Bahubali 3

Kisi ne kiya khub hi kaha hai piyar kuch bhi kara sakhta hai phir chahe kisi ko apni baat mannwana ho ya do desh ko ladwana ho aisa hi kuch hua tha Seleucid aur Mauryan ke bich. Jaise hi Shikandar ki maut hui puri duniya ab ek bade se rajya mein badal rahi thi, Chandragupta Maurya ne khud ko 321 BC ke aas paas Magadh ke raja ke roop mein sthapit kiya gaya tha, unhone ganga ke maidaan ke saamne Nand vansh Raja ko jeetne ka faisla liya tha. Unhone ek successful guerrilla campaign m
Ke sath 11 saal tak muqabla kiya aur patliputra ki Nanda rajdhani par kabza kar liya tha aur isse saamrajya ki haar hui aur aakhir kaar Chandragupta Maurya ke under maurya saamrajya ka nirmaan hua tha.
Mauryan samaaj ek aisa samaaj tha Bharat ka jisse sabse shaktishali rajvansh bhi kaha jata hai. Maurya rajvansh ne 137 saal Bharat mein raaj kiya aur iski founding ka credit Chandragupta Maurya aur unke mantri Chanakya ko diya jata hai. Ye saamrajya pahele Magadha rajya mein ganga nadi ke maidaano se shuru hua tha aur iski rajdhani patliputra thi. Chandragupta Maurya ne 322 BC mein iss saamrajya ki sthapana ki aur teji se paschim ki taraf apna saamrajya ko badhane mein lage the, unhone wo har choti choti rajyo ke aapsi matbhedo ka faida uthaya jo Shikandar ke aakraman ke baad paida ho gaye the . 316 BC tak maurya vansh ne puri uttari paschimi bharat par adhikaar kar liya tha . Samrat Ashok ke wajah se hi maurya saamrajya sabse mahan aur sakhtishali bankar puri duniya bhar mein famous ho gayi thi aur issi ka bol bala tha.Seleucid Empire Hallenistic samay ka ek saamrajya hai jispar Seleucid Empire ne rajya kiya tha aur iske rajya karne ki aayu 312 BC se 63 BC tak thi. Iski sthapana Seleucus I Nicator ne Macedonian saamrajya jiska Raja mahan Sikhandar tha aur phir uskr baad desh ko batne se adha se jada samay ussi mein paar ho gaya tha. 321 BC mein Babylonia ke Mesopotamia rajya ko paane ke baad Seleucus ne apna rajya ko vistaar karna shuru kar diya tha jisme agal bagal ke saare rajya the.
Itihaaskaaro ki maane toh Maurya aur Seleucid ke bich ladai hone ka kaaran Chandragupta ka Seleucus Nicator ki beti Hellen se piyar karna tha. Chandragupta ne chip kar hellen ko dekha tha uske baad unki sundarta dekhte hi unko Hellen ji se piyar ho gaya tha aur ab wo Hellen se shaadi karna chahte the iske liye unhone wo har koshish ki jo ek premi apne premika ke liye karta hai last mein Chandragupta ne iske liye chanakya se madad maangi iss par bhi Chanakya ne aisa jawab diya ki jo bhi sunta sayad uss waqt unko pagal hi bolta. Chanakya ne sujhao diya ki agar shaadi karni hai toh Seleucus se yudh karne ke liye ghosna karwa do kyunki iske alawa aur koi dusra rasta nhi hai. Lekin uss waqt Seleucus, Chandragupta Maurya ke taqat se awgut nhi the jiske kaaran unhone socha ki purbi bharat ko kiu na ab apne kabje mein le liya jaaye lekin ye unka sirf kwaab hi reh gaya tha aur last mein jab Seleucus ko pata chala ki Chandragupta bahut sakhtishali hai toh unhone unke saamne aatmasamarpan kar diya aur dono ke bich dosti karne ka sujhao bhi diya. Jab Seleucus ko pata chala ki Chandragupta Maurya unki beti se piyar karte hai wo maan liye ki yahi unke waaris hai jo dono ke saamrajya ko sath lekar chalenge aur baad mein Chandragupta Maurya aur Hellen ki shaadi karwa di gayi.
Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Bahubali 3 ki jisme ek piyar ne pahele ladai karwa di aur phir sab thik bhi kar di. Aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

Chandan Pandit

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Puspa 2 ,Directed by Sukumar. With Allu Arjun, Fahadh Faasil, Rashmika Mandanna, Vijay Sethupathi Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Pushpa 2

चंदन की smuggling में शामिल औरत!   पलापेट्टी फायरिंग को बीनू कुमार के plan होने का doubt था, जिसने अपने illegal activities से ‘मिनी वीरप्पन’

Read More »
Adipurush, Prabhas, Kriti Sanon, and Saif Ali Khan,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Adipurush

Aadipurush Thumbnail श्री ram जन्म बालकांड:-, बहुत समय पहले की बात है सरयू नदी के किनारे कोस्ला नाम का राज्य था जिसकी राजधानी अयोध्या थी,

Read More »
Pushpa 2

Pushpa 2

The best friend twist अगर आपने ‘पुष्पा’ मूवी देखी है तो आपको पता होगा कि पुष्पा का राइट हैंड उनका बेस्ट फ्रेंड होता है। बहुत

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​

Get Connected