Tiger 3

Prime minister ( Rajit Kapur ) iss hostage situation ko RAW ke hawaale karte hai or Shenoy ( Girish Karnad ) ko us plane mein mojood sabhi 370 logon ko sahi salaamat India vaapas laane ki jimmedari dete hai. Prime minister se order milne ke baad Shenoy turant hi RAW ke senior officers ke saath meeting conduct karte hai, Shenoy sabse hostages ko rescue karne ke liye ideas maangte hai. Ye meeting kai ghanto Tak chalti hai, lekin hostages ko rescue karne ke liye koi bhi achaa plan nahi milta hai. Shenoy gusse mein kehte hai ki “Kya RAW mein koi bhi esa sincere officer nhi hai jo hostages ko rescue karne ke liye ek achaa plan bna sake ?” Tab Karan ( Anant Vidhaat Sharma ) kehta hai ki “ek officer hai jo iss kaam mein kaafi achaa hai”, Shenoy poochta hai ki kaun hai vo officer ? Tab Karan naam leta hai Tiger ( Salman Khan ) ka, vo kehta hai ki Tiger iss hostage rescue ke liye best option hai. Meeting mein mojood officers Tiger ke liye mna karte hai, or kehte hai ki vo ek bhaaga hua agent hai. Shenoy Karan se gusse mein poochte hai ki “Kya RAW itna weak hai ki ab use ek bhaage huye agent ki madad Leni padegi”, Karan kehta hai ki “sir abhi humein ye nhi sochna chahiye ki hum ek bhaage huye agent se madad le rahe hai, abhi humein un 370 hostages ko bachaane ke baare mein sochna chahiye”. Karan aage kehta hai ki agar Tiger iss mission ko karta hai to vo humaare liye faaydemand hi saabit hoga, kyunki agar Tiger mission ke dauraan pakda bhi jaata hai to hum Talibani government se mna kar sakte hai ki Tiger humara agent nhi hai. Ye sab baatein sunkar Shenoy Tiger ko iss mission mein join karne ke liye Maan jaate hai.

Shenoy Karan ko jitni jaldi ho sake utni jaldi Tiger ko dhoondhne ke liye kehte hai, tab Karan unhe batata hai ki humein Tiger ko dhoondhna ki koii jarurat nhi hai Tiger ne apni or contact details humein pehle hi send kar di hai. Darasal, Tiger ko jaise hi iss hijack situation ke baare mein pta chala tha, usne Karan ko apni contact details message kar di thi. Karan Tiger ko uske diye gaye contact par call karta hai, Shenoy Tiger se khud baat karte hai or Tiger ko India bulaate hai.Tiger India jaane ke liye apne ghar se nikalta hai, or next 19 hours mein Tiger RAW ke headquarters mein Shenoy ke saamne hota hai. Shenoy Tiger ko hijack situation ke baare mein achchee se jaankari dete hai, or use ek plan banane ke liye kehte hai. Tiger kehta hai ki usne plan pehle se hi bana liya hai, Tiger batata hai ki Hijackers ne Flight IC-814 ko Bagram air base par land karvaaya tha. Moosa ( Emraan Hashmi ) jo ki Hijackers mein se ek hai usne sabhi hostages airbase ki old terminal building mein rakha hota hai or unke upar terrorists 24 ghante najar rakhte hai. Iss building ke bahar Taliban ke 60 soldiers terrorists ki security kar rahe hote hai. Moosa ne muslim hostages ko or non-muslim hostages ko alag alag room mein rakha hota hai. Tiger unhe ye bhi batata hai ki Afghanistan ka Prime minister Muhammad Hassan ( Pradhuman Singh ) iss time Turkey Gaya hua hai, or hum isi baat ka fayda uthayenge.

Tiger ab apna plan sabko batata hai, vo kehta hai ki hum Indian Air Force ka ek C-17 Globemaster aircraft Afghanistan ke Bagram airbase par land karega. Esa dikhaane ki koshish ki jaayegi ki Muhammad Hassan Turkey se vaapas Afghanistan laut raha hai, lekin us C-17 Globemaster aircraft ke andar Tiger aur Indian Air Force ke Garud Commandos chupe honge. Karan poochta hai ki Tiger aur Garud Commandos kahan chupe honge or us aircraft se bahar kaise niklenge. Tiger jawaab deta hai jaisi car Muhammad Hassan aane jaane ke liye use hoti hai or jaisi cars uske kafile mein use hoti hai, hum vaise hi cars mein baithkar aircraft se niklenge. Karan kehta hai ki “iska matlab humein Muhammad Hassan ke jaise dikhne wale kisi aadmi ko car mein bithaana padega lekin ab hum esa aadmi laayenge kahan se”, Tiger smile karte huye Karan ki taraf dekhne lagta hai. Agle scene mein hum dekhte hai ki kuch log Karan ka make up kar rahe hote hai, or make up hone ke baad Karan ekdum Muhammad Hassan ki tarah dikh raha hota hai. Karan Tiger se kehta hai “sir ab aapna poora plan bana hi liya hota hai to iss mission ka naamkaran bhi kar dijiye”, Tiger thodi der sochne ke baad kehta hai iss mission ka naam hoga “Operation Vajra”. Or isi ke saath RAW “Operation Vajra” ko launch kar deti hai.

Kya Operation Vajra hoga safal ? Jaanenge iss blog ke agle part mein.

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Pawan Putra Bhaijaan , Salman Khan, By Jaya Shree bollygradstudioz.com

Pawan Putra Bhaijaan

Director Kabir khan Or Bhaijaan mil kar ek baar phir se saal 2015 ki film ‘Bajrangi Bhaijaan’ ke sequel par kaam karne ja rahe hain,

Read More »
Mogul

Mogul

  इंडियन रैपर और पॉलिटिक्स में एंट्री लेने वाले सिद्दू मूसेवाला की मौत किस तरह से हुई यह तो हम सभी जानते हैं। जब मुसेवाला

Read More »
Mirzapur - 3 Pankaj Tripathi, Ali Fazal, Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Mirzapur-3

Pankaj Tripathi aka Kaleen bhaiya kehte hai ki woh apni asli zindagi me bilkul bhi power hold nahi karte hai, aise me Kaleen Bhaiya ka

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​

Get Connected