RRRR

Kohinoor ke baare mein sabne sunna hai, magar kya sirf wahi ek cheez hai jo angrez hum se lekar gaye the?
Nahi!
Humne angrezon ko bahut kuch diya hai yaa yun kahein ki humse bahut saari cheezein Kohinoor ke alawa bhi cheeni gayi hain. In mein kuch cheezein hain jaise Wine cup Shah Jahan ka, Rosette store, Seeds of Hevea Brasiliensis, Elgin marbles aur bahut kuch. Aise hi ek aur kimti cheez jo kimti hone ke saath saath hamari shaan hai woh bhi angrezon ke 2 alag alag museum mein padi hai.
Yeh hai MYSORE KE TIGER – ‘TIPU SULTAN’ KI SWORD AUR RING.
East India Company ne 1799 mein Tipu Sultan ko hara kar maar diya tha jiske baad unki 4 swords yaaniki talwaarein aur unki anguthi le li gayi thi. Aaj bhi woh 4 talwaarein aur woh anguthi UK mein 2 alag alag museums mein display par lagi hain.
Batate hain ki Tipu Sultan ek nirdar aur highly skilled warrior the. Tipu Sultan ko Tiger of Mysore bhi kaha jaata hai, aur unki jo talwar Britishers ke paas hai uss par bhi woh emblem bana hai. Uss samay mein sabse zyada khatra East India Company yaa yun kahein Britishers ko tha toh woh tha Tipu Sultan se. Tipu Sultan bade jigar wale ghudhsawar aur talwarbaaz the. Unki talwar par pakdh bahut achi thi, aur woh kabhi kisi galat ke saamne nahi jhukte the. Woh maidan par as a leader utarte the, aur dushmano ko dhool chata dete the. Unhone Britishers ko bhi 1792 mein yahi dhool chatayi thi.
Woh jaante the ki angrez kis iraade se yahan aaye hain, aur woh kisi bhi haal mein apna desh unhein de kar gulaam nahi bann na chahte the. Isiliye unhone haath na milkar talwaar uthana chunna. Issi wajah se 1792 ka battle woh jeet gaye. Magar 1799 mein unhone apni jaan khoyi aur angrez unki kimti anguthi aur unki 4 talwaarein as a sign of victory UK legaye the, jahan unhone yeh apni Queen ko Arpan kiya tha. Magar woh anguthi aur woh talwaarein hamari hain, aur hamari hi rahengi. Bahut log iss khoi hui shaan ko pana chahte hain aur inn kimti cheezon ko wapas lana chahte hain. Kayin baar isse churaane ki planning ki gayi hai, aur toh aur threats bhi di gayi hain ki inhein utha liya jaayega jald se jald. Kuch logon ne isse churana sahi samjha hai toh kuch log baar baar arzi daalte hain ki Tipu Sultan ki anguthi aur talwaar dobara India wapas laaye jaayein.
Toh bus iss Tipu Sultan ki anguthi aur talwaar ko wapas laane ki tyaari RRRR mein bhi ki jaa sakti hai!

 

-By Pratima Ratwani.

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Devara

अभी तक हम NTR की अपकमिंग फिल्म Devara को ले कर यह जानते थे कि इस फ़िल्म में एक coastal island होगा और ज़्यादातर समुंदर

Read More »
KGF 3 , yash , Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

KGF chapter 3

Aaj hum baat karne wale hai Mumbai ke sab se badnaam mafia Don ke baare mein, jisne Mumbai sheher mein 1960 ki shuruaat se lekar

Read More »
Pushpa 2

Pushpa 2

पुष्पा मूवी के बाद तो मानो जैसे टॉलीवुड की दुनिया में सिर्फ एक नाम गूंज रहा था और वो नाम था अल्लू अर्जुन का। जिस

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​

Get Connected