Dhoom 4

Kai aise chor hotey hai jo ya toh unpadh hotey hai ya sirf khud ki shauk ko purey karne ke liye chori karte hai. Lekin hum ye kaise bhul jaate hai ki hum bhi ussi universe ka hissa hai jaha sach hai toh jhut bhi hai jaha chor hai toh waha sipahi bhi hai. Humne kai baar suna hai ki ek chor ne aisa kiya waisa kiya, apne karab din ke wajah se usne chori ki lekin aap usse kiya bologe jisne aachi khaasi padhai ki, ek aache post par job bhi ki lekin baad mein chor bann baitha. Hum baat kar rahe hai ek aise chor ki jisne apne padhe likhe hone ka faida bahut uthaya aur sabke aanko mein dhul jhokta raha. Uss chor ka naam Dhaniram Mittal hai aur logo ka yeh kehna hai ki ye apni 25 saal ki umar se hi chori kar raha hai aur isse apna pesha bhi bana liya hai. Saal 1954 mein isne paheli baar police ne chori karte huye pakda tha filhaal iski Umar 81 saal ho chuki hai lekin abhi bhi ye police ke chungul se farrar hai. Middle class mein janma Dhaniram ka janam 1939 mein Bhiwani mein hua tha . Rohtak ke college mein inter Karne ke baad usne railway mein nakli documents bana kar naukari pa li thi, aur hairaani ki baat yeh hai ki usne 1968 se 1974 tak station master ke roop mein bhi kaam kiya tha. Saal 1964 mein ek baar wo Rohtak mein RTO ke office mein nakli driving licence banane ke aarop mein giraftaar kiya gaya tha, aur issi kaaran police ko apni jaanch mein pata chala ki wo koi mamuli ya chota mota chor nhi balki bahut shatir chor hai yaha tak ki usne Jhajjar ke ek court mein khud ko usne magistrate bhi bataya tha. Dhaniram bachapan se hi padhne mein tej tha usne rajasthan se LLB ki bhi padhai ki phir bator munim kaam bhi kiya tha aur sath hi sath usne handwriting specialist ki degree li thi sath sath usne graphology ki bhi degree hasil ki hui thi. Dhaniram ne Rohtak aur delhi mein apni wapil ki job ke liye wahi ke local court mein practice bhi kiya karta tha. Yaha tak ki uss waqt bhi usne khud ko wakil aur police wala bata kar kai logo ko usne rihah kar diya tha. Yaha tak ki Dhaniram ki kai transport authority mein bhi jaan paihchan thi aur gaadi chori karne ke baad usse kaise aur kaha bechna tha wo iss kaam mein bhi kaafi mahir tha. Usne apne ek bayan mein bata tha ki usne ye saari degree apni chori ki waardaat ko anjaam dene ke liye hasil ki thi. Wo inn degriyo ki wajah se kuch bhi chiz chori karta khaas karke gaadiya aur uske duplicate papers bana kar bech diya karta tha. Dhaniram ne abhi tak kam se kam 1 hazar se adhik gaadiyon ko churaya hai aur bech bhi chuka hai yaha tak ki baaki ke chor koshish karte hai ki raat mein chori karenge ya khaali jagah par chori karenge lekin Dhaniram din ke ujaale mein sabke saamne churi kiya karta tha aur logo ko iski kaano kaam khabar bhi nhi milti thi. Wo bas apne padhe likhe hone ke wajah se asaani se logo ko apni baaton mein fasa leta tha aur phir unki gaadi chura leta tha. Kai saal pahele isse chori ke ilzaam mein giraftaar bhi kiya gaya tha toh jab isse court mein laya gaya tha tab usse judge dekh kar bhadak gaye the aisa isliye hua tha kiu wo har baar kuch na kuch chori ki ilzaam se court jata tha aur bach kar wapas aa jata tha jiss se judge Dhaniram se pareshan ho gaye the aur ussi pareshaani ke wajah se uss din judge ne Dhaniram ko court room ke bahar jaane ke liye bol diya. Itna suntey hi wo pahele toh court room se bahar nikla aur police waalo ke taraf jaane laga utne mein police waalo ne usse pucha ki kaha ja rahe ho , toh Dhaniram ne police waalo se kaha ki judge ne usse jaane ko kaha hai isliye wo aagaya aur itna kehte hai wo waha ruka jab police waale judge se puchne ke liye andar gaye waise hi mauka paate hi Dhaniram waha se bhaag nikla.

