Tiger 3

Humari Tiger ki kahani le chuki hai ab ek alag hi mod, Jisme Tiger apni team ke saath vaapas se cruise ship ke pas aa jaata hai, lekin tab tak yahan par Karan ( Anant Vidhaat Sharma ) aa chuka hota hai jo ki kaafi serious hota hai. Vo Tiger ko batata hai ki, Indian government iss mission ko cancel kar rahi hai, yaani ki ab kisi bhi minority ko India nhi le jaya jaayega. Ye baat jaankar Tiger aur uski poori team upset ho jaati hai. Karan aage kehta hai ki, “Ab tak Ahmed aur Pakistanis ko lagta hai ki minorities apne aap gaayab ho rahe hai, lekin agar unhe pta chala ki, minorities ko India laya jaa raha hai to dono countries ke beech war ho sakta hai”. Karan unhe batata hai ki, “Shenoy sir ( Girish Karnad ) ke orders hai ki Tiger iss mission ko abhi band kare or poori team vaapas India laut aaye”. Shenoy ke orders ko follow karte huye Tiger iss mission ko band kar deta hai. poori team packing karne lagti hai or iss mission ke saare evidences ko mitaane lagti hai. Tiger aur Gopi ( Ranveer Shorey ) last time Govind Singh( Kumud Mishra ) se milne jaate hai. jab vo vahan pahunchte hai to vo dekhte hai ki, Govind jakhmi halaat mein pada hota hai. Tiger ke poochne par Govind batata hai ki, uski ye halat Ahmed ne ki hai. Govind Tiger se kehta hai ki abhi bhi minorities ka ek group yahan par bacha hua hai, humein unhe bhi yahan se nikaalna hoga varna vo sab log maare jaayenge. Tiger aur Gopi kaafi der sochne ke baad last time minorities ke group ko India smuggle karne ka plan banate hai, kyunki aaj Friday nhi hai isliye road par bheed bhi kaafi hoti hai, isliye unhe bade dhyaan se minorities ko bina kisi ki najar mein aaye beach tak laana hoga.

Plan ke mutaabik Tiger ship par chala jaata hai, or Gopi minorities ke group ko beach tak laane ke liye chala jaata hai. Lekin Tiger ka ye plan tab nakaam hota hua najar aata hai, jab raat ke time Ahmed apne kuch aadmiyon ke saath Tiger ke ship par najar rakhne ke liye aa jaata hai. Ahmed ko shak hota hai ki Tiger aur uski team aaj raat minorities ki smuggling karne wale hai, isliye vo unpar najar rakhta hai.

Doosri taraf, road par bheed hone ki vajah se Gopi 527 minorities people ke group ko choti choti galiyon se hokar beach tak le aata hai. Lekin Gopi beach par Ahmed aur uske aadmiyon ko dekh leta hai, isliye vo minorities ke group ko beach par hi ek jagah chupa deta hai. Tabhi Ahmed ka ek aadmi minorities ke hiding place tak pahunch jaata hai, to majboori mein Gopi ko use maarna padta hai, taaki Ahmed ko minorities ke baare mein pta na chal jaaye. Bohot der tak najar rakhne ke baad jab Ahmed ko kuch bhi ajeeb nhi lagta hai, to vo apne aadmiyon ke saath beach se vaapas chala jaata hai. Lekin Tiger ko andaaja hota hai ki Ahmed ko jald hi pta chal jaayega ki uska ek aadmi kam hai, or fir vo or jyada aadmiyon ke saath yahan par aayega. Isliye Tiger jaldi se minorities ko apni ship mein bithane lagta hai, lekin ship mein sirf 250 log hi aa sakte the. Kuch der sochne ke baad Tiger 250 logon ke saath apni ship ko ravaana kar deta hai or khud seedha US ambassador Robert ( Edward Sonnenblick ) ke pass jaata hai, or use apne mission ke baare mein sab kuch bta deta hai.

Tiger Robert se bache huye 277 minorities people ko bachaane ke liye madad maangta hai. Robert madad karne ke liye Maan jaata hai. Robert Karachi beach par maujood ek United States (US ) cargo ship ko us beach par bhej deta hai, jahan par bache huye 277 minorities people mojood hote hai. Vahi Ahmed ko bhi pta chal jaata hai ki uska ek aadmi kam hai, to vo bhi jaldi se beach ki taraf jaane lagta hai or iss baar uske sath bohot saare aadmi hote hai.. Namit ( Angad Bedi ) dekhta hai ki door se kai saari cars unki taraf aa rahi hai, yaani Ahmed apne aadmiyon ke saath unki taraf aa raha hai. Kuch hi der mein Robert ki bheji Hui cargo ship pahunch jaati hai. Tiger aur uski team bache huye 277 minorities people ko cargo ship mein chadhaane lagte hai. Sabhi log asaani se cargo ship par chad jaate hai, vahi Ahmed bhi beach par pahunch chuka hota hai. Ahmed apne aadmiyon se ship par firing karne ke liye kehta hai, lekin tab tak cargo ship vahan se nikal chuki hoti hai. End mein hum dekhte hai ki cargo ship seedhe India jaati hai or minorities ko drop kar deti hai, jaane se pehle Govind Tiger se kehta hai ki,” tum bohot achee aadmi ho” aur isi ke saath ye kahani yhi par end hoti hai.

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Krrish 4,Directed by Rakesh Roshan. With Hrithik Roshan, Amitabh Bachchan, Nora Fatehi, Nawazuddin Siddiqui,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Krrish 4

एक दिन जॉन नाम का एक 13 साल का लड़का काफी उदास था और थोड़ा सा घबराया हुआ भी। ब्रेकफास्ट करने के लिए वो टेबल

Read More »
Sooryavanshi 2, Rohit Shetty, Akshay Kumar, Katrina Kaif, Ajay Devgn, Ranveer Singh,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Sooryavanshi 2

  देश के दुश्मनों ने देश से बदला लेने के लिए एक नया तरीका अपनाया है, अब वो missiles के दम पर नही बल्कि खतरनाक

Read More »
dunki

Dunki

डंकी फिल्म को करने से ज्यादा शाहरुख खान इस बात से excited है कि, उन्हें राजकुमार हिरानी के साथ काम करने का मौका मिल रहा

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​