KGF 3

“Vardha Bhai” ke naam se famous Vardha Mudaliyar, ek chote se gaaon se taaluk rakhta tha. Vardha waise toh jyada padha likha nahi tha, halanki woh apne poore pariwaar me ek maatr tha, jo Tamil aur English likh aur padh sakta tha. Mumbai ka famous Don Haji Mastan ki hi tarah Vardha bhi railway station pe coolie ka kaam karte wakt, bada aadmi banne ka sapna dekhta tha. Mumbai ke Victoria terminal pe collie ki naukri kar raha Vardha ko shayad hi pata hoga ki ek din woh Mumbai ka “Bhai” ban jaayega. Kaha jaata hai ki Vardha apne zamane me bahut famous tha. 60 se 80 ke dashak me Mumbai pe raaj karne waala Vardha, politician se lekar officers tak ka boss ban chuka tha. Vardha ko lekar ek kissa yeh hai, ki aise uss daur me Mumbai ke थानों(police lockup) me cutting Chai aati thi. lekin jis din table pe Chai ke badle cola aata tha aur usse थाने ke sabse senior officer ki table pe rakha jaata tha toh poore थाने me harbadi Mach jaati thi kyunki sab samjh jaate the ki Vardha aa gaya hai! Vardha ka aisa kauf poore Mumbai me famous tha. Vardha Mudliar, Haji Mastan aur Karim Lala yeh teeno ke aatank se Mumbai ka baacha-baccha waakif tha. Yeh teeno ka apna alag dhandha tha lekin phir bhi yeh teen, ek dusre se joode huye the. Kaha jaata hai ki yahi teeno Mumbai mafia world ke pillar the. Vardha ke ko lekar ek baat yeh bhi kahi jaati hai ki woh bhale hi Victoria terminal pe coolie ki naukri karta tha, jis wajah se uske paas jayada paise nahi hote the par phir bhi Hindu vardha, har roz apne kaam kahtam karne ke baad Dargaah jaata tha taaki woh waha pe maujood needy logon ki madad kar sake. Vardha aisa, paisa kamaane ke baad bhi karta reh gaya. woh har din Dargaah ke paas maujood logon ki madad karta tha. Yaha tak ki aaj bhi Vardha ka pariwaar “Bismilaah Dargaah” me apne taraf se charity ka kaam karta hai. itna hi nahi uska pariwaar 10,000 logon ka pet bhi bharta hai. Halanki itne nek kaam karne ke bawajood Vardha tha toh ek Don hi jisne kayi saare crime kiye aur bekhauf poore shehar me ghumta raha. Tamil Nadu se Mumbai aaye log Vardha ka poora sahyog karte the. Jyadatar Tamil log Dharavi ki basti me rehte the jaha pe Vardha ka illegal drugs aur alcohol ka business tha. Vardha ne apna business Mumbai ke sabse gareeb ilaake me issiliye failaya tha, kyunki waha pe maujood gareeb log, paison ki kami ki wajah se crime ki duniya me jaane se hesitate nahi karte th. Gareebon ko 10 rupay me alcohol ko bech, Vardha har mahine 1 crore kama leta tha. Halanki Vardha ko ek alag uchayi dene me Haji Mastan ki dosti ne ek aham role nibhaya hai. Asal me hua yu ki Jail me band Vardha ko Hazi Mastan ne use jail se riha karwane ka offer diya. par badle me Haji ko Vardha ka saath aur taakat chahiye tha. Vardha maan jaata hai aur yahi se shuru hoti hai Tamil se aaye do mafia ke Mumbai me Don banne ka safar Jo aage jaa kar khub badha. Haji Mastan aur Vardha aane waale dino me bahut acche dost ban gaye. Haji Mastan ko Vardha ki popularity ki wajah se khub madad bhi mili. wahi Vardha ko bhi Haji Mastan ke power ne usse ek naya mukaam diya. Vardha ki maut saal 1988 me ho gayi, jiske baad Dharavi ke ilaake me aisa laga, jaise waha ki zindagi hi tham gayi ho. Jin logon pe Vardha ka ehsaan tha woh sabhi “Vardha Bhai” ke Marne se dukhi the. kyunki unke liye toh Vardha messiah hi tha. Vardha ki zindagi bhi kamaal ki thi Tamil Nadu se aaya seedha saadha coolie, kab Mumbai ke logon ka messiah ban gaya pata hi nahi chala.

Toh yeh thi illegal alcohol aur drugs smuggler Vardha Mudaliyar ki kahani. agar blog pasand aaye toh like karna naa bhule. Dhanyawaad

Cast:-

Vardha:- Kamal Hassan

 

 

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Bahubali 3

आपने कभी बाहुबली देखते हुए यह नोटिस किया कि अगर भालाल देव के मन में विश नहीं खोला जाता, तो आज बाहुबली और भालाल देव

Read More »
Pushpa 2 ,Directed by Sukumar. With Allu Arjun, Fahadh Faasil, Rashmika Mandanna, Vijay Sethupathi Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Pushpa 2

Nagarhole National Park में smugglers!   मरयूर के बाद दूसरा सबसे बड़ा natural चंदन का जंगल, Kadamampara (कदमनपारा) forest है।  ये  आर्यनकावु (Aryankavu) गाँव के

Read More »
KGF 3, Yash, Sanjay Dutt, Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

KGF 3

Mukhtar Ansari Inka janam 30 june saal 1963 mein Uttar Pradesh ke Yusufpur sehar mein hua tha. Inke dada ji Indian National Congress ke president

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​

Get Connected