Soldier – 2

Major Sunny achee se jaante the ki operation ki safalta ko 100 percent sure karne ka ek hi raasta hai, strike ki date ko postpone karna. Unki jaankari ke anusar Camps ki duri ko dhyaan me rakhte huye unhe thode or samay ki jarurat thi Isliye Major Sunny apne senior officers se baat karke strikes ki date ko do din aage badhva dete hai, yaani ki jo surgical strike pehle 7 June ko hone wali thi ab vo 9 June ko hogi. Do din ka samay milne ka matalab tha ki ab Major Sunny or unke commandos ke pass targeted camps tak pahunchne ka sufficient time hoga. Iske baad Major Sunny apne commandos ko thodi der rest karne ka order dete huye kehte hai “ commandos pta nhi iske baad kab achee se rest karne ko milega isliye thodi der ke liye sablog rest karlo”. 7 June ki subah Para SF ke commandos ek short briefing ke baad mission par jaane ke liye ready hone lagte hai. Major Sunny ne Jin teen camps ko select Kiya tha unme lagbhag 100 algaavvadiyon ke hone ke chances the, isliye vo apni team mein 64 commandos ko add karte hai. Sir se pair tak gears se ladhe in 64 commandos ko iss operation ke liye Major Sunny ne apne haatho se chuna tha. Operation Sunrise ke liye commandos apne saath rocket launchers, machine guns, assault rifles or under barrel grenade launchers carry kar rahe the. Major Sunny har baar ki tarah iss mission ke liye bhi apni favourite M4A1 Carbine or silencer lagi hui Uzi sub machine gun ko carry kar rahe the. 

Mission ke liye ready hone ke baad Major Sunny apne commandos ke sath josh talk karte or fir desh ki mitti ka tika lagane ke baad military trucks mein savaar ho jaate hai. 7 June ko subah 5 baje Military trucks Major Sunny or unki team ko Mayanmar border ke pass drop kar dete hai, lekin inke target border ke dusri taraf abhi bhi kaafi dur the. Target location tak pahunchne ke liye Major Sunny or unke har ek commando ko 35 kilograms payload ke sath bina ruke apne pairo par 40 kilometres ka safar Tay karna tha. Iske baad ye sabhi 64 commandos Major Sunny ke peeche peeche apna safar shuru kar dete hai, Mayanmar ke jungle mein kuch der tak chalne ke baad Major Sunny ko ghani jhadiyo ke peeche se kuch hulchul hone ki awaaz aati hai. Ye awaaz sunte hi Major Sunny apni team ko rukne ka ishara karte hai or sabhi commandos apni rifles ko un ghani jhadiyo ki taraf taan dete hai. Kuch seconds ke baad un jhadiyo ke peeche se 5 log nikalte hai jinke kandho par monitor lizards tangi hoti hai. Poochne par pta chalta hai ki vo 5 log Burmese shikaari hai or jungle mein paayi jaane Vali monitor lizards ka shikaar karte hai. In shikariyon ki vajah se Major Sunny ke saamne badi problem khadi ho gayi thi, ab vo in shikariyon ko ese hi nhi chod sakte the. Kyunki ye log algaavvadiyon ke jasoos bhi ho sakte hai or inhe chodne ki galti karna poore mission ko compromise bhi kar sakta tha. Major Sunny bina kisi strong proof ke in logon ko maar bhi nhi sakte the, isliye dusra koi upay na dekhte huye vo in shikariyon ko bandhi  banakar apne saath le jaane ka decide karte hai.

8 June ki dophar hote hote in commandos ek pahad ki chhoti se camps dikhne lagte hai. 7 June ki subah truck se utarne se lekar ab tak ye commandos ek baar bhi araam karne ke liye nhi ruke the, isliye Major Sunny apne commandos ko thodi der ruk kar lunch karne ke liye kehte hai. Lunch karne ke baad ek commando aakar Major Sunny se kehta hai ki “ sir sabka paani khatam ho gaya hai kisi ke pass ek boond tak nhi bachi hai”. Ye sunne ke baad mAjor Sunny kehte hai “ aree ye to achii baat hai ab or jaldi iss mission ko khatam karenge, fir un camps mein rakha saara khana paani humara hoga” itna kehne ke baad sablog firse apni target location ki taraf badhne lagte hai. 8 June ki der shaam tak Para SF Commandos target location tak pahunch chuke hote hai, ye sabhi commandos apne night vision goggles pehnte hai or chaar teams mein divide ho jaate hai. 

Kya Major Sunny honge apne mission mein kaamyaab ? Kya Major Sunny ko jhelni padegi casualties ? Jaanenge iss blog ke agle part mein.

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Mr. India 2

Mr. India 2

मिस्टर इंडिया मूवी में जहां अच्छी अच्छी फैक्ट्स है तो वहां कुछ ऐसे फैक्ट्स भी हैं जिसे जानकर किसी को भी विश्वास नहीं होगा। एक

Read More »
BETA 2

Beta 2

Kabhi kabhi kuch kahaniyan yunhin padhne ko mil jaati hain. Aur yeh kahani hai Kashish ki. Pata nahi Kashish ka asli naam Kashish hai bhi

Read More »
Khalnayak 2 ,Sanjay Dutt, Jackie Shroff, Tiger Shroff, Madhuri Dixit,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Khalnayak 2

जैसन वुकोविच (Jason Vukovich) real life criminal लोगों के बीच एक Unique person हैं। जी हाँ jason, एक चोर, एक robber होने के बाद भी,

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​

Get Connected