Dhoom-4

Saal 1990 se 1994 aa gaya, lekin FBI ko choron ka koi suraag nahi mila. 1994 ki shuruat me Boston mafia “Whitey Bulger” pe chori ka aarop laga. Whitey Boston ka sabse famous crime boss tha. Uski police se bhi kaafi acchi bonding thi. Yahi kaaran tha ki FBI agents ko aisa laga ki Whitey ne heist ke liye, ya toh asli police waalon ka istemaal kiya hoga, ya toh usne choron ko police ki वर्दी dilwayi hogi. FBI ke anusaar Whitey ke liye police ka istemaal karna kaafi asaan tha. Issi kaaran FBI shuruat se hi Whitey ko shak ki nazar se dekh rahi thi. Halanki yeh baat jab Whitey ko pata chali, toh woh kaafi gussa hua. Whitey ka kehna tha ki, bhale hi usne kitne bhi criminal act ko anjaam diya ho, lekin uska iss museum heist se koi lena dena nahi hai. Whitey ne yaha tak ki apne gang members ko asli choron ka pata lagwane ke liye bhi kaha. Whitey ka kehna tha ki, choron ko usse maafi maangni chahiye, kyunki choron ne uski gang ke naam pe iss heist ko anjaam diya hai, jisse uski gang ki reputation pe bura asar pada hai.
1995 me kyunki “Statute of limitations” expired ho gayi thi, issi kaaran museum owners ne kaha, ki jo koi bhi chori kiye gaye artworks ko apni marzi se lauta deta hai, aur jo iss heist ka hissa tha, woh agar khud hi saamne aa jaata hai toh uspe koi kaanooni karyawahi nahi ki jaayegi.
“Statute of limitations” ka matlab hota hai, kisi bhi criminal act pe laga ek aisa time period, jiske beet jaane ke baad aaropi ko doshi nahi maana jaata.
Halanki museum owners dwara Itni request karne ke bawajood bhi, heist ko anjaam dene waalen saamne nahi aaye. “Isabella Stewart Gardner museum” heist ko “clean heist” bhi kaha jaata hai, kyunki choron ne apne peeche koi suraag nahi choda tha. Yaha tak ki FBI ko unke koi DNA traces bhi nahi mile. FBI ko shak tha ki agar maamle me jyada deri ki gayi toh, chor artworks ko dusre desh transport bhi kar sakte hai. Issi kaaran police Boston ke state line aur USA ke national line pe alert ho gayi. Heist ka shak Bobby Donati naam ke ek criminal pe bhi gaya, jiski ussi saal hatya ho gayi, jis saal Gardner museum heist hui thi. Kaha jaata hai ki, Bobby ki Boston based crime family “Patriarca”(पात्रीआरका) se dushmani thi, jis kaaran 1990 ke gang War me uski maut ho gayi. Bobby pe shak tab gaya, jab jail me band ek famous art robber Connor ne Bobby ka naam FBI ko bataya. Uss कला chor ne yeh bhi kaha ki usne kayi artworks ki chori uske saath milkar ki hai. Iske alawa Bobby ko chori hui artworks me se “Finial Eagle” me accha khaasa interest tha. Connor ne bataya ki Bobby “Lower-level-
criminals” ka istemaal apni heist me karta tha. Connor ne kaha ki, woh FBI ki madad karne ko taiyaar hai , lekin badle me FBI ko use jail se riha karna hoga, jo woh kabhi nahi karne waale the. Issi kaaran FBI apna rukh William naam ke ek criminal ki yor karti hai, jo ki antique art dealer bhi tha. Yeh saal tha 1997, jab FBI ne William ke ghar aur dukaam me raid daali. Issi ke baad Tom naam ka journalist, antique art dealer William me interest lene laga. 1997 me hi William Tom ko call kar apne ghar pe bulata hai. William phone pe Tom se kehta hai ki uske paas proof hai aur woh churaye gaye artworks ko lauta sakta hai, lekin kuch शर्तों pe. Journalist ke according, William use apne warehouse me le gaya, jaha pe bahut saare storage boxes the. Unhi me se ek storage box ko William ne khola, jisme ek canvas rakha hua tha. Journalist Tom turant uss canvas ko dekhte hi pehchaan gaya, ki yeh famous Dutch painter ki painting hai jo Museum se chori ho gayi thi. Kharaab baat yeh thi ki, Tom ne iss baare me shuruat me kisi ko nahi bataya tha, lekin baad me usne apne iss experience ko Boston ke newspaper me publish karwaya, jiske baad FBI jaanch me jooti. Lekin jab FBI William ke warehouse pe pahuchi, toh waha pe rakhe saare storage boxes khaali the. Warehouse me FBI ko suraag ke taur pe kuch nahi mila.
Pata nahi iss maamle ko dekh hum yeh maane ki FBI apne cases ko lekar careless hai, yaa phir hum yeh samjhe ki chor kuch jyada hi shaatir hai.
Khair, jo bhi ho aage ki kahani aisi hi kuch interesting baato se bhari hai, jisme hume asli chor ka bhi pata chalega. Issi liye bane rahiye humare saath iss blog pe jiska naam hai Bollygrad studioz.
To Be Continue… part-3

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Balwaan 2, Suniel Shetty , Divya Bharti ,Danny Denzongpa,Bollygrad Studioz ,bollygradstudioz.com

Balwaan 2

Thumbnail:- Juhi कौन है? दोस्तों जैसा कि आपने पिछली कहानी में देखा नवनीत सिकेरा की पोस्टिंग लखनऊ में हो जाती है। अगला दृश्य दिखाया जाता

Read More »
Munna Bhai

Munna Bhai Series

जब Director राजकुमार हिरानी संजय दत्त की बायोपिक फिल्म को बनाने में busy थे तब उसी वक्त जुलाई साल 2018 में हिरानी ने official announcement

Read More »

Dunki

एक बार जो ट्रेडिशन सेट हो गया हो, उसे फॉलो करना हर बंदे की जिम्मेदारी होती है, और इसी जिम्मेदारी को पूरा करेंगे हमारे किंग

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​