Gadar 2

India aur Pakistan ke bich aaj tak jitne bhi yudh huye hai ya jaha bhi yudh hotey the unn sab mein sabse khatarnak aur jaan lewa agar koi jagah hai thi wo thi Siachen aur aaj bhi hamare kai sainik Siachen par aise hi tainat hokar khade hai. Saal 1984 mein Siachen mein military base banaya gaya tha aur tab se kekar aaj tak kareeb 873 sainiko ne sirf kharaab mausam ke kaaran apni jaan gawa di thi. Siachen puri duniya ka ek lauta aisa yudh chetra hai jahan India ke sainik 16 se 20 hazaar feet ki unchai tak sima ki suraksha mein har waqt tainat rehte hai. 18875 foot ki unchai par sthit Siachen duniya ka ek anokha aur sabse alag yudh ka maidan mana jata hai. Yaha pichley 35 saal se India aur Pakistan ki sena ek dusre ke aamme saamne datte huye hai, aur dono hi desh iss jagah par apna adhikar jatate hai , iss topic par glaciers ko lekar India aur Pakistan ke bich 12 se jada baar baatchit ho chuki hai aur toh aur kabhi kabhi pakistanio ne Indian army par hamla bhi kar diya tha jiska Indian army ne muh tod jawab bhi diya hai. Ab Indian army Siachen glacier par kuch jagahon ko bhartiya naagrikon ke liye kholne ki taiyari kar rahi hai aur iss phaisale ke pichey bhartiya sena ka maqsad aam logo ko sena ke jeevan se joddna bhi hai. Indian army chahte hai ki logo ko pata chale ki wo Siachen mein kitne muskilo ka saamna karna padta hai.
Jab India aur Pakistan ke bich saal 1971 mein yudh hua tha aur uske thik ek saal baad 1972 mein Shimla samjhauta hua tha toh Siachen ke NJ-9842 naam ke jagah par yudh viraam ki sima tai ho gayi thi. Iss point ke aage ke hisse ke baare mein kuch nhi kaha gaya tha aur agle kuch saalo mein baaki ke hisso mein gatividhiya hone lagi thi. Pakistan ne kuch parvataarohee waalo ko waha jaane ki anumati bhi de di gayi thi aur isi ke sath Pakistan ke kuch maps mein yah bhaag unke hisse mein dikhaya gaya tha. Isse pareshan hokar India ne saal 1984 mein operation Meghdoot ke jariye NJ-9842 ke north ke hisse par apna niyantran sthapit kar liya tha . India ne NJ -9842 ke jiss hisse par niyantran kiya tha usse saltoro kehte hai. 25 April saal 1984 ko pakistani sena ek baar phir Siachen par chadhai karne ki koshish ki lekin kharaab mausam ke kaaran unhe wapas lautna pada tha aur aakhirkaar 25 June saal 1987 ko pakistan ne 21 hazaar feet ki unchai par kaayad naamak ek post banane mein saphalata hasil ki thi lekin operation Rajeev ke tehat operation Rajeev major varinder singh ke leadership mein ek Indian task force ne post par apna kabza kar liya tha jiske baad usne kai hamle bhi karwaaye the. 3 asafal koshisho ke baad Nayab subedaar Bana singh ke leadership mein sena ne post par apna kabza kar liya tha. Iss border par kai baar aisa bhi hua tha ki pakistanio ne bahut koshish ki thi Indian army par hamla karne ki ya unhe maarne ki. Saal 2003 mein India aur Pakistan ke bich ek yudh viraam sandhi par hastaakshar kiye gaye the taaki koi bhi iss paar ya uss paar na ja sake aur tab se lekar ab tak iss chetra mein golibaari aur bomb baari band ho gayi thi lekin dono desho ki sena waha aaj bhi tainat hai taaki koi bhi desh kuch ulta sidha na kar sake. India aur Pakistan dono desho ke jitne sainik yaha aapsi ladai ke kaaran nhi mare gaye the, usse bhi kahi jada sainik yaha oxygen ki kami aur himaskhalan ke kaaran maare gaye the. Yaha jadatar samaye 0 se 50 degree niche temperature rehta hai. Ek anumaan ke mutabik ab tak dono desho ko milakar 2500 jawaano ko yaha apni jaan gawaaani padi hai. Saal 2012 mein Pakistan ke gayari base camp mein himaskhalan ke kaaran 140 jawaan maare gaye the. Waha ke sena ke sutro ka kehna hai ki Ladakh aur uske aaspaas tak aane waale Indian famous Kargil ke yudh ke morche tak aane dene ki maang karte rehte hai jaise tiger hill jaha se Indian ki army ki bahaduri aur himmat se Pakistan ke ghuspaithiyon ko khaded diya gaya tha. Siachen glacier ka base camp samundar tal se 11 hazaar feet ki unchai par hai jaha kisi bhi tarah ki yudh ka hona impossible hai lekin phir bhi pakistan aapni harkaton se baaz nhi aata hai aur baar baar India par hamla karta rehta hai jiske wajah se usse aksar apne muh ki khaani padti hai. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Gadar 2 ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

Chandan Pandit

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

BETA 2

Beta 2

Kabhi kabhi paraaye sagon se zyada apne lagane lagte hain. Aisa hi hua Soham ke saath. Soham Delhi mein bada hua ek young aur talented

Read More »

Soldier – 2

Second Lieutenant Arun Khetarpal ka janm 14 October 1950 ko Pune Maharashtra mein hua tha. Arun ke pita ji Brigadier M. L. Khetarpal bhi Indian

Read More »

Tridev 2

Aksar aisa hua hai ki criminals khud ki apradh ko chipane ke liye ya toh jhut ka sahara lete hai ya politics ka kyuki wo

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​