Koi bhi chor muskil se muskil ek din, ek hafta ya ek saal chori karta hai lekin Dhaniram ne toh saare choro ki records thod di aur issne 50 saal tak apni chori ko kayam rakha. Jab Dhaniram ka chori kar kar ke mann uub gaya tha toh usne socha ki kiu na thodi ab judgement par bhi dhiyan diya jaaye toh usne judge ki kursi par baithne ka faisla kar liya aur usne wo kar ke bhi dikhaya aur judge ki kursi par baith bhi gaya wo bhi ek do din nhi, wo do mahine se jada samay tak judge ki kursi par baitha raha aur apna faisla sunata raha. Simple tarike se bolu toh jis chor ko Kathghare mein khada hona chahiye tha wo Judge ki kursi par baith kar faisla suna raha tha. Iski yahi sab choriyo ko dekh kar kuch log isse Charles Shobhraj kehte hai toh kai log hindustan ka sabse shatir thug kehte hai. Kaha jata hai ki inn do mahino mein usne 2000 se jada apradhiyo ko jamanat par rihah kar diya tha lekin kaiyo ko usne apne faisle se jail bhi bhejwaya tha, lekin baad mein jab iss mamle ka khulasa hua toh wo pahele hi waha se bhaag chuka tha aur iske baad usne jin apradhiyo ko usne jamanat par rihah kar diya tha unhe phir se pakad kar jail mein daal diya gaya tha.

Ye wakai sochne waali baat hai ki jaha log itne bade bade degree lene ke baad apne future ko lekar focus ho jaate hai wahi Dhaniram Mittal jaise log sirf paiso ki lalach mein apne padhe likhe hone ka yahi sab kaamo mein istemaal karte hain, agar iss najariye se dekha jaaye toh sirf Dhaniram hi ek lauta chor nhi hai jisne aisa kuch kiya ho wo saare log inke barabar hai jo galat aur aache chizo ka bhed bhaav jaante huye bhi galat raste ko chunte hai yaha toh phir bhi Dhaniram ne apne budhape tak chori karta raha aur aaj tak wo police ke chungul se farrar hai.

Jab 78 saal ke Dhaniram Mittal ko delhi police ke gaadi chori nirodhak dastt ne 24 baar usse giraftaar kiya hai , wo 4 May ko jail se bahar bhaag aaya tha. Iske baad usne Shalimar bagh ilaake se ek Maruti Esteem churai thi, Dhaniram iss se pahele kai baar alag alag chori ke maamle mein 23 baar giraftaar ho chuka hai last baar usse 31 March ko pakda gaya tha . Prashant Vihar aur KN Kaatju marg thaane se bhi isne kai gaadiya chori ki thi. Ye iss baar bhi police ke chungul se nikal jata agar police waalo ko CCTV footage mein ye nazar nhi aata , jiske baad usse pakad liya gaya tha . Dhaniram par Delhi , Haryana, Punjab aur Chandigarh mein kiye gaye saare chori ke maamle ko darj kiya gaya hai. Wo har gaadiyon ki chori nhi karta tha bas unn gaadiyon ki chori karta tha jo master key se khul jaati thi , jis gaadi mein jada safety hoti thi usse wo nhi churata tha. Naye daur ke saare gunahgaar Dhaniram se jurm ki baarikiya sikhne aaj bhi dur dur se unke paas jaate hai aur unki ji-hujuri karte hai . Kai aise misaal hai jaha sirf Dhaniram se milne ke liye Jairam ki duniya ke kai Khiladi bade bade jail ki roti bhi kha chuke hai lekin aaj bhi wo police ke chungul se farrar hai. Toh ye bhi ek story ho sakhti hai aane waale Dhoom 4 ki jisme ek aise chor ke baare mein bataya gaya hai jo aaj tak police ke pahuch se dur hai.

Makers abhi Dhoom 4 ki script complete kar rahe hai lekin unhone pahele se hi apne kuch cast ko final kar liye hai. Makers puri koshish kar rahe hai ki Dhoom 4 saal 2024 mein Eid ke waqt release karne ki kyunki isse pahele Pathan aur Tiger 3 ki date hai isliye wo Dhoom 4 ko nhi release karna chahte hai , yaha tak ki franchise me iss baar director ko bhi change kar diya hai iss baar Sanjay Gadwi Dhoom 4 ko direct karenge toh wahi Abhishek Bachchan ko bhi bahar nikal diya gaya hai aur unke jagah Akshay Kumar ko cast kiya gaya hai aur ye abhi unhone officially announce nhi kiya hai lekin agar media ki maane toh Akshay Kumar final ho chuke hai wo bhi negative role ke liye, aur agar aisa hota hai toh Akshay Kumar ka iss movie mein negative role dekhna bahut hi interesting hoga. Toh aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

 

 

Chandan Pandit

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Sooryavanshi 2, Rohit Shetty, Akshay Kumar, Katrina Kaif, Ajay Devgn, Ranveer Singh,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Sooryavanshi 2

2017 mein Arunachal Pradesh ke Papum Pare district mein Sagalee gaon mein landslide hui thi. Achanak hi wahan ke logon ko yeh khatarnak prakritik apada

Read More »

Animal Box Office

इस वक्त थियेटर और बॉक्स ऑफिस दोनों पर ही Alpha Male Animal का ही राज चल रहा है, जो कल यानी अपने डे 9 पर

Read More »
KRRISH 4

Krrish 4

क्रिश फिल्म में कौन नहीं काम करना चाहता है, और अगर छोटा से छोटा रोल भी मिलता है तो कोई भी क्रिश जैसी बड़ी फिल्म

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​

Get Connected