Soldier 2

Hum dekte hai ki Major Rishi ghar ke main door par ek IED plant kar dete hai, or apne buddy ke saath vahan se dur bhaagne lagte hai. Major Rishi IED ko blast karne ke liye wireless detonator ke remote ka button daba dete hai. Jiske baad ek kaafi jordaar dhamka hota hai , or dekhte hi dekhte us ghar ka aage ka hissa toot jaata hai. Lekin dhamaake ki vajah se ek paththar ka tukda aakar seedhe Major Rishi ke helmet ke neeche unke maathe par lagta hai, or unke maathe se khoon behna shuru ho jaata hai. Us ghar ka aage ka hissa malbe.  mein badal chuka tha, ab us ghar se koi bhi firing nhi hoti hai. Sabko lagta hai ya to Terrorists maare gaye ya fir buri tarah se jakhmi to hi gaye honge. Lekin sab logon ka ye sochna bilkul galat saabit hota hai , 15-20 minutes ki silence ke baad ek baar firse dono terrorists us ghar se Major Rishi aur unki team ke upar firing karna shuru kar dete hai. Major Rishi aur unka buddy deewar ke peeche aa chuke the, Major Rishi apne maathe par lagi chot par bandage lagaate hai. Tbhi Major Rishi ke dimaag mein ek or idea aata hai, or vo apni Quick Response Team se unhe cover fire dene ke liye kehte hai. Major Rishi is baar apne haathon mein molotov cocktail yaani petrol bomb lekar dobara se us ghar ki taraf badhna shuru kar dete hai, peeche se Quick Response Team unhe cover de rahi hoti hai. Major Rishi us ghar ke pass pahunchkar kuch molotov cocktails ko ghar ke andar alag alag hisso mein fenk dete hai or khud vaapas apni team ke pass aa jaate hai. Molotov cocktails ki vajah se kuch hi der mein poora Ghar aag lapto se ghir jaata hai. Major Rishi ko lag raha tha ki khud ko aag se bachaane ke liye Aaqib aur Saifullah ghar se bahar jaroor aayenge, lekin esa nhi hota hai. Lagbhag 20-25 minutes tak jalne ke baad ghar mein lagi aag bhuj chuki thi, ghar ka jyadatar hissa jal chuka tha. Lekin Aaqib aur Saifullah abhi bhi ghar ke andar hi mojood the, kisi ko bhi ye samajh nhi aa raha tha ki itni aag ke baavjood vo dono abhi tak ghar se bahar kyun nhi nikle the.

 Iss anti terrorists operation ko 8 ghante se jyada ka samay ho chuka tha, lekin vo dono terrorists abhi tak maare nhi Gaye the. Raat ke 12 baje tak Colonel Neeraj Pandey bhi operation ki jagah par pahunch jaate hai. Colonel Neeraj Major Rishi situation ke baare mein poochte hai, or unse unke aage ka plan poochte hai. Major Rishi Colonel Neeraj ko puri situation ke baare mein batate hai, or thodi der sochne ke baad kehte hai ki vo dobara us ghar mein IED lekar jaayenge. Colonel Neeraj iss baat ke liye Maan jaate hai  lekin vo Major Rishi se kehte hai ki iss baar IED lekar koi or chala jaayega tumhara pehle hi kaafi khoon beh chuka hai. Major Rishi Colonel Neeraj se kehte hai ki Sir mein ekdum fit hu, or vaise bhi ye mission mera hai or ise mein hi poora karunga. Major Rishi ke baar baar kehne par Colonel Neeraj unhe IED lekar ghar ke andar jaane ki permission de dete hai. Iss baar Major Neeraj apne explosive expert se 15-15 kilo ki do IED assemble karne ke liye kehte hai, or vo kuch hi minutes mein unhe 15-15 kilo ki do IEDs assemble karke de deta hai.

Jitni der mein vo expert IED assemble kar raha hota hai, utni der mein hum Major Rishi ki life ka ek flashback dekhte hai. Kerala ke ek college se engineering ki padhai karne ke baad Major Rishi ko state electricity department mein assistant engineer ki job mil gayi thi, lekin vo apni iss job se satisfy nhi the. Isliye 1 saal baad vo exam clear karke Air India mein job karne lag jaate hai, jiske chalte unhe Mumbai jaana padta hai. Lekin kuch samay ke baad Major Rishi ka mann iss job mein bhi nhi lag raha hota hai, isliye vo short service commission ka exam clear karne ke baad Indian Military Academy join kar lete hai. Saal 2010 mein IMA se apni training poori karne ke  baad Major Rishi ko Indian Army ki Machanized Infantry mein commissioned kar diya jata hai. Saal 2010 se lekar saal 2014 tak Major Rishi Rajasthan ke registan se lekar Congo mein United Nations peacekeeping forces ke saath serve kar chuke hote hai. Saal 2015 mein jab Major Rishi United Nations peacekeeping mission se India vaapas aate hai, to unhe Rashtriya Rifles ke saath attach kar Kashmir ke Tral sector mein combat posting de di jaati hai. Or aaj do saal baad Major Rishi Tral ke Hafoo gaon mein ek anti terrorists operation ko anjaam de rahe hote hai.

