Krrish-4

Film koi mil gaya me Jaadu ko dekhne ke baad, har koi chahta hai ki use bhi ek aisa alien mile, jiski madad se woh Krrish ki tarah ek superhero ban sake. Lekin lagta hai scientists ne humari yeh baat sun li hai, tab hi toh unhone humari dharti ki hi tarah ek aur dharti doondh nikaali hai, jaha pe yakinan woh Aliens ho sakte hai, jinki hum philhaal talaash me hai.
Saal 2014 me Australia ke “University of New South Wales” ke scientists ne humari dharti ki hi tarah ek aur dharti ki khoj ki hai, jiska scientific naam “Gliese 832c”(ग्लिस) hai.
Ajeeb baat yeh hai ki ek taraf jaha hum dusri dharti aur waha pe rehne waale Aliens ko lekar khush ho rahe hai, wahi duniya ke mahaan scientist Stephan Hawking Aliens ko lekar डरते aaye hai. Stephan Hawking ne apne marne se pehle, duniya ko pehle hi warn kar diya tha ki Aliens aur unse joodi cheezen masaak nahi hai aur yeh bahut khatarnaak bhi ho sakti hai. Stephan ke mutaabik Aliens aggressive aur greedy(लालची) ho sakte hai, jo universe me ghum kar apne liye resources ki talaash kar rahe hai. Aliens ek tarah se universe me ghumne waale woh looteren hai, jo naye planet pe kabza jamaane ki soch rahe hai. Aise me unke kisi bhi messages ko bina saavdhaani ke kholna kaafi khatarnaak ho sakta hai. Stephan Hawking mahaan scientist me se ek the aur woh aaj se nahi, balki kayi decades se insaano ko, Aliens ko lekar saavdhaan kar rahe hai. Aise me jab unhe Aliens se darr lag raga hai toh baat kahi naa kahi serious hai. Gliese ki baat kare toh yeh ek aisa planet hai, jo bilkul dharti ki tarah hi dikhta hai. Shaayad hum ise parallel world bhi keh sakte hai. Gliese humari dharti se “16 light-years” door hai.
1 saal me light jitni distance travel karti hai, use light years kehte hai. Saaf shabdon me kahe toh, 1 light year ko poora hone me 365 days ka wakt lagte hai. “1 light year” 9 trillion km hoti hai. Iss hisaab se, ab aap yeh andaaza laga sakte hai ki Gliese humari dharti se, asal me kitni door hai. Wahi jis tarah se humari dharti suraj ka chakkar lagaati hai, ussi tarah Gliese ek “Red dwarf Star” ka chakkar lagati hai, jo humare suraj ke aadhe mass aur radius ke barabar hai. Scientists ka maan’na hai ki Gliese ek maatra planet nahi hai jo iss dwarf star ka chakkar lagaati hai. Yaani ki humare solar system ki hi tarah universe me aur bhi solar systems hai, jinme se kayi planets pe humari tarah hi log rehte hai, jinhe hum Aliens kehte hai. Woh baat alag hai ki humari technology abhi utni advance nahi hui hai, issi kaaran hum abhi dusre planets aur unki existence ke baare me jyada kuch nahi jaante hai. Lekin kaha jaata hai 2009 me scientists ne Jupiter ki hi tarah ek aur planet khoji thi, jo bhi red dwarf planet ka chakkar laga rahi thi. Issi ke baad hi scientists ko 2014 me dusri dharti dikhayi di. Kaha jaata hai iss universe me do duniya hai, yaani ki humari dharti ki hi tarah ek dusri dharti hai, jise hum parallel world kehte hai. Ho sakta hai Gliese 832c humara parallel world ho. Halanki scientists ne yeh maana hai ki jis solar system me Gliese exist karti hai, woh humare solar system se kaafi choti hai. Gliese me Earth ki hi tarah paani bhi hai. Halanki scientists Gliese ke atmosphere ke baare me pata nahi laga paayen hai. Scientists ke mutaabik ho sakta hai Gliese me extreme seasonal shift hote ho, jaise ki yaa toh waha bahut thanda atmosphere hota hoga, ya toh Gliese bahut garam hogi. Issi kaaran Gliese me life possible hai yaa nahi iska pata scientists nahi laga paayen hai.
Par dekha jaaye, toh jaruri nahi ki jis atmosphere ki jarurat insaano ko hoti hai, wahi atmosphere Aliens ke liye bhi suitable ho. Ho sakta hai Aliens ko extreme weather ki aadat ho aur waha ke atmosphere ke mutaabik hi woh dikhte bhi ho. Aapne bahut se filmon me Aliens ko dekha hoga. “Koi mil gaya” ki hi baat kare toh usme “Jaadu” blue colour ka tha, jo dikhne me chipkali ki tarah nazar aa raha tha. Ho sakta hai Aliens ka aisa dikhna unke planet ke atmosphere ke kaaran ho. Humara skin tone bhi temperature pe depend karta hai. Jaise ki, European kyunki thande jagah rehte hai, issi kaaran unme “melanin”(मेलेनिन) naam ki pigment kam maatra me hoti hai. Wahi African jo garam jagah rehte hai, unme melanin jyada maatra me hoti hai, issi kaaran unka skin tone dark hota hai. Kuch usi tarah bhale hi dusre planet pe extreme atmosphere ho, lekin waha bhi life possible ho sakti hai, bus waha pe rehne waale log, ya yu kahe toh Aliens, dikhne me humse kaafi alag honge.
Toh yeh thi aaj ki kahani, agar aapko yeh video pasand aaya toh ise like karna naa bhule.
Dhanyawaad
The End

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Dabangg 4,Salman Khan,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Dabangg 4

आज हम बात करने वाले है indian police officers की bravery के कुछ ऐसे किस्से जिन्हें सुनकर आपको हमारी पुलिस पर proud होगा। जहां कुछ

Read More »
Ganapath

Ganapath

फिल्म Goodbye की success के बाद पता नहीं क्यों डायरेक्टर विकास बहल किसी के साथ भी अच्छे तरीके से behave नहीं कर रहे हैं ।

Read More »

Mission Raniganj

फिल्म ओएमजी 2 में सेक्स एजुकेशन जैसे सेंसिटिव टॉपिक को डंके की चोट पर दिखाकर, सेंसर बोर्ड की परवाह किए बिना अक्षय कुमार ने फिल्म

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​