya bhi lekin Fritz nhi maana aur saal 1941 mein Fritz aur uske sath aur bhi log pakde gaye jasusi karte huye baad mein sabke saamne ye sachai saamne aayi ki fiza US ki ek officer thi jisse spy agent ko pakadne ka job diya gaya tha jo usne bakhubi aache se pura kiya. Ab jab Fritz pakda gaya toh usse court le jaya gaya jiske baad usse zindagi bhar ki saja mil gayi. Jab Fritz 68 saal ka hua toh waha ke goverment ko laga ki ab usse release kar deni chahiye kyuki uski saja puri hone mein abhi bhi aur 18 saal baaki thi, tabhi kuch saalo baad ye khabar aayi jail se ki Fritz ki tabiyat bahut kharab hai aur unki situation bahut critical hai jiske thode hi dino ke baad ye bhi khabar aayi ki 24 may saal 1956 mein jab wo 78 saal ke the toh unki mrityu ho gayi thi. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Black Tiger ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.
Chandan Pandit