Major Rishi IED lekar ghar mein jaane se pehle ek baar Keral mein baithi apni maa ko call karke unse baat karte hai, lekin tabhi terrorists firse firing karna shuru kar dete hai jiski vajah se Major Rishi call cut kar dete hai. Ye vahi scene hota hai jo humne kahani shuruaat mein suna tha. Hum dekhte hai ki Major Rishi apne haathon mein 15-15 kilo ke do IED lekar ghar ki taraf jaana shuru kar dete hai. Lekin iss baar terrorists heavy firing kar rahe hote hai, isliye Major Rishi apne pet ke bal ghar ke bache huye hisse ki taraf jaate hai. Ghar ke bache huye hisse mein pahunchne ke baad Major Rishi dono IEDs ko plant kar dete hai. IED plant karne ke baad Major Rishi radio se apne buddy se 30 seconds ka count down karne ke liye kehte hai, or khud jaldi se ghar se dur bhaagne lagte hai. Countdown, jiske khatam hone ke baad ek soldier un dono IEDs ke wireless detonator ke remote ka button daba deta. Major Rishi ka buddy countdown karna shuru kar deta hai 30,29,28,27,26,…. 11. Jab sirf 10 seconds ka countdown baaki hota hai, tab Major Rishi apne buddy se countdown ko rokne or detonator ke button ko na dabane ke order dete hai. Major Rishi ko yel lag raha hota hai ki agar vo IEDs ko ghar ke or jyada andar lagayenge, to vo or jyada effective saabit honge. Isliye detonator ke button ko na dabane ka order dete huye Major Rishi dobara us ghar ki taraf bhaagna shuru kar dete hai. Jaise hi Major Rishi IED ki position badalne ke liye Ghar ke andar ghuste hai, tabhi ek terrorist seedhiyon se neeche aata hai or Major Rishi ke upar firing karne lagta hai. Major Rishi ko us terrorist ki kai goliyaan lag jaati hai or vo jameen par neeche gir jaate hai. Lekin Major Rishi neeche girte huye apni rifle se us terrorist ke upar firing karte hai. Major Rishi ki firing se vo terrorist maara jaata hai, lekin Major Rishi bhi jakhmi ho chuke hote hai. Major Rishi jaise taise karke apni peeth ke bal khisak kar seedhiyon ki taraf firing karte huye ghar ke bahar aate hai. Major Rishi ko iss halat mein dekh unka buddy bhaagte huye unki taraf aane lagta hai, lekin Major Rishi use ishaara karke yahan aane se mna kar dete hai. Major Rishi ko lag raha hota hai ki dusra terrorist abhi bhi ghar mein jinda hai, or vo apne buddy ki life ko khatre mein nhi daalna chahte the isliye vo use apne pass aane se mna kar dete hai. Lekin Major Rishi ko ye nhi pata tha ki doosra terrorist pehle hi mar chuka hai, Darasal Saifullah pehle IED blast mein hi maara ja chuka tha. Jaise hi Major Rishi ghar se thoda or due aate hai, unka buddy or do soldiers unke pass bhaagte huye aate hai. Major Rishi ka buddy ghar ki taraf firing karne lagta hai, or baaki ke do soldiers Major Rishi ko bahar le jaane lagte hai.

Major Rishi ko Jeep mein bithakar ek Army helicopter tak le jaya jaata hai. Vo Army helicopter Major Rishi ko Srinagar ke 92 Base hospital le jaata hai, jahan par Major Rishi ki wife pehle se hi mojood thi. Darasal, Major Rishi ki wife Anupama bhi Indian Army mein ek Major thi, or us samay vo Military Nursing Service ke under 92 Base hospital mein hi posted thi. Apna aadhe se jyada chehra kho chuke Major Rishi ko bol bhi nhi paar rahe hote hai, or jyada khoon beh jaane ki vajah se vo behosh hone lagte hai. 92 Base hospital mein jaroori emergency first aid dene ke baad Major Rishi ko Delhi ke Army Hospital Research and Referal bhej diya jaata hai. 8 surgeries or kai dino tak chale ilaaj ke baad Major Rishi chalne firne or bolne lag jaate hai. Anti Terrorist operation mein humesha ke liye apna aadha chehra kho chuke Major Rishi ko unke sahas or veerta ke liye 15 August 2017 ko Sena Medal se sammanit kiya jaata hai. 

( The End )

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Balwaan 2

Balwaan 2

बलवान फिल्म में अपनी कैरेक्टर भाईजी से सभी का दिल जीतने वाले एक्टर डैनी डेन्जोंगपा फिल्मो की दुनिया से गायब हो चुके हैं। एक वक्त

Read More »
Karan Arjun 2,Salman Khan and Shah Rukh Khan, bollygradstudioz.com

Karan Arjun 2

Sri Lanka ki iss choti si ladhki ko apna purana janam yaad hai. Kya hua aur kyon hua jaise sawaalon ke jawaab isne khud hi

Read More »
RRR, Ram Charan , Jr. NTR By Jyoti Arora bollygradstudioz.com

RRRR

मंगलोर की संन्धि से भी अंग्रेजों और मैसूर युद्ध समाप्त नहीं हो पाया दोनों पक्ष इस सन्धि को चिरस्थाई नहीं मानते थे। 1786 ई. में

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​