India ka asli culture India ki cities mein nahi, balki India ke gaon mein basta hai.
Aisi hi baat hai Lambi Dehar Mines ki. Ek samay ki baat hai jab 50,000 se bhi zyada log iss mine mein kaam kiya karte the. Yeh lime mines Mussoorie ke bahari ilaake mein ati hai. Bade bade pahad, bade bade pedhon se dhaki hui yeh mines, ek samay ki bahut hi famous jagah thi. Yahan kaafi chal pahal raha karti thi kyon ki mines mein kaam ki awaaz jo hoti thi. Na jaane kitne log yahan par kaam kar kar apna guzara kiya karte the. Magar achanak se yahan kuch ajeeb hone laga. Lime ki mining karte samay logon ki dardnak maut hone lagi. Yeh hua isi liye kyon ki lime ki mining karte samay saans lete lete log lime andar le rahe the, aur Dheere Dheere unke lungs pathar ke jaise hote jaa rahe the. Isi wajah se inn mines ko band karna padha.
Tab se yeh ek viraan area hai Jahan par koi aata jaata nahi hai. Logon ki maane toh yeh jagah unn logon ki atma se bhari hai jo log maare gaye. Inn mines ke aas paas abb junglee ghaans ugg gayi hai, pathar aur puraane lagte hai, aur ajeeb ajeeb awaazein sunayi deti hain.
2021 mein ek mashoor blogger ne India ke directors ke deewanepan par ek article likha tha, jis mein kyon Indian directors gaon mein jaa jaakar shoot karte hain yeh bataya tha.
Apne article mein iss blogger ne Bhangarh ke baare mein bhi baat ki. Karan Arjun movie ka sabse famous dialogue “Mere Karan Arjun ayenge” shoot hua tha. Iss article mein bataya gaya ki iss scene ki shooting specially Bhangarh jo ki India ka 2nd most haunted place hai wahan hui thi. Movie mein punarjanam main plot tha, ki kaise Karan Arjun apna badla lene wapas janam lete hain, isi liye makers iss movie ko aisi hi kisi jagah shoot karna chahte the jahan aisi negative vibes ati hon. Bhangarh ke tute fute fort ki wajah se, aur alag alag awaazein aane ki wajah se suraj dhalne ke baad andar jaane nahi diya jata hai, aur yeh mandir Jahan shooting hui thi sirf ikloti jagah hai jahan logon ko sukoon milta hai. Isi liye hi makers ne iss jagah shooting rakhi thi taaki movie mein woh aisa mahol bana sakein. Badi badi ghantiyan bajna, aur alag alag tarike ke special effects jo diye gaye the movie mein woh bilkul hi iss jagah ko Karan Arjun jaisi movie ke liye perfect banate hain.
Toh kya pata iss baar Lambi Dehar mines bann jaayein Karan Arjun 2 ki perfect location?
Yeh toh waqt hi batayega.
Tab tak agar aapko hamara blog pasand aya, toh isse like aur share karein.
-By Pratima Ratwani.