Singham 3

Kuch din pehle border par kuch terrorists LOC cross kar kar aane ki koshish kar rahe the. Yeh raat ke andhere mein ho raha tha, jiske liye already tip mil chuki thi. Isi wajah se special Police force bhi bulayi gayi thi taaki inn logon ko handle kiya jaaye. Abb yeh baat toh harr news channel par dikhayi jaa rahi thi. Magar Police ne inhein custody mein lekar kiya kya aur kya pata lagaya?
Kya India ki security ko khatra hai?
Hua yun ki J&K se jin 3 jano ko utha kar laya gaya tha, unhein Mumbai ke special cell mein rakha gaya hai. Inki background information nikaali gayi, jisse pata chala inke alias yaaniki mission ke liye naam hain Javed, Salim aur Asfaaq. Inke asli naam pata nahi chal rahe the magar yeh teeno Lahore ke the yeh confirm pata chal chuka tha. Waise Javed mamuli tailor tha, Salim ek teacher aur Ashfaaq ek driver. Inn teeno ko India mein kisi mission ke liye bualaya gaya tha.
Inspector inki khaatir daari kar rahe the jab unhein pata chala ki inke professions bahut ache se inka kaam batate hain.
Javed- Tailor tha. Iska asli matlab yeh hai ki yeh special bombs banata tha. Chemical engineering ki degree toh nahi thi iske paas magar usne ek aisi ladhki se nikaah kiya tha jiske pita Pakistan mein chemical engineer the. Isi liye bomb banana aur bhi bahut kuch Javed ne seekh liya tha.
Salim- Teacher tha. Zaroor hi woh logon ka brainwash karne aya tha. Abb mission mein aur logon ki yaa yun kahein mahoron ki zaroorat toh padhti hi. Isi liye uska hona bhi bahut zaroori tha.
Ashfaaq- Driver tha. Woh sabhi hathiyaaron aur bombs ko apne maalik ki gaadiyon mein rakh kar ek jagah se dusri jagah lejaya karta tha.
Yeh teeno hi normal se dikhne waale log terrorist organization ka part honge, yeh koi soch bhi nahi sakta tha.
Mumbai Police ne khaas kar kar inhein alag cell mein rakha tha, aur shuruaat mein chila chila kar bus sawaal kar rahe the. Nahi maan ne par inhein belts se mara gaya toh ulta bhi latkaya gaya. Saare taur tarike azmaane ke baad hi inn logon ne apne actual profession ke baare mein bataya. Inhone muh yeh toh khola ki yeh log mission ke liye aaye hain, aur yeh bhi kaha ki jaisa Mumbai Attack 26/11 hua tha waisa kuch karna cha rahe the, magar kab yeh decided nahi tha.
Aur ek aur baat sochne waali yeh hai ki agar yeh teeno inn kaamon ke liye yahan the, toh team mein aur logon ki bhi toh zaroorat padhti hai. Toh woh kahan se aayenge? Yaa kya pata aa chuke hon. Yeh toh pata lagana hi padega.
Abb Mumbai Police ki baat ho rahi hai toh zaahir si baat hai hamare Singham toh picture mein aayenge hi na. Toh bus Singham 3 mein aapko kuch aisa hi dekhne ko mil sakta hai.

-By Pratima Ratwani.

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Bhool Bhulaiya 3, Kartik Aaryan,Bollygrad Studioz ,bollygradstudioz.com

Bhool Bhulaiyaa 3

Sharmilla आज बहुत खुश थी। क्योकी आज वो पहली बार अपने family के घर से अलग रहने वाली थी। जानते है भई, Family is important!

Read More »

Dabangg 4

Nainital ek bahut hi khoobsurat seher hai Uttrakhand ka. Aur aise seher mein bahut se tourists bhi aate hain apni chuttiyan bitaane. Abb inn tourists

Read More »

tiger 3 में NTR?

यह एक सच है कि एनटीआर वॉर 2 में वाईआरएफ स्पाई यूनिवर्स के साथ अपना बॉलीवुड डेब्यू करेंगे। यह फिल्म तारक और ऋतिक रोशन के

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​

Get Connected