Gadar 2

Batwaare mein sirf do desh ko nhi bata gaya tha , batware mein uss har chiz ko baati gayi thi jisse India ki aadhi takat maano khatam si ho gayi ho aur badle mein Pakistan ne India ko kya diya sirf aur sirf dhokha aur khoon se saani ye dharti. Gadar movie mein bhi jab ye announcement karwa diya gaya tha ki batwara confirm ho gaya tha toh log idhar udhar bhaag rahe the aur Pakistan waale sirf dange fasad mein lage huye the. India se alag hone par pakistan ko kaafi paise bhi diye gaye the iske alawa sarkaari sampatti mein copies, books, table, bulb, chairs jaisi chizo ka bhi batwaara hua tha. India aur Pakistan ke batwaare mein log, jameen, logo ke emotions ke sath sath kai saare samaano ka bhi batwaara kiya gaya tha. Uss dauraan office mein rakhi copies -books, tables – chairs se lekar typewriter aur pencil tak ka batwaara hua tha, itihaaskaar batate hai ki uss waqt koi ek dictionary thi jisko lekar kaafi vivaad hua tha , yaha tak ki uss kitaab ke bhi do hisse kiye gaye the jisme ek hisa India ka toh dusra hissa Pakistan ko diya gaya tha. Isnn sab ko bhi batwaare mein lene ke baad jab Pakistan ka mann nhi bhara toh usne batwaare mein waha maujud choti se choti chizo ki bhi maang ki thi jaise ki pen , bulb, pagadi, basuri aur rifle bhi . Gadar ke part one mein hamne dekha tha ki kaise batwaare ka scene dikhaya gaya tha lekin makers uss waqt itna detail mein nhi jaa paaye thy toh ho sakhta hai ki Gadar 2 mein makers batwaare ke detail mein jaaye aur jo bhi chize reh gayi thi gusse ek interesting way mein present kare taaki wo audience ko aache se connect kar paaye aur story bhi real aur thodi unique lage.

Pakistanio ka yaha bhi mann nhi bhara tha toh unn logo ne samaan ke sath sath paiso ki bhi demand kar daali thi unka kehna tha ki jab itna kuch batwara kiya ja sakhta hai toh hame bhi hamare haq ka paisa chahiye. Agar sahi tarike se baat ki jaaye toh India ne khud Pakistan ko ye wada kiya tha ki alag hone ke waqt unhe 75 crore rupaye diye jaayenge lekin India unn paiso ko unke batwaare ke haq se nhi de raha tha. India ne clearly bol diya tha ki hum tumhe ye paise jarur de rahe hai lekin badle mein unn sabhi sansaadhanon ki ye keemat hogi jo Pakistan ke haq mein the lekin inka istemaal India karega. Aise mein jab India azaad ho raha tha toh India ne 20 crore rupaye toh ussi waqt de diye the lekin jab dusri installment jarurat ke hisaab se dene ki baat hu thi tab Pakistan ne India par hamla kar diya tha jiske baad Indian government ne Pakistan ko di jaane waali dusri installment ko rok diya tha . Saal 1953 mein Pakistan ne India se wo paise dene ki maang ki thi lekin India ne kuch sampati ke evaj mein Pakistan se hi paise maang liye the. Gadar movie mein dikhaya gaya tha ki sab happily end ho gaya tha lekin makers ne ye nhi dikhaya tha ki batwaare mein kab kab aur kyu Pakistan ne India par hamla kiya tha , jo Gadar 2 movie ko interesting bana sakhti hai. Itna sab ke ho jaane ke baad bhi pakistan nhi ruka toh usne sarkari baggiyon ko bhi nhi chhoda aur inka bhi batwara karwaya tha. Azaadi ke baad India mein reh gayi British viceroy ki baggiyon ka bhi batwara coin ko uchaal kar kiya gaya tha. Iss dauraan 6 baggi India ko aur 6 baggi Pakistan ko mili thi jiske sath hi railway ko bhi do hisso mein baata gaya tha aur issi ke tehat rail ke dibbe, engine, buldojar, truck ka bhi batwara kiya gaya tha. Pakistan ne batware mein sab kuch manga siwaaye sharaab ke lekin tajub ki baat toh ye thi ki iss chiz ko lekar unn dono ke bich bilkul bhi ladai nhi hui thi aur na hi koi vivaad hua tha. Jiske wajah se sharaab ka pura business India mein hi reh gaya tha aur uska pura bhaar India ko hi uthana pada tha. Gadar 2 ki story mein agar ye story ko use kiya gaya toh ye pahele story se hatt kar hogi aur aisa bhi isme dikhaya ja sakhta hai ki Pakistan ke kin logo ne batware ke liye dange kiye the toh usse bhi India aache se connect kar paayega. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Gadar 2 ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

 

 

 

 

Chandan Pandit

 

 

 

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Balwaan 2

Balwaan 2

बलवान फिल्म की तुलना करते हुए सुनील शेट्टी ने कहा था कि, उनकी बेटी अथिया शेट्टी की पहेली फिल्म हीरो लाख गुणा अच्छी थी उनकी

Read More »
Khalnayak 2 ,Sanjay Dutt, Jackie Shroff, Tiger Shroff, Madhuri Dixit,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Khalnayak 2

John Gacy जो कि एक clown killer के नाम से जाना गया था, उसके बचपन के बारे में सुनकर ऐसा लगता है,‌जैसे उसके लिए मार

Read More »

Karan Arjun 2

Zindagi aur maut ki sachai ke bich kuch ghatnaaye aisi bhi hoti hai jo kisi bhi sachai se pare hoti hai, jinke aage saare tark

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​