Mumbai ke Mahim West ke Nitya Sahaya building mein thode hi din pehle aag lagne ki khabar aayi thi. Iss building ke chauthe maale par air condition blast hogaya tha, jisse puri building mein dhamaka hua, aur wahan aag lagi. Abb turant hi Police ko khabar kiya gaya. Police wahan pahuch gayi aur unhone logon ko rescue karna start kardiya tha. Police apne safety guards ke saath building mein ghus gayi, aur ek ek kar kar unhone floors khali karaana start kiye. Iss samay raat ke 8 baje the!
By chance hua yun ki jis flat mein aag lagi thi, woh 75 saal ki lady ek animal-lover thi. Usne apne flat mein 1 nahi, 2 nahi balki 13 kutte paal rakhe the. Yeh bahut bada flat tha, aur iss lady ne uss floor par 2 flats le rakhe the. Iss lady ke bache toh bhaar rehte the, aur yeh apne kutton ke saath hi din bitati thi. Abb jab aag lagi toh Police walon ne inn 13 kutton ko bhi rescue kiya. Pehle toh Police walon ki daat deni padegi ki insaan hon yaa jaanwar, unhone sabki zindagi equally important samjhi. Uske baad unhone aur logon ko bhi jaidi jaldi nikalna start kiya. Aag itni zyada thi ki Mahim Railway Station se bhi log aag dekh paarahe the. Aag badhti hi jaa rahi thi, aur khatra abhi tahla nahi tha. Abhi aur logon ko bhi nikaalna tha. Sabhi Police Officers apne head officer ki baat maan rahe the, aur floors ke hisaab se batt gaye the. Khud senior inspector Chaudhary Ji bhi rescue mission mein andar the. Unhone hi sabhi kutton ko bhaar nikala tha. Magar shayad yeh kutte aur bhi kuch kehna chahte the. Jab Chaudhary Ji inhein bhaar lekar aaye the, tab 2 kutte uss aag mein wapas teesre floor par bhaag bhaag ke chale gaye. Chaudhary Ji aur sub-inspector ne unhein follow kiya. Abb yeh kutte ek staircase ke paas chotte se kamre ke bhaar ja kahde hue. Jab Police ne woh darwaza khola toh dekha ki wahan bhi 2 kutte andar the. Darsal afra tafri mein yeh 2 kutte by chance wahan chale gaye the, aur kisi ne rescue karte samay gate band kardiya tha. Magar yeh bezubaan jaanwar bhi jaan ki kimat samjhte the. Isi liye inhone inn dono officers ko uss jagah guide kiya, aur apne hi 2 saathiyon ki jaan bhi bacha li.
Bhale hi bezubaan hue toh kya, inhein bhi jeene ka haq hai. Isi liye hi Police walon ne jald sabko nikaala, aur Shivaji Park Fire Station par bhi khabar de di.
Toh bus aisa hi qissa hamein Rowdy Rathore 2 mein dekhne ko mil sakta hai. Kya pata Chaudhary sir ke jaise hamare Rowdy Rathore ki mulakaat bhi aise hi 2 kutton se ho!
-By Pratima Ratwani.