Black Tiger

Bazna ka janam saal 1904 mein Ottoman Empire ke kosovo vilayet, pristina mein hua tha, unke mata -pita Albanian virasat ke the. Unke pitaji Islamic Sidhanta ke teacher aur jameendar the, baad mein Unhone kaha ki unke pita Hafiz yazan bazna naam ke ek muslim mullah the , unke chacha major general Kemal the aur unke dada Tahir Pasha bahadur the. Unke dada aur chacha dono yuva turk ke the jinhone Mustafa Kemal Ataturk ke adheen kaam kiya karte the. Jab wo 14 saal ke the tab Serb force ne Bazna ke birthplace par kabza kar liya tha aur uske pariwar ko Istanbul mein Ottoman Empire ki haar aur vighatan ke dauraan transfer kare diya gaya tha, jis par first world war ke country jaise british, Italy aur American associate ke forces ne kabza kar kiya tha. Turkey rashtriya andolan ne virodh kiya tha kabza karne waalo par lekin uska koi faida nhi hua tha. Bazna ne saal 1919 mein sirf apne biswas ke upar turkey ke ek military academy mein bhaag liya tha aur 16 ki umar mein wo Istanbul mein ek Francis military unit mein shamil ho gaye the. Usne ataaturk ke leadership waali turkey andolan ke liye British hathiyaro aur cars ko churaane ka dawa kiya tha. Cicero ke writer Richard wires ne kaha ki bazna ko politics aur deshabhakti ke wajah se chori karne ke liye prerit nhi kiya gaya tha. Jab wo chori karte huye pakda gaya tha toh usse 3 saal ke liye france ke Marseille mein ek dand shram sivir mein bhej diya gaya. Unhone kaha ki labour camp chorne ke baad unhone barliet motor company mein bhi kaam Kiya tha aur wahi se unhone tala ko banane aur kholne ki hunar ko sikha tha. Saal 1925 mein Bazna Istanbul chale gaye the jaha unhone transport department mein Istanbul corps ke liye bhi kaam kiya tha, yaha tak ki unhone taxi chalane ke liye Istanbul lautne se pahele unhone yozgat mein ek fire brigade ke head ke roop mein bhi kaam kiya hai.

Bazna ne do baar shaadi ki apni paheli patni ke sath jisse baad mein unhone divorce de diya tha unke 4 bache the. Unki kai love-in relation thi jinme se ek Mara jo ek british ambassador David busk ke bacho ki nurse thi, Mara uske sath Kavaklıdere hills mein ek chotey se ghar mein rehti thi jisse wo Cicera villa kehta tha. Unka rishta uthal-puthal wala tha aur bazna ne unki ladai aur unki nafrat ke karan khatam kar diya tha. Halaaki wo uske prati loyal thi yaha tak ki jab Bazna spy ka kaam shuru kiya tha tab Mara ne hi uski madat jada ki thi aur uss ambassador ke ghar se saare ke saare documents lakar deti thi taaki wo apne logo ko wo saari documents de sake. Lekin jab Mara ne banza ko dusre aurat ke sath dekha toh usne decide kar liya tha ki ab wo Banza ko chor degi uske baad usne usse divorce de diya tha. Uske baad banza ne khud ko spy ke kaam mein aisa dhaal liya ho maano usko iske alawa aur kuch dikhta hi na ho usne saare documents jama kiye aur German ke officer ko de diya jisme ussne bahut saare paise kamaye the lekin kuch saalo ke baad wo inn sab se thak chuka tha toh ab wo khud ko time dena chahta tha. Usne kai baar apne seniors se kaha ki usse unn sab kaamo se ab chuti chahiye kyuki wo jaante the ki ye kaam puri risk se bhara hai ek galti hui aur gayi jaan aur toh aur unhone khud ko iss kaam mein itna busy kar liya tha ki unke paas gharwaalo ke liye waqt nhi tha lekin jab unko baatein samjh aai toh unhone apne senior se baatein ki, unhone pahele mana kar diya tha lekin phir unko uss kaam se release kar diya tha.

Saal 1950 mein banza Europe mein apni family ke sath shift ho gaye uske baad unhone waha singing classes, second hand car salesman aur night watchman ka bhi kaam kiya taaki unka ghar chal sake usne apne spy waale kaam se jama kiye huye paise ko goverment se mangta toh wo inkaar kar dete the aur usse wo paisa aaj tak nhi mila. Saal 1970 mein Banza ko pata chala ki unko kidney disease hai jiske karan unki maut ho gayi thi. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Black Tiger ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

 

 

 

Chandan Pandit

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Sultan 2

Thumbnail:- Sultan हुआ retired! Content:- Salman khan ki film Sultan ki kahani ki shuruat hoti hai Delhi se, jaha pe Sultan(Salman khan) ko retirement ke

Read More »
Brahmastra 2

Brahmastra 2

एक्टर अमिताभ बच्चन की हिम्मत और जुनून को दात देनी पड़ेगी 80 साल की उम्र में भी फिल्म में ऐसा काम कर रहे हैं जैसे

Read More »

Judwaa 3

Jab hum twins ke baare mein baatein karte hai tab ye jaruri nhi hota ki wo do completely identical ho ya healthy ho ya ek

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​