Sooryavanshi 2

United Nations ne thode hi din pehle yeh ailaan kiya hai ki Afghanistan mein Indian embassy mein kaam karne waale officers ko death threat mili hai.
Darsal baat yeh hai ki Afghanistan mein abb Taliban ka raj hai. Aise mein Islamic State in Iraq and the Levant-Khorasan (ISIL-K) naam ka terrorist group abb aage araha hai, jo Taliban ki government ko kamzor dikhaane par tula hai. UN- Secretary General Antonio Guterres ne yeh bataya hai ki yeh log international peace aur security ke liye threat ho sakte hain kyun ki, inhone khuli chetawani di hai ki yeh log Indian embassy aur saath hi saath China aur Islamic Republic of Iran in Afghanistan ki embassies parr attack karne waale hain. Inka maksad hai Taliban ke raj mein logon ko yeh samjhna ki woh kitna helpless aur powerless ho sakta hai. ISIL-K ke hisaab se woh harr embassy ke bhaar jaakar bomb plant karenge, aur andar ghus kar ek ek ko point blank ki range se goli maar denge, aur koi unka kuch nahi ukhaad paayega. Unhone yeh khule mein kaha hai taaki Taliban agar inn logon ko security provide kar sakta hai toh kare, magar jahan tak ISIL-K ka sawaal hai woh saare roadblocks ko side mein hatate hue yeh karenge. Woh na Taliban se darte hain aur na hi maut se.
Iss embassy ki reopening tab hui thi jab senior Ministry of External Affairs official J.P. Singh khaas Kabul gaye the meeting ke liye. Aur abb jab sab normal working dikh raha tha, toh ISIL-K ne akar wapas se iss embassy ko giraane ka aur band karne ka threat de diya hai.
Issi wajah se abb dikkat yeh ho rahi hai ki Indian embassy ke workers ko darr lag raha hai. Woh toh 9 to 5 job karne waale mamuli officers hain, magar yeh apasi ladai unhein abb bhari padh sakti hai. Pichle 2 yaa 3 hafton se unka office jana mushkil hogaya hai, aur thodi si bhi hulchul ki wajah se operations band kardene padhte hain.
India ki government decision le rahi hai ki kuch time ke liye Indian embassies mein kaam kar rahe workers ko India lekar aya jaaye, jiske liye secret mission ki tyaari chal rahi hai. India apne logon ko aise maut ke ghat nahi utaar sakta isi liye jald se jald yeh operation raat ke andhere mein inhein complete karna hi hoga.
Toh bus yahi mission hamare Soorya karte dikh sakte hain Sooryavanshi 2 mein. Afghanistan mein jaakar, terrorists ke naak ke neech se apne bando ko nikaal kar lana, hamare Khiladi kumar ka dream project hai!
Toh tyaar rahiye kuch actions ke liye.

-By Pratima Ratwani.

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

War 2

War 2

यशराज फिल्म्स भी अब नेपोटिज्म को बढ़ावा दे रहा है और दे भी क्यों ना हर फिल्म में अब सिर्फ और सिर्फ स्टार किड ही

Read More »
Gadar 2

Gadar 2

हिंदी सिनेमा की ब्लॉकबस्टर फ़िल्म में से एक गदर: एक प्रेम कथा का सीक्वेल गदर 2 अपनी रिलीज़ से बस कुछ ही दिनों दूर है।

Read More »
Pathaan, Shah Rukh Khan, Deepika Padukone, John Abraham, Dimple Kapadia,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Pathaan

Virginia Hall (वर्जीनिया हॉल), एक disabled Secret Agent, जिसने Second world war में नाजियों (Nazis) के खिलाफ लड़ाई में अपनी भूमिका निभाने कि कसम खा

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​