Bhool Bhulaiyaa 3

Japan ke Okinawa Island pe stith Nakagusuku(नकागुसुकु) hotel Japan ke most haunted place me shaamil hai. Iss hotel ki khaas baat yahi hai ki iska construction aajtak poora nahi ho paaya aur ab yeh hotel poori tarah se (abandoned)खंडहर ho chuki hai. “Nakagusuku Kogen Hotel”(नकागुसुकु कोगें)Okinawa Island ke beecho-beech Nagakusuku gaaon me stith hai. Sabhi jaante hai ki iss hotel ka construction paranormal activities ke kaaran rok diya gaya tha, lekin logon me अंधविश्वास na फैले issi kaaran Japan ki sarkaar kehti aayi hai, ki iss hotel ka construction economic reasons ke kaaran roka gaya tha. Nakagusuku hotel ऊंची पहाड़ी ki choti pe stith hai. Yeh jagah Japan me ancient time se hi kaafi important thi, kyunki yaha ki पहाड़ी se East Chinese Sea aur Pacific ocean dono ki panoramic view dikhayi deti hai. 15th century me Gosamaru(गोसामारु) naam ke ek raaja ne, Nagakusuku gaaon me ek lambi diwaar waali mazboot mahal banwayi, taaki dushman uspe asaani se attack naa kar paayen. Mahal ko 6 पत्थर ke दीवारों se bane courtyards(आंगन) protect kar rahe hai, jo ek dusre ke bilkul kareeb hai. Yeh mahal aaj bhi Japan ke Okinawa Island pe maujood hai. Iske alawa iss mahal ko UNESCO dwara world heritage site me bhi shaamil kiya gaya hai. Wahi iss mahal ke just peeche me खंडहर Nagakusuku hotel stith hai. Complex ka construction, jise ek hotel aur theme park ke roop me design kiya gaya tha, woh:1970s me Okinawa prefecture ki raajdhaani “Naha”(नाहा) ke investor dwara shuru kiya gaya tha. Jab Naha ke investor ne apni ruchi Nagakusuku hotel banane me dikhayi, toh aas-paas ke log aur Buddhist mandir ke monks(pujaari) ne unhe chetaavni dekar rokne ki kaafi koshish ki. Logon ka kehna tha ki jis jagah pe hotel banya jaa raha hai, waha pe कब्रिस्तान hai aur woh ek पवित्र स्थान Hai. Issi kaaran uss jagah pe आत्माओं ka वास hai. Halanki monks ki di gayi chetaavni aur logon ke dwara ki gayi protest, uss businessman ki soch ko nahi badal paayi. Asal me woh businessman khud ko Okinawa ki khubsurati aur historical view se faida pahuchaana chahta tha. Issi kaaran usne apne iss dream project ke liye करोड़ों rupay kharch kiye the. Issi kaaran Businessman ne gaaon waalon ki baaton ko nazarandaaz kar apne hotel ka construction shuru karwa diya. Yeh construction kaafi lambi chali, kyunki complex ko banate wakt kayi saare problems saamne aa rahe the. Kabhi koi labor ghaayal ho jaata tha toh kabhi koi labor mar jaata tha. Aisa lagataar hote raha, jis kaaran construction me delay hota chala gaya. Gaaon waalon ka kehna tha ki aisa issiliye ho raha hai, kyunki complex ko kabristaan pe banane se aatamaon ki shanati me dikkat aayi hai, issi kaaran ab unka bhoot, labors se iss baat ka badla le raha hai. Labors ki ho rahi lagataar maut ko dekh kar, complex ke construction me shaamil baaki labors me bhi khauf jaag gaya tha. Sab uss jagah ko cursed(शापित) maan’ne lage the. Issi kaaran labors uss jagah pe kaam karne se mana karne lage. Businessman yeh sab dekh kar kaafi chaunk gaya tha. Usse ab bhi yeh sab kuch अंधविश्वास aur coincidence ke alawa aur kuch nahi lag raha tha. Businessman ne apne dream project ko bachaane ke liye ek tarkeeb nikaali. Usne socha ki agar woh yeh saabit kar de, ki jis jagah pe woh complex bana raha hai woh naa hi cursed hai aur naa hi waha pe koi bhoot hai, toh phir labors wapaas kaam pe laut aayenge. Issi kaaran businessman ne Nagakusuku gaaon ke uss cursed jagah pe 3 raat bitaayi, jiske baad uss businessman ki dimaagi haalat kharaab ho gayi aur woh pagal ho gaya. Issi ke saath businessman ki company bhi bankrupt ho gayi. Jaankaaron ka kehna hai ki businessman ne mental hospital me suicide kar liya tha. Nakagusuku me jab thodi khoj ki gayi toh logon ko adhure bane hotel ke neeche ek पवित्र गुफ़ा dikhi, jisme ancient times ke kayi saare tombs(कब्र) maujood the. Kuch log kehte hai ki hotel ka nirmaan issi liye rok diya gaya, kyunki isse environment ko nuksaan pahuchta aur Okinawa ki khubsurati bhi kharaab hoti. Khair, ab reason jo bhi ho lekin yeh baat toh sach hai ki “Nagakusuku hotel” ka nirmaan kabhi nahi ho paaya aur Okinawa ke log aaj bhi yahi maante hai, ki yeh jagah haunted hai. Log yeh bhi kehte hai ki kuch saalon se iss jagah pe achaanak bacche gaayab hone lage hai. Logon ke anusaar unhone iss jagah pe ek chote bacche ka bhoot bhi dekha hai. Halanki inn kahaniyon se tourism pe koi fark nahi pada hai aur tourist aaj bhi Okinawa aakar Nakagusuku hotel ke ruins ko dekhte hai.
Toh yeh thi aaj ki kahani, ho sakta hai Bhool Bhulaiyaa-3 aisi hi kisi puraane mahal ya phir kabristaan pe bane building ki kahani pe based ho.
The End

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

DUNKI

Dunki

Travelling based फिल्मों में कहानी के description का बहुत importance होता है। यह फिल्म को एक extra dimension देता है और दर्शकों को एक ऐसा

Read More »

Balwaan 2

Thumbnail:- navniet कौन है? Balwaan2 By vareena Tandaniya कहानी की शुरुआत होती है। 22 अक्टूबर 1971 में कैंडर गांव में एक बच्चे का जन्म होता

Read More »
Dabangg 4,Salman Khan,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Dabangg 4

“हुड हुड Dabangg” गाने का तो नाम ही सुनकर लोगों के पैर नाचने लग जाते है, और शायद ऐसा ही कुछ मेकर्स भी इस गाने

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​

Get Connected