Shiv Vihar colony Delhi ki abb safe nahi hai. Kuch dino pehle yahan par khule mein choriyan shuru hui hain. Yeh teenagers ki ek gang hai jo khud ko “cool” aur “smart” samjhti hai.
Shiv Vihar police station mein din dahade choriyon ki khabar badhti jaa rahi thi. Shuruaat mein hafte ka ek case araha tha, magar abb harr dusre din Police ko complaints mil rahi thi, jiski wajah se abb chaanbeen start karni padhi thi. Baat yeh nahi hai ki choriyan badi thi yaa choti. Baat yeh hai ki yeh chor sabhi ke sabhi bache the.
Aaj kal ke bach Instagram se itna influenced hain ki yeh log khud ko star samjhne lage the. Ek yaa do choriyon ke baad inhein laga ki inhein pakdhna mushkil hi nahi naamukin hai, toh kuch dino se yeh apna Instagram status upload kar rahe the. Status mein yeh apni chori ki exact location, time aur kya cheez churaayenge uski information daal dete the. Yeh 5 ladhkon ka group tha jismein sabhi 13 se 17 saal ki umar ke the. Yeh roz subah 8 se 9 baje ke beech status daalte the, aur pure din mein kabhi bhi chori kar sakte the. Inka manobal badhta hi jaa raha tha. Kabhi yeh log purses churate the, toh kabhi dukaano par jaate, chaku dikha kar, saare paise hadap lete the. Inn videos mein yeh haste hue dikhte the aur aise aise captions bhi daalte the ki “bach kar rehna”, “arahe hain tumhare baap”.
Toh Police ko 3 yaa 4 hafte baad yeh activities ke baare mein pata chala jiske baad Inspector Rao inhein pakdhne ke liye nikle.
Iss din bhi inn bachon ne status daala tha, aur apni jagah batayi thi. Rao sahab apne sub-inspector ke saath nikal gaye, aur toh aur bilkul wahin jaa pahuche jahan inhone kaha tha.
Hua kya? Yeh bache tashan mein apni bike par aaye, aur dukaan mein ghus gaye paise hadapne ke liye. Dukaan wala jaanta tha ki aaj Police aayi hai. Woh jaise hi paise dene laga tab Rao sir ne aakar inki gardhan pakdh li aur inhein police van mein daalkar legaya. Police thane mein inki khoob khatir daari ki Police ne taaki inhein samjh aaye ki itna raub acha nahi hai. Inse puch taach kar kar saara chori ka saaman mangwaya gaya, aur itna hi nahi, inn sab ko juvenile home bhi bheja gaya.
Sabhi ne inspector rao ka shukriya adda kiya, aur pure ilaake mein Rao sir hero bann gaye. Thode din tak toh pure ilaake mein shaanti thi, aur abb koi Instagram status bhi nahi araha tha.
Toh bus Rao sir jaise hi hamare Sallu Bhai bhi Dabangg tarike se inn bachon ko pakdh skate hi hain!
-By Pratima Ratwani.