Kahani ki shuruaat mein hum Indian Army ke ek soldier ko dekhte hai, jo ek anti terrorists operation ke beech mein hota hai. Vo soldier operation ke beech mein hi ek haath mein phone pakadkar apni maa se call par baat kar raha hota hai, or doosre haath mein uske pass hota hai ek explosive bomb. Vo soldier apni maa se kehta hai ki,” shayad iss baar mein apne pairo par nhi balki Tirange mein lipatkar ghar vaapas aau, lekin chahe kuch bhi ho jaye aapko ghabrana nhi hai”. Vo soldier apni maa se itna kehta hi hai ki tabhi vahan par firing hona shuru ho jaati hai or vo soldier jaldbaazi mein apni maa se ye kehkar call cut kar detaa hai ki vo unhe baad mein call karega.
Idhar Kerala mein buri tarah se darr chuki us Soldier ki maa baar baar apne bete ko call karti hai, lekin udhar Kashmir mein unke fauji bete ka phone switch off jaa raha hota hai. vo soldier apne haath mein ek explosive bomb ko lekar badi hi saavdhani se ek ghar ki taraf badhne lagta hai. Apne hath mein explosive liye terrorists ki taraf badh raha ye soldier koi aam soldier nhi balki Indian Army ki 42 Rashtriya Rifles ka officer Major Rishi Rajalakshmi Nair tha. Ab kahani jaati hai kuch samay pehle.
Major Rishi jo ki 2017 mein Kashmir ke Tral sector mein posted the, unhone or unki unit ne milkar 4 March 2017 ke din Tral sector mein vahan ki male population ke liye ek medical camp ko organize kiya tha. Vaise to Tral ke logon ko Army ke dwara organize kiye jaane kisi bhi camp mein koi bhi dilchaspi nhi thi, lekin jab unhe pta chalta hai ki ye medical camp Major Rishi ne organize kiya hai toh Tral ke sabhi aadmi is camp mein badh chadkar hissa lete hai. Saal 2015 mein Tral mein post huye Major Rishi ache se jaante the ki, agar unhe iss ilaake se terrorists ko bahar nikalna hai, to uske liye unhe local logon ki madad ki jarurat padegi. Isliye Major Rishi ne Tral mein apni posting ke pehle din se hi vahan ke logon ke saath ghulna milna chalu kar diya tha. Major Rishi Tral ke logon ke ghar par khana khate, chai Peete , unke bachcho ke saath khelte or jarurat padne par paiso se bhi unki madad kiya karte the. Jis vajah se kuch hi samay mein Tral ke log Major Rishi ki respect karne lage the, or terrorists ko pakadne mein unki jitni ho sake utni madad kiya karte the. Yahi vajah thi ki jo log kabhi Indian Army dwra organize kisi camp mein hissa nhi lete the, aaj usi camp mein Major Rishi ki vajah se logon ki line lagi hui thi. Jyada numbers mein logon ke aa jaane ki vajah se Major Rishi apne Commanding Officer se baat karke iss camp ki timings ko dophar ke teen baje tak karva dete hai. Major Rishi camp mein aaye logon se unka haal chaal pooch hi rahe hote hai ki, tabhi Major Rishi ko unke Commanding Officer Colonel Neeraj Pandey ka call aata hai. Colonel Neeraj Major Rishi ko batate hai ki abhi abhi unhe intelligence mili hai ki unka ek high value target Hafoo gaon mein chupa hua hai, or ye high value target or koi nhi balki Hafiz Muhammad Aaqib AKA Aaqib Molvi hai. Aaqib Molvi ( Sunil Palwal ) koi chota mota local terrorist nhi tha balki Hijbul Mujahideen ka ek commander tha, jise Wani 2.0 ke naam se bhi jana jata tha. Aaqib Molvi Facebook, Instagram, YouTube or Twitter jaise social media sites ka use karke India khilaaf propaganda failaane or Kashmir ke youths ka brain wash karne ka kaam karta tha, isi ke saath vo Indian Army attacks ko bhi organize karta tha. Major Rishi ko unke Commanding Officer se khabar mili hoti hai ki Hafoo gaon mein Aaqib akela nhi hai, uske sath Jaish-E-Muhammad ka ek or aatanki Saifullah AKA Osama bhi chupa hua hai. Major Rishi bina der kiye apni Quick Response Team ke saath Hafoo gaon ki taraf nikal padte hai
