India mein gas pipelines ka culture Dheere Dheere araha hai. Cylinders abb old school ki category mein jaate jaa rahe hain. At least middle-class logon tak toh yeh suidha pahuch hi gayi hai. Harr ghar mein gas pipelines hona hi aage ka vision hai. Magar inn gas pipelines ka installation karwana bhi apne aap mein ek challenge hai, jo harr jagah abhi tak hua nahi hai. Kuch states jaise Rajasthan, UP, Haryana aise hain jahan par yeh installation abhi 30 per cent se bhi kam hua hai.
Toh yahan par obviously gas cylinders hi supply kiye jaate hain. Aise mein aise log jo gas cylinders supply karte hain, unki dadagiri badhti jaa rahi hai.
Hua yeh ki Rajasthan mein ek zile mein aise hi gas cylinders ko supply karna tha. Yeh pure district mein ek hi gas cylinder wala tha, jiske paas 20 workers the. Harr area ke workers bandhe hue the, aur government ki taraf se time to time cylinders bhi jaane zaroori the. Magar yahan ka owner karta tha apni mann maani.
Toh bus aisa hi manchala owner hamein Dabangg 4 mein dekhne ko mil sakta hai, jisse Police acha maza bhi chakhayegi. Police hoti hi hai aam janta ki madat karne ke liye. Toh bus yahin hamare Chulbul Pandey aa sakte dabangg avatar mein saamne.
Toh hua yun ki yeh owner, jiska naam Chaube tha, woh logon ko cylinders supply hi nahi karta tha. Yeh jagah Rajsathan ki thi, jiska naam Makrana tha, aur toh aur yeh wahan ka iklota cylinder supplier tha. Iska ek bada sa warehouse tha jahan par cylinders load kiye jaate the, aur toh aur area ke hisaab se dates bhi decided hoti thi. Magar yeh owner cylinders ka supply delay karta rehta tha. Iss se isse koi paise nahi milte the, bus yeh apne ego ko ko khilata rehta tha.
Actually mein yeh owner “Attention Seeker” tha. Isse acha lagta tha log iske paas akar vinti karte the toh. Yeh araam se khatiya par baith kar, inki baat sunta tha aur unse wada karta tha ki yeh cylinder bhijwa dega. Magar cylinder ata hi nahi tha. Baar baar bahut log aate the, aur yeh unhein wada dekar bhej deta tha.
Abb kuch logon ne milkar iski kardi complaint!
Tab jaakar Police ko iss cheez ki khabar mili. Police ne ek do baar warning bhi di, magar Chaube mana hi nahi. Uske baad aye DSP sahab. Inka naam Tiwari sir tha. Unhone Chaube ko uthawaya, aur khoob phtake lagaye jail mein aur wapas bhej
diya. Yeh raat ke andhere mein hua aur uske baad se hi Chaube sudhar gaya. Kisi ko pata nahi chale ki uske saath kya hua hai, isi liye Chaube ne bhi kabhi yeh baat bhaar nahi nikali.
Toh bus hamein Tiwari ji mein Chulbul Pandey ki jhalak dikh toh rahi hi hai.
-By Pratima Ratwani.