1995 ki shuruat me Mike Marcum(मारकम) naam ke ek ladke ne dawa kiya, ki usne apne Missouri( मिज़ूरी) stith ghar me Time Machine banane ka pryaas kiya hai. America ke Missouri me rehne waale Mike ko log “Madman” keh kar bhi bulaate hai. Mike ek ajeeb si machine pe kaam kar raha tha, jise woh Jacobs Ladder keh kar bulata tha. Mike ke mutaabik Jacobs Ladder, modified compact disc(CD) laser ki madad se do poles ke beech, air resistance ko reduce karta hai. Jab Mike ne machine ko on kiya toh usne kuch ajeeb sa dekha. Asal me Mike ne device ko test karne ke liye jab uske andar ek metal ka piece dala toh woh kuch seconds ke liye gaayab ho gaya aur phir kuch feet ki doori pe woh metal piece phir waapas aa gaya. Jab Mike apni iss machine pe kaam kar rahe the, tab unki umar sirf 21 saal thi aur woh ek student the, jo electricity me Major kar rahe the. Jaankaari ke anusaar Mike apne doston ke mukaable thode jyada intelligent the. Mike ko Time Machine issiliye banana tha, kyunki woh future se winning lottery ticket ka number haasil karna chahte the. Halanki Time Machine ko chalaane ke liye Mike ko bahut jyada electrical power ki jarurat thi. Machine pe thode aur test karne ke baad CD(compact disc) laser me aag lag gayi. Mike ne socha ki agar woh Time Machine ko dobaara se banayenge, toh unhe kuch transformers ki bhi jarurat hogi. Mike ne shuruat me transformers ko khareedne ke baare me socha, lekin woh kaafi mehange the. Issi kaaran Mike ne ek tarkeeb nikaali jisme usne pass ke ek power station se, puraane pade 6 transformers ko chura liya. Transformers ki baat kare toh woh ek tarah ki machine hoti hai, jiski madad se electric power ek circuit se kayi dusre circuit me transfer hoti hai. Apne experiment ke dauran, Mike ne galti se apne aas-paas ke sabhi gharon ki bijli udaa di, jisse aas-paas ka pura ilaaka andhere me doob chuka tha. Thodi hi der baad ek officer Mike ke ghar pe aate hai aur use arrest kar apne saath le jaate hai. Yeh ghatna 29 January 1995 ki hai, jiske baad kuch mahino tak Mike jail me hi raha. Jab kuch mahino baad Mike jail se riha hua toh use ek tv channel ne guest ke taur pe apne studio me bulaya. Waha jaakar Mike ne apni puri kahani ke saath hi, Time Machine ko banane ko lekar apne aage ke plan ko bhi, audience ke saath saajha kiya. Mike ne Tv channel se kaha, ki ab woh legally apni Time Machine banayega, jise sunkar studio me maujood har koi impress ho gaya. Mike ne Tv channel se yeh bhi kaha ki woh ek aur baar Time Machine pe experiment karna chahta hai, lekin uske paas naa hi paisa hai aur naa hi koi spare parts. Apne diye iss interview ke dauran Mike ne apna phone number bhi diya tha, jiske baad use lagataar 3 dino tak calls aate rahe. Tv channel ke interview ne Mike ki kaafi madad ki, kyunki iss interview ko dekhne ke baad jyaatar log Mike ki madad ke liye aage aane lage aur unn sabhi ne Mike ko paise ke alawa, spare parts aur ideas bhi provide karwaya. Mike ko logon se mili iss madad ke kaaran uska naya project, puraane project ke mukaable kaafi jyada bada aur powerful tha. Mike ke puraane Time Machine project pe laga original engine kilowatt rate pe chalta tha, halanki naye engine ko Mike ne 3 megawatt pe chalne ke liye banaya tha, kyunki Mike ko iss baar Time Machine ko khud pe test karna tha.
Aage hum jaanenge ki aakhir kis tarah se Mike ne Time Machine ko banaya aur aakhir woh uss machine ko banakar kaha gaayab ho gaya. Kya woh waapas phir mila? Yaa phir Mike future me hi phans gaya? Kahani poori jaan’ne ke liye dekhte rahiye humara yeh channel jiska naam hai Bollygrad studioz
To Be Continued… part-1
Sholay 2
Jaisa ki hum sab jaante hai ki koi apni khusi se chor ya daaku ya don nhi banta hai ya toh usse uske halaat waisa