Charles ek orphanage mein rehne wala 5 saal ka chota sa ladhka tha. Charles ki maa bachpan mein hi ek accident mein chal basi thi, aur Charles ke pita ne usse sambhalna sahi nahi samjha, isi liye woh usse orphanage mein badha hone ke liye chod gaye the. Abb Charles ki duniya wahi orphanage ke bache aur staff the. Magar kya wahan par usse apna mehsoos hota tha?
Charles zyada tar akela hi rehta tha. Usse naa toh kisi se baat karna pasand tha, aur naa hi kisi ke saath khelna. Jab usse khana khana hota tha tab woh room ke bhaar ata tha, aur jo bhi bana hota tha usse kha leta tha. Na toh uske dusre bachon ke jaise nakhre the, aur naa hi woh dusron ke jaise apne dil ki baat rakhta tha.
Charles ka ek hi sapna tha, aur woh tha ek acha khandan pana. Woh ek family chahta tha. Usse orphanage walon se koi matlab nahi tha. Woh sara din khidhki par baith kar saamne wali shops par roz bachon ko apne maa baap ke saath aate jaate dekhta tha. Kabhi ek chote ladhke ko uske pita cycle chalana sikha rahe hote the, toh kabhi ek choti ladhki ko uski mummy school lekar jaa rahi hoti thi. Charles ko apne liye yahi chahiye tha. Woh bhi pyaar aur parwah mehsoos karna chahta tha.
Aise mein ek din uski orphanage ki teacher usse paas ki hi halwai ki dukaan mein legayi. Charles achanak se wahan pahuch kar bahut impress hogaya. Usne jab dekha ki wahan ek chota bacha laddu apne haathon mein lekar gol gol bana raha hai, tab pehli baar woh aage se kisi ke paas gaya aur madat karne laga. Teacher bhi dekh kar hairan thi kyun ki Charles aisa kabhi karta nahi tha. Isi liye usne thodi der aur wait kiya. Abb jaane ka waqt hogaya tha. Charles ke chehre par uss din ek ajeeb si Khushi thi.
Agle hi din Charles ko adopt karne kuch parents aane waale the. Charles jaanta tha ki uske jaise shant ladhke ko koi nahi lekar jaayega. Sabko ghar mein uchalne kudne waale bache chahiye jo ghar ki raunak badha sakein. Magar uss din Charles ke room mein ek laddu ka box aya. Yeh box wahi laddu ki shop ka owner lekar aya. Aate hi usne Charles se pucha ki agar woh uske saath hamesha ke liye iss orphanage se chalna chahega!
Charles ko finally woh parents milne waale the jo usse hamesha se chahiye the!
Toh bus aisi hi kuch story aapko Beta mein dekhne ko mil sakti hai, jismein iss baar dono maa aur baap hi naye honge. Movie mein kuch twist ho sakta hai, jaise ki kya pata Charles ka asli baap wapas aa jaaye, magar Charles ko movie mein maa baap ka bharpur pyaar milne wala hai!
-By Pratima Ratwani.