Soldier 2

Gulmarg ki taraf se aaye 600-700 ghuspethiye , jisme Pakistani army ke soldiers bhi shaamil the, unhone Major Somnath Sharma ki D company ko teeno taraf se gher liya tha. Ye ghuspethiye civilian gharo se D company ke upar chupkar firing kar rahe the, or unke upar mortars bhi fire kar rahe the. Dushman ki taraf se ho rahi itni heavy firing ki vajah se D Company ko kaafi casualties bhi jhelni pad rahi thi. Major Somnath Sharma iss baat ko achche se jaante the ki unke liye iss position ko hold karke rakhna kitna important hai. Kyunki agar vo apni position se peeche hat jaate to Srinagar city or Srinagar airport ki security dono hi khatre mein pad sakti thi, isliye jabtak reinforcement nhi aa jaati, tab tak Major Sharma ke liye apni position hold karna kaafi jaruri tha. Ghuspethiyon ki tulna mein kaafi kam hone ke baavjood Major Sharma ne apni position ko hold karke rakhne ka decision liya or D company se bahaduri ke sath ladne ki appeal ki. Ye ghuspethiye gharo ke andar se fire kar rahe the, Major Somnath Sharma ko laga,ki agar vo gharo par counter fire karenge to ghar ke andar mojood innocent civilians ki jaan khatre mein pad sakti hai, isliye unhone gharo ke upar counter fire karne se mna kar diya. Jo bhi ghuspethiye ghar se bahar nikal rahe the Major Sharma or unki D company sirf unhi ko apna nishana bana rahi thi.

Ghuspethiyon ki tulna mein kaafi kam hone baavjood Major Sharma or unki D company ghuspethiyon se datkar mukabla karti rahi. Dushman ki taraf se ho rahe heavy fire ki vajah se D company mein casualties ke numbers badhte jaa rahe the, jiski vajah se D company ki jawabi firing kamjor padti jaa rahi thi. Jab ye scene Major Somnath Sharma ne dekha to unhone apne fractured haath par ammunition ke box uthaaye, or apne aap ko dushman ki golibaari mein expose karte huye ek post se dusri post jaakar khud ammunition distribute karne lage. Major Sharma achee se jaante the ki agar unke soldiers ka moral down hua to vo yahan par jyada der tik nhi paayenge, isliye vo baar baar apne soldiers ke paas jaa jaakar unka Josh or hausla  badhate or unhe ammunition bhi distribute karte. Isi josh ka nateeja tha ki Major Somnath Sharma or unki D company ne 6 ghanto Tak un ghuspethiyon ko usi position par rok kar rakha or aage nhi badhne diya. Hath mein plaster chada hone ke baavjood dushman ki taraf se aa rahi heavy firing ke beech vo khud apne soldiers tak ammunition distribute kar rahe the. Isi dauraan jab Major Sharma apne soldier ki Light Machine Gun mein bullets refill kar rahe the tabhi unke upar dushman ka ek mortar shell aakar gira. Jiski vajah se Major Sharma kaafi gambhir roop se ghayal ho gaye the, or thodi der baad vo veergati ko prapt ho gaye.

Veergati ko prapt hone se pehle Major Sharma ne apne senior tak ek message pahuncha diya tha, jisme unhone kaha tha ki “ Dushman humse sirf 50 yards ki duri par hai. Humari sankhya dushmano ki tulna mein kaafi kam ho chuki hai. Humaare upar dushman ki taraf se heavy fire aa raha hai. Lekin is sab ke baavjood mein apni position se ek inch bhi peeche nhi hatunga, mein or Mera har ek soldier apni aakhiri saans or aakhiri goli Tak ladta rahega”. Ye the Major Somnath Sharma ke last words. Major Sharma ke veergati ko prapt hone ke thodi der baad hi Indian Army ki reinforcement Badgam pahuch gayi thi. 6 ghante tak chale battle of Badgam mein Major Sharma or unki D company ne 200 ghuspethiyon ko dher kar diya tha. Vahin D company mein Major Somnath Sharma ke saath unka ek junior commissioned officer or 20 other ranks veergati ko prapt huye the. Teen din baad jab Major Sharma ki body mili to usko pehchan paana kaafi mushkil tha, kyunki mortar shell ke fatne ki vajah se unki body kaafi buri haalat mein thi. Major Sharma ko unki pocket mein rakhe Bhagvat Geeta ke kuch pages ki madad se identify kiya gaya tha. Veergati ke samay Major Somnath Sharma sirf 24 saal ke the, lekin unhone Jo Josh ladai ke dauraan dikhaya tha vo asadharan tha. Battle of Badgam mein apni bravery or supreme sacrifice ke liye Major Somnath Sharma ko Paramveer Chakra se sammanit kiya gaya, or isi ke saath vo Paramveer Chakra paane wale pehle Indian soldier ban gaye.

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

TRIDEV 2

Tridev 2

Mysore Puttaswamaiah Jayaraj ka janam saal 1944 mein banglore mein hua tha, wo bachpan se hi thigalrapete ke Annayappa garadi mein kusti practice kiya karte

Read More »
Balwaan 2

Balwaan 2

जैसे ही सभी को ये पता चला था कि, बलवान फिल्म के एक्टर और एक्ट्रेस के लिए कॉस्ट्यूम लोकल शॉप से खरीदा गया था। उसके

Read More »
GADAR 2

Gadar 2

गदर 2 मूवी की जिम्मेदारी फिर से अनिल शर्मा ने उठाई है, क्योंकि सभी ये बात जानते हैं कि अनिल शर्मा के अलावा कोई भी

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​