Rajasthan ka ek bahut hi famous gaon hai Tilonia. Iss gaon ki yeh khaasiyat hai ki yahan ke log unth ki chamdhi se bags aur covers jaisi cheezein banate hain. Itna hi nahi yeh gaon handicrafts, aur traditional samaan ke liye bahut famous hai. Yahan ke log din raat mehnat kar kar yeh market lagate hain, jinhein zyada log toh nahi jaante magar jitney jaante hain woh baar baar yahin aate hain. Aur kyun ki sabhi yahan par yeh kaam karte hain, toh zaahir si baat hai yahan par competition bahut hai. Abb aise traditional handicrafts aur aise samaan mein naa zyada variety milti hai, aur naa hi quantity. Harr shop lagane waala yahan sale sirf ek cheez par kar pata hai, aur woh hai inn products ki QUALITY. Yeh 100 per cent shudh hote hain. Koi milawat nahi ki jaati aur jaisa samaan banta hai waisa hi becha jata hai. Abb kyun ki yeh log koi bhi milawat nahi karte hain, aur western culture ke jaise koi fake material yaa kuch dummy nahi daalte hain, isi liye inhein market mein itni jagah nahi milti. Abb fast fashion brands jaise Zara jo harr hafte naya collection nikaalti hai, woh obviously logon ko iss market se zyada hi pasand aati hain bajaye unke jo salalon se ek hi cheez bech rahe hain. Isi liye yeh log itne bhi famous nahi hain!
Magar yeh log khush hain. Yeh log customers se aur apne tradition se dokha nahi karna chahte hain, aur pure gaon mein yahi maana gaya hai. Magar koi hai iss gaon mein jo iss Parampara ko todna chahta hai. Yeh hai Gaon ke sarpanch Sitalal ka bada beta Mohan. Mohan modern khayalaat ka hai, aur usne western culture ke hisaab se abb milawat karna shuru kardi hai. Woh abb apni dukaan par jo bhi cheezein lagata hai woh 49 percent actual hoti hai aur 51 percent fake material se bani hoti hai. Yeh baat khud usne qubool ki hai. Kyun ki Mohan ke pita Sarpanch hain, toh koi kuch keh hi nahi pata hai. Isi wajah se jis Mohan ne ek choti si dukaan se shuru kiya tha, aaj uske paas 3 badi dukaanein aur 2 goddam bhi hain. Aise mein gaonwalon ko isse 2 dikkatein hain.
1. Ki kyun ki Mohan milawat karta hai toh usse woh zyada jaldi cheezein banata hai, jisse unka business girta jaa raha hai.
2. Ki kyun ki milawat ho rahi hai toh Quality girti jaa rahi hai, jiski wajah se unka market mein naam kharab ho raha hai.
Bus yahi guthi suljhane ke liye gaon wale gaye hain Kamlesh ke paas jo ki gaon ka sabse nidar aur jugaadu ladhka hai. Woh Sarpanch ke hi bhaiya ka beta hai, toh uski bhi khoob chalti hai. Abb bus gaonwalon ko ussi se umeed hai.
Yeh Kamlesh hi hamari movie ka Rowdy Rathore Banega jo Mohan ko sabak sikhayega.
-By Pratima Ratwani.