Housefull 5

Robert Shull Goddard ek 50 saal ka mamuli watchman tha. Apni gareebi se aur apne halaat se pareshaan hokar Robert ne crime ka raasta chuna, magar uski tyaari puri nahi thi!
Robert ne decide kiya tha ki woh jis society mein watchman hai ussi ki aas paas wali societies mein chori karega. Robert woh saari cheezein churana chahta tha jo ki aaj tak woh khud khareed nahi paya tha. Usse TV, radio, cupboard, kapde sab churaane the isi liye hi usne thodi planning start kardi. Usne logon ka aane jaane ka time samjh liya, aur unn societies ke guards ko dost bana kar woh sab details nikaal li jo zaroori thi. Magar yeh story chor ki nahi hai!
Robert ne 2021 mein January ke mahine mein finally apne maksad ko anjaam dena chahta tha. Robert dabe paon paas ki society mein ek ghar mein, balcony se ghussa. Uss samay woh flat khali tha. Usne chup chaap TV churaane ka plan banaya tha. Usne jab TV churai toh usse pata nahi tha ki ghar mein fire alarm hai!
Woh hamesha apne saath cigarette rakhta tha. Isi liye usne ghar mein TV khiskate khiskhate cigarette jala li! Aur phir kya, fire alarm baj gaya! Robert wahan se toh bhaag nikla magar usne ek galti kardi!
Usne wahan par apni personal pocket diary gira di. Uss diary mein saari details thi. Hamesha se hi Robert ko loser kehte aaye hain log. Police ke haath jab yeh diary lagi tab unhein sab pata chal gaya. Ki kaise Robert ko hamesha se loser ka tag diya jata tha, usne kahan apni aur choriyan plan ki hain, usne kis kis se pata lagaya, kaun kaun se ghar lootne ke liye chune hain, isse pehle woh kya karta tha! Sab kuch.
Police ki madat khud Robert ne hi kardi. Police ko Robert ko pakdhne mein 2 din nahi lage. Bilkul paas ki hi choti si basti mein rehta tha Robert. Police walon ne usse pakdha aur puchtaach ki. Magar iss chor ko Police ne lock-up mein nahi daala, in fact usse toh job offer kardi. Hain, ajeeb haina! Police officer iss loser ko life mein pehla chance dena chahte the. Woh Robert ki personal diary mein uski planning padh kar bahut impress hogaye the, isi liye woh Robert ko chance de kar uss se loser ka tag hatana chahte the. Abb Robert ne Police ki madat ki khud ko pakdhwane mein, aur wahin Police ne Robert ki madat ki apne loser character ko tata bye bye kehne mein!
Toh bus aisa hi ek loser chor hamein Housefull 5 mein dekhne ko mil sakta hai. Kya pata iss baar Housefull franchise ek baar phir apne best loser character ko wapas le aaye!

-By Pratima Ratwani.

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Tiger 3

यह एक सच है कि एनटीआर वॉर 2 में वाईआरएफ स्पाई यूनिवर्स के साथ अपना बॉलीवुड डेब्यू करेंगे। यह फिल्म तारक और ऋतिक रोशन के

Read More »
War 2

War 2

फिल्म वॉर में एक्टर ऋतिक रोशन और एक्टर टाइगर श्रॉफ ने एक साथ फाइट की थी, लेकिन उनकी इस फेस ऑफ को audience ने सभी

Read More »
Dilwale

Dilwale-2

1994 me aayi Ajay Devgan, Sunil Shetty aur Raveena Tondon ki film Dilwale me, Ajay ke kirdaar ne critics se accha review haasil kiya tha.

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​

Get Connected