Gadar 2

Pakistan ne hamesha se Kashmir toh chahi hi hai lekin ek waqt aisa tha ki unko Bangladesh bhi chahiye tha lekin India ne Pakistan ko uski jagah dikha di thi. Bharat aur Pakistan ke bich 1971 mein huye war ke baad Bangladesh ko azaadi mili thi aur iss war mein Pakistan ko karari haar ka saamna karna pada tha. 16 December ka wo din hai jo bharat ke sath sath uske padosi pakistan aur Bangladesh ko bhi hamesha yaad rahega. Iss din jaha bharat aur Bangladesh garv se Sir uttate hai toh wahi pakistan sharmindagi se sir jhuka deta hai. Bharat me saal 1971 mein Pakistan ke khilaaf war jeeta tha jiske parinaam swaroop Bangladesh naam ke ek alag desh ka janam hua tha aur uss samay usse East Pakistan kaha jata tha, aur ussi din Pakistan ke do tukde ho gaye the aur iss war ko second world war ke baad dusri aisi war batayi gayi hai jisme sena ne surrender kar diya tha. Pakistan ne ye yudh apne gurur mein aakar kiya tha kyuki usko dikhna tha ki uska air force kitna strong hai aur uske liye usne India ke 11 Airbase par hamla bhi karwa diya tha aur shayad ye India aur Pakistan ki paheli ladai thi jiske India ke teeno sena ne ek sath ladai ki thi aur India ne paschim mein Pakistan ko sena ki harkaton ka turant jawab diya aur lagbhag 15,010 kilometres pakistan ke chetra par kabza kar liya tha.

India aur Pakistan ka ye yudh kewal 13 dino tak chala aur iss yudh ko itihaas ke sabse chotey yudho mein se mana jaata hai lekin iska parinam Pakistan ko aaj bhi khud par sharminda hone ki yaad dilaata hai. India aur Pakistan ke bich ye war 3 December 1971 se 16 December saal 1971 tak hua tha jisme India ke sena ne Pakistani sena ko ghutno par laa kar uske saare sainiko ko kabze mein le liya tha aur Bangladesh ke 7.5 crore logo ko azaadi dilaai gayi thi. East Pakistan ki Bangali abaadi ke khilaaf Pakistan duwara kiye ja rahe narsanhaar ko khatam karne ke liye iss yudh mein India ke 3000 se jada Sainik shahid ho gaye the aur Pakistan ke 8000 sainiko ki maut ho gayi thi. Bharat ye yudh khud ke liye nhi Bangladesh ko pakistan se bachne ke liye ladd raha tha. Saal 1971 mein Pakistani sena ne nirdosh Bangali abaadi khaas kar hinduon par Bangladesh mein hamle par hamle kar raha tha, jab Pakistan ke atyachaar badhe, ex prime minister Indira Gandhi ne Pakistan ke khilaaf kaarwaai karne ka faisla kiya toh thik ussi samay sema ke dusri aur ke naagrikon ko bachaya ja raha tha. Unhone Sena ke leader General Sam Manekshaw ko pakistan ke khilaaf halma abhiyan shuru karne ka order de diya jiske baad India ne apne padosi ke khilaaf puri jor laga kar ye yudh lada gaya tha. Bangladesh ne saare country se iss maamle par madad karne ki appeal ki lekin India ke paas waqt Kam tha aur uske baad harbarahat mein ek kadam uthane ki jarurat aa padi jisme 6 December ko Sansad mein ye announcement karwa di gayi thi ki Bharat ne Bangladesh sarkaar ko apni maanyata de di hai jiske baad Bharat ne ye yudh ladi aur usse jeet bhi mili. 2 July saal 1972 ko Bharat- Pakistan Shikhar Simla, Himachal Pradesh mein ek Shimla Samjhauta meeting rakhi gayi thi aur Bharat mein Simla Samjhauta par signature kiye gaye the aur President Julfikar Ali Bhutto aur Prime minister Indira Gandhi ke bich har rajya ki ek sarkaar Depository bhumika nibhate the iss aggreement ne Bangladesh ko ek bima ya bolu toh ek insurance dilai thi ki Pakistan ne Pakistani sainiko ki wapasi ke badle Bangladesh ki sovereignty ko importance di thi kyuki Bharat 1925 mein Geneva convention ke anusaar yudh ke kaidiyon ke sath aacha behave nhi kar raha tha jiske wajah se kewal 5 mahino mein bharat ne Lieutenant General A. K. Ke sath systematic roop se 90,000 se adhik yudh ke kaidiyon ko chor diya gaya tha.

Purey rashtriya mein American Ambassador George Bush ne purey rashtriya security council mein Bharat Pakistan ke bich yudh bandi karne aur dono ko apni apni sena hatane ke liye ek proposal rakha tha. 2 August saal 1972 ko Bharat aur Pakistan ne Shimla Samjhauta par signature kiye jiske baad ye yudh ruk gayi. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Gadar 2 ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

 

 

Chandan Pandit

 

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Munna Bhai

Munna Bhai Series

मुन्ना भाई एमबीबीएस में डायरेक्टर राजकुमार हिरानी ने हर छोटे से बड़े एक्टर्स को कास्ट किया था। उसी एक्टर में एक एक्टर सुरेंद्र राजन थे

Read More »
Salaar , By Jaya Shree bollygradstudioz.com

Salaar

Pichle kaafi waqt se Prabhas apni film ‘Salaar’ ke liye charchaon mai hain. Salaar Mai Prabhas ka ek damdaar role dekhne ko milne wala hai.

Read More »
Brahmastra 2

Brahmastra 2

फिल्म ब्रह्मास्त्र क्या रिलीज हुई सभी फिल्म लवर्स को एक topic मिल गया है discussion करने का और वह topic है देव। सभी को ये

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​