Shaam ko 4 baje ke aaspaas Major Rishi aur Quick Response Team Hafoo gaon pahuch jaati hai. Gaon pahuchte vahan ke local log unpar paththar fenkne lag jaate hai. Thodi hi der mein vahan par Central Reserve Police Force or Jammu and Kashmir Police ka unit bhi pahunch jaata hai. Major Rishi turant hi CRPF or J&K Police ki units ko un paththarbazo ko control karne ka order dete hai, taaki vo or unki Quick Response Team Terrorists ko dher kar sake. Major Rishi achee se jaante the ki agar unhone in paththarbazo ki bheed ko control mein aane ka wait Kiya, to tab tak vo dono terrorists yahan se bhaag jaayenge. Isliye Major Rishi aur unki Quick Response Team jaise taise kar ke bheed ke beech mein se hote huye Hafoo gaon ke andar enter karti hai. Iske baad Major Rishi apni Quick Response Team ko do-do ki teams mein mein divide kar dete hai aur unhe gaon ka ek ek ghar search karne ke orders dete hai or khud apne buddy ke saath gharo ko search karne lagte hai. Aadhe ghante tak kai gharo ko search karne ke baad Major Rishi bahar sadak par aakar khade ho jaate hai. Major Rishi soch rahe hote hai ki sayad abtak vo dono terrorists bhaag chuke honge, ki tabhi unki najar unse kuch dur ek ghar ke bahar khade kuch logon par padti hai jo paththarbazo ki bheed ka hissa nhi the. Major Rishi notice karte hai ki ghar ke bahar khade logon mein se ek aadmi unhe lagatar ghoore jaa raha hai. Major Rishi bhi uski taraf dekhne lagte hai. Tabhi vo aadmi apni aankhon se Major Rishi ko ek ghar ki taraf ishara karta hai, Major Rishi samajh jaate hai ki, ho na ho vo aadmi unki madad karne ki koshish kar raha hai. Isiliye Major Rishi apne buddy ke saath us ghar ki taraf badhne lagte hai or us ghar ke bahar pahuchne ke baad jab Major Rishi peeche mudkar us aadmi ki taraf dekhte hai to vo aadmi apna sir haan mein hila deta hai. Us aadmi se assurance milte hi Major Rishi samajh jaate hai ki Aaqib aur Osama isi ghar mein chupe huye hai, or vo apni Quick Response Team ko ghar ko chaaro taraf se gherne ka order dete hai. Major Rishi ye baat achee se jaante the ki agar vo dono terrorists iss ghar mein mojood hai to un dono terrorists ke pass hathiyar jaroor honge. Isliye Major Rishi ek loud speaker ki madad se un dono Terrorists ko surrender karne ke liye kehte hai, lekin tabhi unke upar firing hona shuru ho jaati hai.
Major Rishi ki baat abhi poori bhi nhi hui thi, ki ghar ke second floor se unke upar tabadtod firing hona shuru ho jaati hai. Aaqib aur Osama baar baar apni positions badalkar ghar ki second floor se Major Rishi aur unki team ke upar apni AK-47 rifle se goliyan barsa rahe hote hai hai. Jald hi CRPF or J & K Police bhi iss anti terrorists operation ka hissa ban jaati hai or isi ke saath ek jabardast fire fight shuru ho jaati hai. Thodi hi der mein shaam ke 6 baj chuke hote hai aur ab tak terrorists ki taraf se lagatar firing ho rahi thi. Itni der tak firing hone ki vajah se Major Rishi samajh jaate hai ki, ye ghar Hijbul Mujahideen ka safe house hai, jiske andar itna ammunition chupa ke rakha gaya hai ki terrorists kai ghanto Tak ladai kar sakte hai. Bohot der tak sochne ke baad shaam 6:30 baje ke aaspaas Major Rishi apne haath mein ek Improvised explosive device uthate hai or apne saathiyon se unhe cover fire dene ke liye kehte hai. Apne saathiyon se mil rahi cover fire ke beech Major Rishi us IED ko apne haath mein lekar ghar ki taraf bhaagne lagte hai. Major Rishi ke Peeche peeche unka buddy bhi firing karte huye Ghar ki taraf bhaagne lagta hai.
kuch der baad Major Rishi aur unka buddy ghar ke main door tak pahunch chuke hote hai. Major Rishi turant hi us IED ko ghar ke main door par plant kar dete hai, or apni team ko ishara karke thoda peeche hatne ke liye kehte hai. Major Rishi apne buddy ke saath ghar ke main door se dur bhaagte hai, or us IED ke wireless detonator ka button daba dete hai.
To Kya IED ke blast se terrorists maare jaayenge ? Kya IED blast hoga ? Kaise pakdenge Major Rishi terrorists ko bhaagne se ? Jaanenge iss video ke agle part mein.
( To be continued…. Part 1 )