Munna Bhai-3

Munna Bhai aur Circuit ki jodi ki hi tarah Kamlesh aur uske cousin Nathu ki jodi bhi hai, bus fark itna hi hai ki Kamlesh aur Nathu businessman hai.
Kamlesh Nanasaheb Ghumare aka “Jugaadu Kamlesh” ka janam, 1996 me Malegaon Maharashtra me hua tha. Har normal student ki hi tarah Kamlesh ne bhi apni 12th ki padhai poori karne ke baad, apna admission Malegaon ke hi ek college me karwa liya. Halanki BCA 2nd year ki padhai kar rahe kamlesh, jald hi college se drop-out ho gaye. Issi kaaran Kamlesh ke paas koi bade college ki degree nahi hai, lekin unki sirf ek idea ne hi unhe poore India me star bana diya hai. Kamlesh ka kehte hai ki, “Naukri karunga toh sirf 24 ghante ke liye kisi ka gulaam rahunga aur hum kisan hai, hum kisi ke gulam nahi rehna chahte hai.” Jugaadu kamlesh ki yahi baat hi unhe sab se alag banati hai. Jugaadu kamlesh ek kisaan hai aur unki khud ki “KG Agrotech” naam ki ek company hai, jo agricultural product produce karti hai. Kamlesh haal hi me “Shark Tank” naam ke ek business show pe aaye the, jaha pe unhone apni company ki product ko judges ke saamne rakha. Shark Tank ek aisa show hai, jisme desh bhar ke entrepreneurs apne company ke liye investment karwaane aate hai. Iss show ke judges badi company ke maalik hote hai. Agar judges ko show pe aaye huye kisi bhi entrepreneur ka start-up idea pasand aa jaata hai, toh woh uss company me invest kar dete hai. Kamlesh bhi apne product ke saath issi show pe aayen the. Kamlesh ne apni khud ki company shuru karne se pehle Malegaon me ek hotel bhi khola tha, lekin woh chal nahi paaya tha, jis kaaran unhe hotel ko humesha ke liye band karna pada tha. Halanki iss hotel ke band hone ke peeche bhi ek kaaran hai. Kamlesh kehte hai “Maine apne town me ek hotel shuru kiya tha, sab kuch accha chal hi raha tha ki ek din mere doston ne mera phone lekar ek random ladki ko phone kar diya. Yeh maamla itna serious ho gaya ki poore town me yeh ek bada mudda ban gaya tha. Sab log mere character ko judge karne lag gaye the. Town ke sabhi log mere character ko lekar mere parents ko taunt maarte the. Par mere parents ne mujh par bharosa dikhaya, unhe vishwaas tha ki mai kabhi kuch galat nahi kar sakta. Mujhe yaad hai ki meri maa ne mujh se ek baar kaha tha ki, hume tumpe vishwaas hai, kuch itna bada karo ki aaj jo log hume taunt maar rahe hai wahi log kal tumhare paas madad ke liye aayen.” Issi ke baad Kamlesh apne pita ke saath milkar kisaan ke taur pe apne kheton me kaam karne lag gaye. Ek din Kamlesh jab khet me kaam kar rahe the, toh unhone dekha ki apne khet me jis pesticide ka woh istemaal karte the, uske kaaran Kamlesh ke pita serious health issues face karne lage the. Kamlesh ne uss ghatna ko yaad karte huye kaha “ek din jab mai apne pita ke saath apne khet me kaam kar raha tha, tab hi maine dekha ki jis insecticide ka istemaal mere pita kar rahe the, usse unhe serious skin disease ho gayi thi, lekin mere pita iss baare me kabhi koi shikaayat nahi karte the. Par maine bhi soch liya tha ki mujhe mere pita aur desh ke baaki ke kisaano ke liye kuch karna hai. Maine process ko asaan banane ke baare me socha. Mai koi engineer nahi tha, lekin mere paas ek plan tha. Mai apne paas ke kabaadi ki dukaan me jaakar, waha se kuch spare parts aur कतरन(scrap) utha leta tha. Inn sab ko jod kar maine kuch aisa banaya jo ek cycle ki tarah nazar aa raha tha, lekin yeh utna efficient nahi tha. Issi kaaran mai isme jarurat ke according aur bhi cheezen add karta chala gaya.” Kamlesh ko “pesticide trolley cart” banane me kareeb 7 saal lag gaye. 2012 me Kamlesh ne apni trolley cart ki ek vide,o YouTube pe upload ki jo bahut kam wakt me hi viral ho gayi. Kamlesh ko kayi dusri companies se bhi offer milne lag gaye, ki woh apne product ko unhe bech de lekin Kamlesh ne unn sabhi offers ko reject kar diya. 2021 me Kamlesh ne Shark Tank ka promo apne phone pe dekha, jispe uske cousin Nathu ne use Shark Tank me participate karne ko kaha. Yeh wahi wakt tha jiske baad se Kamlesh ki zindagi humesha ke liye badal gayi.
Aage hum jaanenge ki aakhir kis tarah se Shark Tank tak Malegon ka Kamlesh pahucha aur kaise usne apne ek idea ko ek company badal diya.
Jaan’ne ke liye dekhte rahiye humara yeh channel jiska naam hai Bollygrad studioz.
The End

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Rowdy Rathore 2,Akshay Kumar,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Rowdy Rathore 2

इसी तरह शासन को कई तरह की सूचनाएं भी एसपी सिटी दफ्तर से लगातार भेजी जाती हैं, उन्हें संकलित करना और समय पर भेजना आरके

Read More »
Krrish 4 , Hrithik Roshan, bollygradstudioz.com

Krrish 4

Toh yeh baat hai Ranjit Kumar Chandra ki jo ki Indian born Canadian the. 1980s se hi inhone apne rang Canada ki Ross Laboratories mein

Read More »
Singham 3, Ajay Devgn Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Singham 3

बचपन में ही अनाथ हो जाने से बड़ा दुख कोई नहीं. लेकिन अगर आपके मन में कुछ कर गुज़रने का ज़ज़्बा हो तो इतने बड़े

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​