Krrish-4

June 1951 me raat ko kareeb 11 baj kar 15 min pe, Rudolph Fentz naam ka aadmi achaanak se New York ke Times Square ke saamne प्रकट hota hai. Uss aadmi ne puraane zamaane ke kapde pehne huye the. Rudolph ko dekh kar aisa lag raha tha, jaise woh iss zamaane ka nahi hai. Kisi ko samjh nahi aa raha tha ki aakhir woh aadmi, yaha achaanak se kaise aa gaya. Yaha tak ki Rudolph aas-paas ke logon ko dekh kar khud hi kaafi shocked tha. Use bhi aisa hi lag raha tha ki aakhir woh iss jagah pe aaya kaha se. Times Square ke paas maujood log Rudolph ki body language dekh samjh gaye the, ki woh aas-paas ke logon aur cheezon ko dekh kaafi jyada shocked tha. Rudolph Times Square ke paas se guzar rahe vehicles ko aur waha pe lagi shiny lights ko kaafi gaur se dekh raha tha. Ek report ke mutaabik jaise hi Rudolph sadak ke dusri yor jaane ke liye aage badha, waise hi speed se aa rahi ek gaadi ne use jor se takkar mar di. Gaadi se takraane ki wajah se Rudolph ghyaal ho gaya aur wahi beech sadak pe gir kar behosh ho gaya. Jab tak ki logon ka dhyaan Rudolph pe jasta aur woh use bachaane ke liye aage badhte, usse pehle hi Rudolph ki maut ho chuki thi. Logon ne iss ghatna ke turant baad Police ko inform kiya. Jab Rudolph ki talaashi li gayi, toh uske paas se kayi saari hairaan karne waali cheezen mili. Jaise ki beer token ke 5 cents ya phir ghode se kheenchi jaane waali gaadi ke safai ka bill, jispe “Livery Stable Lexington Avenue”(लाइवरी स्टेबल लेक्सिंगटन एवेन्यू) ka address diya hua tha. Halanki jab police ne address book me khoj kiya, toh unhe 1951 me iss naam ki koi jagah mili hi nahi. Iske alawa Rudolph ke pocket se 70 dollar ke puraane note aur kuch coins bhi mile the. Iske alawa uss aadmi ke pass se ek business card bhi mila, jispe likha “Dr. Rudolph Fentz Senior” aur ussi ke saath “5th Avenue, New York” ka address likha hua tha. Rudolph ke paas se ek letter bhi mili, jise Philadelphia(फ़िलाडेल्फ़िया) bheja jaana tha. Letter ke saath 1876 ka ek stamp bhi attached tha. Rudolph ke paas se mili inn cheezon ki khaas baat yeh thi, ki yeh puraane samay ki hone ke bawajood bhi, bilkul nayi nazar aa rahi thi.
Kyunki yeh case thoda mysterious tha, issi kaaran iss case ki jaanch karne ki zimmedaari, investigation bureau ke head, Captain Hubert ko di gayi thi. Jab Captain Hubert Rudolph ke address pe pahuche toh waha pe ek office mili, lekin waha pe maujood kisi bhi insaan ko Rudolph ke baare me koi jaankaari nahi thi. Captain Hubert ne 1951 ke saare telephone directories aur Address book check kar liya, lekin unhe Rudolph naam ke kisi bhi aadmi ka koi pata nahi mila. Police ko aisa laga ki ho naa ho Rudolph ka pariwaar jarur hi uski “missing report” file karwayega. Lekin Rudolph ke huye car accident ki ghatna ke baad wakt kaafi beet’ta chala gaya, lekin police me Rudolph ko lekar kisi bhi police station me report nahi file karwayi gayi thi. Inn sab ke bawajood bhi Captain Hubert ne apna kaam jaari rakha aur woh lagataar Rudolph ke case ko suljhaane me lage huye the. kaafi research ke baad Captain Hubert ko 1939 ke address book me “Rudolph Fentz Jr.” naam ke aadmi ka address mila. Uss address pe pahuchne ke baad, Captain Hubert ko pata chala ki ab waha pe koi aur rehta hai, jisne Rudolph Jr. se iss ghar ko khreeda tha. Halanki kisi tarah se police ko Rudolph Jr. ka address ka pata uske bank details se chala. Lekin uska account ab band ho chuka tha, kyunki Rudolph Jr. Ki maut 5 saal pehle hi ho gayi thi. Par shaayad Rudolph Jr. ki wife abhi zinda thi, jo Florida me kahi reh rahi thi. Caption Hubert ne Florida me reh rahi Rudolph Jr. ki wife ka pata nikala aur woh apni team ke saath uss address pe pahuch gaye. Halanki Rudolph Jr. ki wife ne Captain Hubert se jo kuch bhi kaha, usse sunkar waha pe khada har koi hairaan ho chuka tha. Rudolph Jr. ki wife ne bataya ki Rudolph Fentz Senior jiski maut car accident me hui thi, woh uske father-in-law the, jo saal 1876 me kahi laapata ho gaye the. Rudolph Jr ki wife ne bataya ki uske father in law, yaani ki Rudolph senior apne ghar se walk karne ke liye nikale the, lekin woh kabhi waapas hi nahi laute. Iske baad Captain Hubert ne 1876 me jitne bhi “missing report” file huye the, unn sab ki poori jaankaari nikalwayi. Tab jaakar pata chala ki 1876 me Rudolph Fentz Senior ki missing report sach me file hui thi. Jab Hubert ne 1876 ke missing report se, uss laapata aadmi ki jaankaari nikaal kar, use 1951 ke car accident me maare gaye Rudolph se milaya, toh woh details ek dusre se poori tarah se match kar rahi thi. Issi ke baad Hubert ke dwara jitni evidence collect ki gayi thi, usse yeh prove hua ki 1876 me laapata hua aadmi, Rudolph Fentz hi tha, jiski maut ek car accident me 1951 me ho gayi thi. Halanki aajtak koi yeh nahi saabit kar paaya hai, ki aakhir kaise Rudolph 1876 se seddhe 1951 me pahuch gaya. Kayi logon ke anusaar yeh case time travel ya phir time slip ka hai. Ab sacchai kya hai yeh kisi ko nahi pata.
Krrish-4 me dekhna yahi hoga ki aakhir krrish kis tarah ki device ka istemaal kar wakt me peeche jaata hai aur yeh bhi jaan’na kaafi दिलचस्प hoga, ki aakhir uss device ko kon aur kaise banata hai.
Khair, yeh thi aaj ki kahaani agar aapko yeh video pasand aaya toh ise like karna naa bhule dhanyawaad
The End

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

JAWAN

Jawan

बबली के पिताजी रतन सिंह army में थे । छुट्टियों के समय घर आए हुए थे । करिश्मा कई बार अपने पिताजी की वर्दी पहन

Read More »
DUNKI

Dunki

फिल्म डंकी रिलीज होने से पहले ही काफी तारीफें बटोर रही है लेकिन कोई भी पूरी फिल्म में एक्ट्रेस तापसी पन्नू की बातें नहीं कर

Read More »
Master

Master

Lokesh Kanagaraj की film “Master” Highest Grossing Tamil film बन गयी है, एक regional film होते हुए भी Master ने 300 करोड़ की box office

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​

Get Connected