Yeh kahani hai Karrey aur Aman ki. Karrey, Sunil ki dusri patni thi. Sunil ki pehli biwi ek accident mein unki shaadi ke 4 saal baad hi usse chod kar chali gayi thi. Tab Sunil ko ek 2 saal ka beta tha. Uski parvarish woh Akeley nahi kar sakta tha, isi liye Sunil ne Karrey se shaadi ki. Karrey waise toh achi hi thi, magar Sunil ke bete Aman ko lekar uska behaviour kaafi normal tha. Matlab woh Aman ka dhiyan toh rakhti thi, magar uski koi feelings attached nahi thi usse.
Jaise Aman ki parent-teacher meeting mein hamesha Sunil hi jata tha. Aman bahut baar apni mummy se kehta tha woh aaye, magar Karrey tahl deti thi. Karrey ko bhi apna beta tha. Sunil ke saath shaadi ke baad Karrey ko 3 saal baad ek bacha hua tha. Karrey sara dhiyan ussi par deti thi. Abb zaahir si baat hai, woh uska apna bacha tha. Isi liye Karrey ki feelings usse zyada thi. Aman kuch kehta nahi tha, magar woh apni mummy ki ek hasi ke liye taras jata tha. Usse bade hote hote lagne laga tha ki shayad woh kabhi woh maa nahi jeet paayega jiska woh haqdaar hai.
Karrey hamesha hi apne bete ke saath time spend karna pasand karti thi. Woh Aman ko ignore nahi karti thi, magar woh gap Aman ko mehsoos hota tha. Uska apne bete ke liye chocolates lana, aur uske liye kuch nahi! Uska usse “well done” bolna magar usse nahi! Uska harr Sunday ko uske saath park jana aur Aman ko chod jana shayad Aman ko abb katth ta tha. Aman apne papa se obviously kuch nahi kehta tha kyun ki woh unhein pareshaan nahi karna chahta tha, magar phir bhi usse abb kami mehsoos hoti thi.
Baat toh tab badh gayi jab Aman 10 saal ka tha toh Karrey usse apne saath mayeke lekar gayi thi. Sunil bhaar gaya tha, toh Karrey ko Aman ko lekar jana padha tha. Wahan woh apne nana nani se pehli baar milkar bahut khush hua tha. Jaate hi usne sabhi ke pair chue aur ghar dekhne laga tha. Yeh Diwali ka samay tha!
Diwali ke din uske nana nani use kharchi dene wale the. Yeh Aman ke liye pehla taufa hota uske nana nani ki taraf se. Woh bahut excited tha. Uski nani ne usse kharchi di, aur Karrey ke bete ko bhi ek envelope diya. Aman ne envelope ko bahut badi smile ke saath khola. Uss envelope mein 100 rupay mile the. Magar Karrey ke bete ko toh 500 diye the. Jabki woh toh chota tha!
Baat paison ki nahi hai. Aman samjh gaya tha ki woh yahan par bhi dusre number par hi aayega. Yeh incident usse sach mein zindagi bhar yaad rehgaya tha!
Toh bus aise hi past experiences ka trauma hamein Beta 2 mein dekhne ko mil sakta hai.
-By Pratima Ratwani.