Black Tiger

Eli Cohen ka janam saal 1924 mein Alexandria ke ek Syrian-Jewish family mein hua tha, Ami ke pita saal 1914 mein Syria ke Aleppo se yaha aakar basse the , saal 1948 mein jab Cohen ke mata pita aur teeno bhai bhi jakar bas gaye the lekin electronics ki padhai kar rahe cohen ne egypt mein ruk kar apne course ko pura karne ka faisla kiya tha, yaha ruk kar udhone jewish ki activities mein hisaa liya lekin halaaki saal 1951 mein ek militarytakhtaapalat ke baad ek jewish virodhi abhiyan shuru hua aur Cohen ko giraftaar kar liya gaya tha magar egypt Eli ke khilaaf koi bhi aarop sabit nhi kar saka tha, iske baad Eli ne 1950 ke dasak mein Israel ke liye secret abhiyaanon mein hissa liya aur saal 1957 mein Israel aakar bas gaye the. Israel aane ke do saal baad unki shaadi Nadia se ho gayi thi aur saal 1960 mein Mossad mein bharti hone se pahele unhone translater aur accountant ke roop mein bhi kaam kiya thae. Mossad ke director general Mir Amit ko Syria mein ghuspaith ke liye ek important agent ki talash thi, ek din table par rakhi rejected candidate ki list mein unhe Eki Cohen ka naam dika tha, Eli ka itihaas dekhe par pata wo agent baanne ke liye unko ekdum perfect candidate lage. Cohen ko Mossad ne 6 mahine ki kadi training di aur field agent banne ke liye recommend bhi kar diya tha. Field agent ke taur par Eli ka pura mission secret rehne wala tha waha tak unhone apni patni ko bhi nhi bataya tha,unko bas itna bol kar nikle the ki wo raksha mantri ke furniture kharidne ke liye videsh ja rahe hai. Israel se nikalkar Eli saal 1961 mein Argentina ke Buenos Aires pahuche jaha unka naya naam karan hua ,Kamel Amin Tabet. Iske aage ab yahi unki pehchan bann gayi thi aur plan ke mutabik yaha unhone Syrians traders aur Syrians embassy ke military attached General Ameen Al Haafiz se apne riste banane mein lag gaye the, unhe bataya gaya tha ki kaise Syria se aaye unke maa -baap ne Argentina mein apna business phailaya aur ab unke dehant ke baad wo apne watan Syria lautna chahte hai aur ye sara paisa waha ke development par kharcha karna chahte hai , tamaam muskilo se bachte bachte wo aakhir kaar Syria pahuch gaye the. Syria pahuchte hi Eli ne dekhte hi dekhte Syria mein apni pakad majbut bana li thi aur desh ki ek choti si choti khabar radio transmitter ke jariye Israel ko bhejna shuru kar diya tha. Eli ke sambandh netao se lekar Syrian army ke bade afsaron tak ho gayi thi, saal 1963 mein General Ameen Al Haafiz ke bath party ne satta par kabza kar liya tha aur Eli raaton raat huye iss takhtaapalat se dhiyan bhatkaane ke liye apne ghar par ek badu party de di thi jisme sharaab aur prostitutes ki bharmaar thi, iss party mein unhone army kime bade afsaron se lekar mantriyon tak ko bulaya aur jab sabka dhiyan ayyaashee par tha tab Eli ke dost Ameen Al Haafiz raaton raat waha ke president bann gaye the.
Ab jab Syria mein Eli ki mann pasand ki government thi toh Eli ne kai badi saazisho ka pata lagawa liya tha aur uske baad usne Israel ko bataya ki kaise Syria, Israel ke liye paani ke ekamaatr source ‘Sea Of galilee’ mein jaane waale do nadiyon ke paani ko modne ka plan bana raha tha . Israel ne south Syria mein chal rahi iss secret taiyari ko air strike kar ek jhatke mein dhvast kar diya tha. Saal 1965 ka wo daur aaya jab Syria ko lagatar jhatke par jhatke lag rahe the kyuki Eli Cohen ne kaafi khufiya jaankaari Israel ko de diye the, lekin lagatar transmission se baat karne ki wajah se Syria ke general ke chief staff ko Eli Cohen par shaq hua toh unhone sehar ki transmission ki test shuru karwa di thi jispar Eli Cohen pakde gaye the, wo bhi tab jab unhe Syria government ne raksha ministry ki jemedaari di ja rahi thi. Eli Cohen ko saal 1966 mein Damishk ke chaurahe par phasi di gayi thi aur unke gale mein ek banner bhi daal diya gaya tha, jispar ye likha tha ki Syria mein maujud arbi logo ki aur se, Israel ke logo ki aur se unki dead body wapas laane ki koi koshish ki gayi lekin Syria ne Eli Cohen ki dead body nhi lautayi. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Black Tiger ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

 

Chandan Pandit

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Ghajini 2

आमिर खान की गजनी फिल्म पर एक शख्स ने अपने रिव्यूज देते हुए यह कहा था कि, “इस फिल्म में एक्शन के नाम पर काफी

Read More »
DON 3

Don 3

कुंवर रघुराज प्रताप सिंह उर्फ राजा भैया प्रतापगढ़ की के बद्री रियासत के रॉयल फैमिली से आते थे। उनके दादा भद्रक बहादुर सिंह फ्रीडम फाइटर

Read More »
Tiger 3 Coming on 21st April 2023 on eid , Salman Khan,Yash Vashishtha bollygagrd.com

Tiger 3

Tiger 3 की त्यारियां जोरों शोरों से शुरू कर दी गई है। Film की announcement के बाद से ही film को लेकर काफ़ी नई खबरे

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​