Singham 3

Chhota Shakeel ka naam toh sabne sunna hi hoga. Mumbai ka ek number famous gangster Chhota Shakeel bahut kam logon ke saamne aya hai. Jitna zyada iska naam hai utne hi kam darshan. Magar kaam bahut bade bade kiye hain isne.
Dawood ke under kaam karne waala Chhota Shakeel D-Company mein 1988 mein aaya tha. Tabhi se iss company ka saara khel Chotta Shakeel hi dekhta aya hai. Dekhte hi dekhte Mumbai mein Chhota Shakeel ka naam gunjne laga tha. Vasooli karne se lekar maal supply karne tak, sabhi mein Chhota Shakeel ka naam aage ata tha.
Magar yeh kahani iski nahi Praful Bansale ki hai.
Praful ka naam bhi utna hi famous tha jitna Shakeel ka. Farak sirf itna hai ki Chhota Shakeel gangster tha toh wahin Praful officer. Praful ki bhadhuri ke qisse har jagah phaile hue the. Yeh maano ki dono hi apni apni duniya ke best the. Department Praful par bharosa karta tha, toh underworld gang Chhota Shakeel par. Dono ek dusre ko khoob ache se jaante the. Praful ke bhaadhuri ke qisse, aur Chhota Shakeel ke underworld ke contacts sabhi ko pata the.
Aise mein inn dono ka hua tha aamna samna. Baat yeh hai ki Chhota Shakeel kisi kaam se out of India jaane waala tha. Zyada tar logon ko pata nahi rehta tha magar Praful ne apne sources se pata laga liya tha ki Chhota Shakeel kab aur kahan se apne private chopper mein udhne wala hai. Praful yeh chance bilkul bhi miss nahi kar sakta tha. Isi wajah se Praful 2 din pehle se hi uss area par nazar rakhe hue tha jahan yeh hone wala tha. Praful patterns samjh raha tha aur yeh bhi dekh raha tha ki kaun kaun se log Chhota Shakeel ke liye kaam karte hain. Pakdhna toh unhein bhi tha hi.
Bus phir kya woh din aahi gaya. Praful bilkul tyaar the ki Chhota Shakeel ko iss baar pakdh liya jaayega. Praful ek normal civilian ke roop mein wahan majood the. Unhone koi wardi nahi pehen rakhi thi, magar unki gun, unki saathi unke saath thi. Unhein strict instructions the ki unhein Chhota Shakeel ko kisi bhi haal mein country ke bhaar nahi jaane dena hai. Praful ne apne pure career mein 84 gangsters ko pakdha tha, aur Chhota Shakeel unke liye easy target hone waale the kyun ki unhone apni investigation bilkul sahi tarike se ki thi.
Hua bhi yahi ki Chhota shakeel aaye aur unka Praful ke saath hua encounter. Praful bhi ek encounter specialist the isi liye unka nishana bilkul sahi jagah jaakar laga.
Toh bus aisa hi ek encounter hamein Singham 3 mein dekhne ko mil sakta hai. Hamare singham ka nishana waise hi sateek hai, toh bus dekhna hoga ki unke nishaane par akhir hai kaun.

Description
Praful Bansale, an encounter specialist was able to take down Chhota Shakeel.
-By Pratima Ratwani.

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Aashiqui 3, Directed by Anurag Basu,Kartik Aaryan, Jennifer Winget, Koushik Mahata, Sonia Birje,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Aashiqui 3

सोनू निगम (जन्म 30 जुलाई 1973) एक भारतीय गायक, संगीत निर्देशक और अभिनेता हैं। उन्हें मीडिया में हिंदी सिनेमा और कन्नड़ सिनेमा के सबसे लोकप्रिय

Read More »
Adipurush

Adipurush

16 जून को मोस्ट अवेटेड फिल्म आदिपुरुष रिलीज हुई। पर कुछ चीजों की वजह से फिल्म कॉन्ट्रोवर्सी में भी फंस गई। पर‌ क्या इस कॉन्ट्रोवर्सी

Read More »

Dabangg 4

Dabangg 4 के shooting location में इस बार देश के दो बड़े states शामिल है. जी हाँ! इस बार फ़िल्म के कुछ major scenes की

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​