Black Tiger

Jitni muskil ek spy ki life jinee hoti hai sayad hi kisi aur ki hoti hogi. Puri duniya mein kai aise Spymaster the aur abhi bhi hai jo apni ko aache se anjaam de rahe hai unhi mein se ek the Sir Francis Walsingham jinhone apni jaan par khel kar queen Elizabeth ke liye kaam kiya tha aur unhi ko bachane mein inki maut ho thi. Francis Walsinghamka janam saal 1532 ke aas paas hua tha , sayad kisi keny ke Chislehurrst ke paas, foots mein . Francis Walsingham ke pitaji ka naam William Walsingham tha jinko maut saal 1534 mein ho gayi thi jo ek wakil the aur aache tarah se London se connected se aur unhone waha aachi sewa di thi , jinhe Saal 1530 mein Cardinal Thomas Wolsey ki sampati ke investigate ke liye appoint kiya gaya tha. William ke bade bhai Sir Edmund Walsingham jo Towe of London ke Lieutenant rah chuke the. Francis ki maa Joyce Denny jo Hertfordshire mein merchant ke darbaari Sir Edmund Denny ki beti thi aur darbaari Sir Anthony Denny ki behen thi. Francis Walsingham ne saal 1548 mein King’s College, Cambridge mein kai dusre padhai ke sath unhone apni matric ka exam bhi diya tha lekin apni higher study ke liye unhone aage padhai nhi ki . Saal 155 ya 1551 se inhone continental Europe ki yatra ki thi aur saal 1552 tak Gray’s Inn mein dakhila lene ke liye England wapas aa gaye the aur jo English lawyer ke liye preparation kar sake.
Aakhir kaar Francis ne apni lawyer ki padhai puri ki aur wo apne kaamo mein busy rehte the uss waqt queen Elizabeth par hamesha maut ka khatra mandrata rehta tha toh unhone kai saare wakil ya bodyguard hire kar rakhe the lekin unko saare officers mein se jada biswas Francis par tha kyuki puri sabha mein jitna tez dimaag Francis ka tha sayad ki aur ka hoga isliye queen Elizabeth ne socha ki kyu nhi isse hi apne under rakha jaaye aur spy master ke taur par isse ye pata karne ke liye bola jaaye ki aakhir kon hai jo inko marwana chahta tha aur inke rajya ko hadapna chahta tha. Francis Catholicism dharm ka mukabala karne ke liye Protestant utsah se prerit the aur catholic priests aur suspected conspirators ke khilaaf torture ke use ko permission di gayi thi unka main focus tha queen Elizabeth ko maarne ki taiyaari kar raha tha uske baare mein jaise bhi karke saari khabrein nikal wa sake. Edmund Campion ko jab torture kiya gaya tha tab unhone ye qabool kiya tha ki usne bhi queen Elizabeth ko maarne ke liye unn logo ka sath diya tha jisne ye saari planning ki thi. Francis ke brother in-law Robert ne bataya jo ki ek massacre ke samay Francis ke sath Paris mein the ki koi toh hai jo queen Elizabeth ke bahut karib wala hai jo ye saari baatein janta hai ki queen Elizabeth kab kaha jaati haiz kis waqt kaha hoti hoti hai aur unko maarna kab possible hoga kyuki tabhi unn par jaan lewa hamla ho raha hai. Francis ne ye baatein suntey hi usne ye plan banaya ki wo har log se ye baat bina kisi ko liye pata lagayenge aur koshish karenge ki koi anhoni hone se pahele wo apradhi pakda jaaye . Francis ne aapni baatein apne kai saare khaas admiyon tak pahuch wa di thi taaki uss apradhi ko dhundne mein koi takleef na ho aur ek din aisa aaya jab isko pakad liya gaya tha jo inn sab ka head th aur usse queen Elizabeth ke darbaar mein pesh kiya gaya jaha isse phasi ki saja sunai gayi thi.
Francis ko aapne kaam ke liye bahut saari babashi mili aur unko apne favourite aur bahadur minster mein se ek ke liye queen Elizabeth ne Francis ko chunn liya tha. Saal 1571 mein Francis ko pata chala tha ki unki tabiyat ab kharab ho rahi hai ab wo pahele ki tarah kaam karne layak nhi hai toh unhone retirement leni ki sochi jab wo baad mein checkup ke liye gaye toh unko patane chala ki unko pet mein pathri ho gaya hai jiske kaaran unke pet mein bahut dard ho gaya tha unke liye aur ussi dars aur fever ke kaaran unka dehant ho gaya jiske baad itne bade loss par queen Elizabeth ne afsos bhi jataya tha. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Black Tiger ki ,aur aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

 

Chandan Pandit

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

War 2 Hrithik Roshan & Tiger Shroff , bollygradstudioz.com

War 2

वॉर 2 फिल्म के डायरेक्टर अयान मुखर्जी वॉर 2 फिल्म पर काम शुरू कर चुके है, लेकिन क्या आप जानते हैं कि अयान ने एक

Read More »

15 दिन में Gadar का आकड़ा पार?

शाहरुख खान की ‘जवान’ बॉक्स ऑफिस पर छाई हुई है. फिल्म ने पहले दिन 75 करोड़ का कलेक्शन कर सबसे बड़ी ओपनर होने का रिकॉर्ड

Read More »
Rambo, tiger shroff,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Rambo

बुधवार की सुबह, भारतीय सेना के मद्रास रेजिमेंटल सेंटर (MRC) की एक Specialised Mountaining unit ने ट्रेकर R. babu को बचाया, जो कि एक 23

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​