Tridev 2

Atique Ahmed ek Indian politics hai jinhe ek aapradhi neta aur history sheeter ke roop mein bhi jana jata hai. Wo Allahabad paschim seat se vidhan sabha ke member ke roop mein lagatar 5 baar waha ke vidhayak bane jo wakai ek record hai. Prayagraj jo uss daur mein Allahabad hua karta tha, toh ye kahaani bhi 70 aur 80 ke dasak ke bich ki hai jab tatkaaleen allahabad mein mahol badalne laga tha, Allahabad educational field mein uss waqt dheere dheere develop kar raha tha. Uss daur mein local ladko mein amir banne ki chahat jag chuki thi phir chahe iske liye kisi bhi hadd tak kyu na jaana pade. Iss daur mein chakiya mohalle mein rehne waale ek tangewala ka beta achanak newspaper ke frontline mein aa gaya tha. Atique Ahmed ka janam 10 August saal 1962 ko allahabad, uttar pradesh mein hua tha. Jab wo sirf 17 saal ke the tab unke upar murder ka aarop laga phir kya tha unka rangdaari ka dhanda bhi chal nikla tha . Wo daur tha puraane sehar mein rehne waale ek gunde Chand baba ka kehte hai ki uss daur mein Chand baba ka jalwa aisa tha ki chauk aur Rani Mandi ilaake mein police waale tak jaane se darte the. Uss waqt Atique karib 22 saal ke the jab unhone jurm ke duniya mein apna pairr rakha aur uske baad se hi unko waha ke neta aur police dono ka seh milne laga tha.

Atique Ahmed ke pitaji Firoz allahabad station par tanga chalate the aur bahut hi muskil se wo ghar chalate the aur Atique ko bhi bahut muskil se hi padha pa rahe the lekin school mein fail ho jaane ke baad Atique ne padhai chor di thi aur uske upar ab sirf ek chiz ka bhoot sawar tha aur wo tha amir hona jiske liye usne apradh ki duniya ko chuna. Ab jab Atique jurm ki duniya mein aa chuka tha toh saal 1980 ye wahi daur tha jab Atique ne teji se local gunda gardi mein apne pairr jamane shuru kar diye the, jo log chand baba se khaar khaaye baithe the unhone Atique ko seh deni shuru kar di thi. Uss waqt tak Atique ne apna bada giroh taiyaar kar liya tha aur ab ye giroh Chand baba ke giroh se jada khatarnak hone laga tha . Baat hai saal 1986 ke aaspaas ki jab uttar pradesh mein veer bahadur singh ki sarkaar thi, central mein Rajeev Gandhi prime minister the. Uss dauran ek baar police Atique ko utha le gayi lekin Delhi se aaye ek phone se Atique ussi din police ki giraft se chutt gaya tha. Yaani Atique ne uss waqt tak siyasat ke galiyaaro mein majbut dakhal de di thi, jo aage chalkar uske Bahubal aur apradh ki duniya ke liye sanjeevani sabit hone waali thi, aise mein aakhir kaar kaise Atique ne gunaho ke raste par chalte huye siyasat mein majbut pakad banai aur aakhir kyu siyasi unchai paane ke baad bhi wo dusre bahubali netao ki tarah jarayam ka rasta nhi chhod paya. Jarayam ki duniya mein Atique lambi chalang maar raha tha magar usse pata tha ki uska Kala atit kabhi bhi uske raaste ka roda bann sakhta hai. Lihaja usne siyasat mein majbut dakhal dene ka mann banaya magar siyasi safar mein bhi usne gunahon ka rasta nhi chhoda. Uski kaamyabi ke raste mein jo bhi aaya usse apni jaan ki kimat chukaani padi. Ek daur aisa bhi tha jab Atique Ahmad ne apradh ki duniya mein aisa hungama khada kiya ki police tak ke liye naasur bann gaya tha. Hatya, apharan, phirautee jaise maamlo mein mukadmo ki file dar file khadi hoti ja rahi thi, magar Atique ka koi kuch nhi bigaad pa raha tha . Aise hi daur mein Atique ne aisa master stroke khela ki police chahkar bhi uska kuch bigaad nhi paayi.Maafia se neta bane Atique Ahmad se milne ke baad lagbhag har ek aadmi yahi kehta hai ki unki aankh mein dekhkar baat karna lagbhag namumkin hai.

Bareilly jail mein Atique Ahmad ki suraksha mein tainaat rahe ek police officer ne kaha ki wo darate hai, unki aankhein har samaye khoon se sani najar aati hai aur wo aapko ghurte hai taaki aap niche dekhe. 5 feet 6 inch ke Atique Ahmad ko jab dewariya jail se Bareilly bheja gaya toh unnpar najar rakhne ke liye tainaat police officer ke haanth paao phul gaye the. Jail superintendent ki taraf se message bheja gaya aur anurodh kiya gaya ki iss apradhi ko kahi aur bheja jaayega, aur yahi nhi jo log jail ki suraksha kar rahe the unki suraksha ke liye atirikt police force ko tainaat kiya gaya tha. Atique ko Uttar Pradesh ki koi jail rakhne ke liye taiyaar nhi thi toh 19 April saal 2019 ko chunav aayog ne Atique Ahmad ko devriya jail se naini jail transfer kar diya tha. Bareilly jail bhi usse rakhne ko taiyaar nhi thi aakhir kaar 3 June saal 2019 mein supreme court ke order par Atique Ahmad ko Gujarat ki jail bhej diya gaya tha wo abhi filhaal Ahmedabad ki sabarmati jail mein band hai. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Tridev 2 ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

 

 

 

 

 

Chandan Pandit

 

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Hera Pheri 3 , Paresh Rawa and Sunil Shetty, Bollygrad Studioz,bollygradstudioz.com

Hera Pheri 3

3 गरीब दोस्त जिन्होने अपनी गरीबी को दूर करने के लिए एक plan बनाया। और उनका plan था, चोरी करना। उन तीनो में से एक

Read More »
balwaan

Balwaan 2

भले बलवान फिल्म में एक्टर डैनी डेन्जोंगपा ने एक विलन कि कैरेक्टर निभाईं थी लेकिन वो भी एक अच्छे एक्टर हैं। उनकी इस खूबी पर

Read More »

Gadar 2

Ind pak war के बाद हुई dosti!   साल 1966 था। दिसंबर की ठंडी, और गीली दोपहर में, मोहन Prague Airport पर उतरा, जो पहले

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​

Get Connected