Housefull 5

“Pairi Pona Mummy Ji!”
Typical Indian Bahu aur uske sanskaar. Iski classes leni padh sakti hain kabhi kabhi. Hum Indians kabhi kabhi kuch aisa karte hain jo foreigners ko samjh hi nahi ata. Jaise ki apne badhon ke paon chuna.
Kyun hota hai yeh?
Lara jo ki America se hai woh kuch din pehle India tour par thi. Woh aise hi Varanasi ki ghat par baithi thi, jab uska Indian friend Raj bhi uske paas akar baitha.
Raj: “What are you thinking Lara?”
Lara: “Raj, I am thinking what if I write a book on things that foreigners don’t understand in India?”
Raj: “As in?”
Lara: “Raj kuch cheezein hain jo Indians karte hamein magar hamein samjh nahi aati. Isse agar kisi ko Indian hone ki acting karni hai toh usse asani hogi.”
(Note for anchor: say it in an accent like a foreigner is trying to speak Hindi)
Raj: “Oh wow. Jaise…”
Iske baad Lara samjhati hai ki kaise humara culture alag hai. Lara Raj se kehti hai ki humare itne rishte hote hain ki koi hamara chacha hai, toh koi mama. Koi poti hai toh koi doiti. Koi muh-bole kaka hain toh koi dur ke tauji. Kitne logon ko hum apne se bandh kar rakhte hain? Akhir itni badi family yaad kaise rehti hai hamein?
Iske baad roz alag festival hota hai toh roz alag pooja hoti hai. Ghar ki bahu ko itni saari pooja yaad kaise rehti hai? Aur kya harr bahu ko harr pooja ki story aur uska matlab pata hota hai yaa sirf yaad karleti hai woh?
Lara Raj se kehti hai ki yahan ke log personal dates mein vishwaas hi nahi rakhte hain. Newlywed couple puri puri family ke saath dinners aur movies par jaate hain. Aur kamaal ki baat yeh hai ki ghar ki bahu hi yeh kehti hai kyun ki woh apne pati se bahut sharmati hai. Akhir kyun?
Uske baad western culture ki jo daughter-in-law hoti hai woh bhi apna opinion deti hai, magar yahan toh “ji mummy ji”, “okay mummy ji” itna hota hai ki samjh hi nahi ata ki bahu kuch sun bhi rahi hai yaa bus usse yahi bolna ata hai!
Aur toh aur pura din nayi bahu ghar mein sabko khush karne mein lagi rehti hai, aur uska aim hota hai “world ki best chai banana”. Lara ko samjh hi nahi ata ki achi chai banane se usse world’s best bahu ka award kaise mil gaya hai?
Aise mein Indian bahu banna easy bhi aur difficult bhi.
Isi liye woh aisi kitab likhna chahti hai.
Abb Housefull franchise mein hamesha se hi koi na koi toh acting karta aya hai. Toh kya pata iss baar ki heroine ko bahu banne ke acting karni pade, toh Lara ki yeh kitab usse zaroor kaam ayegi.

Description
Lara, a foreigner wants to write a book about how in general the daughters-in-law are in India.
-By Pratima Ratwani.

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Fighter

Fighter

पठान फिल्म से सिल्वर स्क्रीन पर बतौर डायरेक्टर सिनेमैटोग्राफी से डेब्यू करने वाले सचिथ पॉलोज अब फाइटर के लिए भी हायर किए गए थे। फाइटर

Read More »
JAWAN

Jawan

लगता है एक्ट्रेस आलिया भट्ट ट्रोलिंग से इतना परेशान हो गई है कि, वो ये तक भूल गई है कि उन्होंने कभी फिल्म ब्रह्मास्त्र में

Read More »
sherkhan

Sherkhan

शेरखान फिल्म की शूटिंग बहुत जल्द शुरू हो सकती है ऐसा audience का कहना है, क्योंकि अभी हाल ही में रिपोटर्स ने जब सोहेल खान

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​

Get Connected