Baaghi 4

Baaghi 4

RAW का घातक mission.

Indira Gandhi ki mrutyu ke bad Bharat per Ek anchaha khatra mandra raha tha.. RAW agency ko lag raha tha ki is vikat paristhiti ka fayda uthate hue Dushman Desh Bharat per aakraman karne ke bare mein soch sakta hai… raw agent sanjay jindal pareshan the kyuki unhe ek lead mili thi ki mid 1984 se Abdul khan ek ke baad ek ISI adhikaari aur kuch local indian leaders se meeting par meeting kar raha tha… unhe poori gunjaish thi ki jald hi yeh bharat par atanki hamle ki tyaari kar rhe hai.

Ine Sab Mein se Ek Naam Jiske piche pichhle Kai samay se RAW padi thi vah Hai PN Sandhu…Puri report ko study karne ke bad Jindal Delhi ke liye Ravana hota hai aur vahan jakar apne superior authority Anuj bhardwaaj se milta hai. Dushman Ka irada jo bhi ho lekin is bar RAW ko ekadam aage rahana tha…RAW ke samne Ek badi duvidha thi ki Sandhu aur Khan ka mission Europe mein Kaise fail kiya jaaye…

Jindal Bhardwaj ke samne Ek operation karne ka prastav Rakha…Jindal ka Mana tha ki agar yah plan successful hota hai to iska sidha asar dushmanon per padega.. Jindal 2 din Mein Apne is operation ki report taiyar karta hai aur Bhardwaj ko dikhata hai…report ke anusar Sandhu Kai salon se gayab tha aur ab London mein ho rahi ek ke bad Ek meetings Mein vah khan ke sath paya gaya. Current location ke hisab se Sandhu pakistan ke Islamabad mein ISI ke security mein rehta tha.. jindal ne turrnt sandhu ko pakdne ka prastaav rakha.

Yah Tay hua Ki Ab London mein Sandhu ko girftar kiya jaega.. Sabse pahle jindal Ek coffee shop mein sofi se milta Hai…aur table pr 10 hzar dollar aur ek naam rkhta hai. Sofi ka kaam tha uss inshan ko dhoondhna.. 2 din bad Jindal Paris pahunchta hai aur vahan Abdul Khan ke Gardner Tariq Siddiqui ko vah Kuchh paise dekar apni side per leta hai…tarikh Jindal ko Khan ke ghar aane Wale Har Ek Insan ka naam aur yahan tak ki usi gadi ka number bhi provide karta hai.. jb Jindal use naam ki list ko check karta hai to use pata chalta Hai Ki use list mein ISI ke member, Pakistani officers aur kuch civil servants majood hai. Aur isi mein naam tha harbandh singh jo Sandhu ka bodygard tha. Iske sath hi Tariq se mili ek lead ke anusaar Sandhu ko pata chalta hai ki khan London ke Bank mein pese par pese jama kar rah hai. Yah sare report Jindal Bhardwaj ko saunpata hai aur Bhardwaj Jindal se plan B execute karne ko kahta Hai.

Jiske baad jindal harbandh ke cousin Amardeep ko apni side karta hai aur usse kehta hai ki vah unhen Keval Itna bataya ki Har band se milane Kaun a raha hai aur unke bich kya baten ho rahi hai…. Idhar dusri or sofi Jindal ko call Karti hai aur usse kahati hai Harpreet mil gaya hai aur vah Australia mein hai.. Jindal Harpreet ke pass jata hai aur use puchta hai ki usne Apne karibi Shetti ke sath rishte kyon Tod diye.. Jiske bad harpreet use batata hai ki Shetti ke ISI ke sath sambandh the.. jindal ne harpreet ko bataya ki Shetty Sandhu ke liye kaam karta hai aur use funds bhi provide krata hai. Aur vo log Bharat per attack karne ke liye Kuchh bada soch rahe hain.. Jindal Harpreet ko Shetti ke sath wapas dosti karne ko kahta Hai taki voh use sari info de sske. Jiske baad harpreet aur sofi Shetty ke pas California jate hai.

Idhar dusri or Amardeep Jindal ko Sandhu ke account mein ho rahe sare money transaction ki report deta hai…Jaise yah pata chalta Hai Ki ISI Sandhu ko kafi jyada Paisa de rahi hai…Jindal ki sari information Bhardwaj tak pahunchata hai aur vah British ki authority ko is information ke bare mein batata hai…British authority ke naak ke niche se itni badi planning ho rahi dekh vah sharm se Pani Ho jaate Hain…iske but British authority Indian RAW agency ki madad se sabse pahle harbandh ko girftar karte hain aur uske bandh harbandh ki madad se Sandhu ka plan fail karte Hain…jindal aur uski team ki is intelligence ke liye unhe Indian government ki taraf se award Diya jata hai…aur yeh kahani yahi khtm hoti hai…

THE END

_NEHA MISHRA.

Cast

Jindal- tiger Shroff.

Sandho- sharad Kelkar

 

 

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Tiger 3 , Salman Khan, Emraan , Katrina, Bollygrad Studioz,bollygradstudioz.com

Tiger 3

अपने देश के लिए जासूसी करना बहुत बड़ी बात होती है । हर वक्त अपनी जान को साथ में लेकर चलना यह शायद देश प्रेम

Read More »

Ghajini 2

आमिर खान की गजनी फिल्म पर एक शख्स ने अपने रिव्यूज देते हुए यह कहा था कि, “इस फिल्म में एक्शन के नाम पर काफी

Read More »
pawan putra bhaijaan

Pawan Putra Bhaijaan

बजरंगी भाईजान फिल्म पाकिस्तान में भी रिलीज हुई थी जिसे काफी प्यार मिला था। Pakistani censor board chief Fakhr-e-Alam ने इस फिल्म को थम्सअप दिया।

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​